Dost



1. Kabhi Apne Dost Ko Is Tarah Ranjeeda Na Karna Jisse Wo Tumse Juda Hone Par Majboor Ho Jaye, Tumhari Sacchi Dosti Ke Beech Agar Kabhi Kuch Aa Jaye To Usay Chord Do jo Tumhari Dosti Ki Deewar Bane Kyun Ki Dunia Mein Sabse Afzal Maap Baap ke Baad Tumhari Dosti Hai.

2. Dost Achhe Wo Hein Jo Mehfil Me Galtiyan Chupaye Aur Tanhayi Me Galtiyon Par Dost Ko Samjhaye.

3. Agar Dosti Tumhari Kamzori Hai Toh Tum Duniya Ke Sabse Taqatwar Insan Ho, Dost Ko Doulat Ki Nigaah Se Mat Dekho, Aqsar Wafa Karne Wale Dost Gareeb Hote Hein.

4. Dosti Karne Se Pehle Surat Ko Nahi Seerat Ko Dekho Tum Uss Dost Par Bharosa Karo Jo Mushkil Wakht Me Tumhare Kaam Aaye.

5. Apne Dost Ke Sath Kabhi Aisi Ladai Mat Karna Ke Ladai Jeet Jao Aur Apne Behtreen Dost Ko Haar Jao.

6. Agar Dosti Ka Rishta Na Bana Hota To Insaan Kabhi Yaqeen Na Karta Ki Ajnabi Log Apne Se Bhi Zada Peyare Ho Sakte Hein.

7. Dosti To Sabhi Karte Hein Bas Farq Itna Hi Hai Kuch Log Nibhate Hein Aur Kuch Log Aazmate Hein.

8. Duniya Me Sabse Zada Ameer Shaqs Wo Hai Jiske Paas Sacche Or Acche Dost Hain.

9. Jahan Sadaaqaat Or Khuloos Nazar Aaye Wahan Dosti Ka Hath Badhao, Warna Tumhari Tanhaai Tumhari Behtreen Sathi Hai.

10. Kon Kehta Hai Dosti Barabri Me Hoti Hai Sach To Ye Hai Ki Dosti Me Sab Barabar Hote Hein.

11. Har Nai Cheez Acchi Hoti Hai Magar Dost Purane Hi Achha Hote Hain.

12. Dosti Karna Itna Aasan Hai Jaise Mitti Se Mitti Par Likhna Lekin, Dosti Nibhana Itna Mushkil Hai Jaise Pani Se Pani Par Likhna.

13. Achha Dost Chahe kitna Bhi Bura Ban Jaye Kabhi Usse Apni Dosti Mat Todna Kyun Ki Pani Chahe Jitna Bhi Ganda Ho Jaye Aag Bujhane Ke Kaam Aa Hi Jata Hai.

14. Jis Shaqs Ke Acche Dost Hon Wo Kabhi Gareeb Nahi Hota.

15. Aadmi Apne Dost Ke Deen Par Hote Hi Usay Ye Dekhna Chahiye Ke Kisse Dosti Kar Raha Hai.

16. Dost Wo Hai Jo, Dosti Ka Haq Dost Ki Gair Mujodgi Me Ada Kare Aur Gairon Ki Mehfil Me Uski Izzat Ki Hifazat Kare.

17. Apne Rab Se Dosti Kar Lo Kyun Ki Ek Yahi Wo Zaaat Hai Jo Kabhi Tanha Nahi Chordti.

18. Qabil-E-Tareef Hein Wo Dost Jinse Mahino Baad Bhi Baat Karo To Bhi Lagta Hai Jaise Inse Kabhi Raabta Toota Hi Nahi Tha.

19. Dosti Ki Pehchan Kya Hai ? Jo Tujhe Burai Se Roke Aur Neki Ki Taraf Chalne Ka Hukum Kare To Tu  Jaanle Ke Wo "Ek Accha Dost Hai" 

20. Kisi Se Milke Roz Batein Karna Dosti Nahi Balke Kisi Se Bichar Ke Yaad Rakhna Dosti Hai.

21. Ek Wafadar Dost Ki Qadar Das Hazaar Rishtedaro'n Ke Barabar Hai.

22. Tumhara Sachha Dost Wo Hai Jo Tumhe Allah Ke Qareeb Kare Wo Nahi Jo Tumhe Gunah Ke Qareeb Le Jaye.

23. Jab Koi Dost Tumhe Apna Raaz Bataye To Ye Samjh Lena Ke Wo Apni Izzat Tumko Amanat Deta Hai Usme Kabhi Khyanat Mat Karna. '

24. Wafadar Aur Sachhe Dost Ki Nishani Hai Jo Aapko Aapki Galat Aadato Aur Harkato Pe Aapko 'Rokta Tokta Ho' Aur Aapse Narazgi Zahir Karta Ho Aisa Dost Hona Khush Naseebi Hai.

25. Jis Shaks Ke Dost Acche Hon Wo Kabhi Gareeb Nahi Hota.

26. Jo Shaks Tumhara Gussa Bardasht Kar Le Aur Sabit Qadam Rahe To Wo Tumhara Saccha Dost Hai.

27. Dost Beshaq Eik Ho Magar Aisa Ho Jo Alfaazo Se Ziyada Khamoshi Ko Samjhe.

28. Tumhara Saccha Dost Wo Hai Jo Tumhe Tumhari Khamiyo Se Aagah Kare.

29. Jo Dost Aapke Bhale Ke Liye Aap Se Ladta Ho Yaqeen Maniye Aapse Accha Dost Kisi Ke Paas Nahi.

30. Namak Ki Tarha Kadwi Baat Kehne Wala Hi Saccha Dost Hota Hai, Mithi Batein Karne Wala Hamesha Chaploos (Fawning)  Hota Hai, Kyun Ki Tarikh Gawah Hai Ke 'Namak Me Kabhi Kida Nahi Lagta Aur Mithi Cheezo'n Me Kida Lag Jata Hai.

31. Har Uss Dost Par Yaqeen Karo Jo Mushkil Me Tumhare Kaam Aaya Ho.

32. Un Logo Ko Khone Se Daro Jinke Nazdeek Dosti Ke Rishte Khoon Ke Rishto'n Se Zeyada Azeez Hon.

33. Dost Chahe Jitna Bhi Bura Ho Jaye Usse Dosti Mat Todna Kyun Ki Pani Chahe Jitna Bhi Ganda Ho Jaye Aag Bujhane Ke Kaam Aata Hi Hai.

34. Agar Dosti Ka Rishta Na Bana Hota To Insan Kabhi Yaqeen Na Karta Ke Ajnabi Log Apno Se Bhi Zeyada Peyare Ho Sakte Hain. 

35. Accha Dost Kitni Dafa Hi Kyun Na Rooth Jaye Usay Mna Lena Chahiye Kyun Ki Tasbi Ke Dane Kitni Dafa Hi Kyun Na Bikhre'n  Chun Liye Jate Hain.

36. Namaz Ke Wakht Tumhe Namaz Padhne Se Tumhara Dost Rok Le To Wo Tumhara Saccha Dost Nahi Hai Aur Namaz Ke Wakht Tumhe Namaz Padhte Jate Dekh Tumhara Dost Bhi Tumhare Sath Padhne Chale To Wo Saccha Dost Hai.

37. Har Haath Milane Wala Shaqs Dost Nahi Hota.

38. Musibat Me Ho To Kabhi Ye Na Socho Ki Konsa Dost Kaam Aayega Balki Yeh Socho Ab Konsa Dost Chhod Ke Jayega.

39. Bura Dost Koiley Ki Tarah Hota Hai, Jab Garam To Haath Jala Deta Hai Aur Jab Thoda Thanda Hota Hai To Haat Kale Kar Deta Hai.

40. Jo Zara Si Baat Pe Dost Na Rahe Samjh Lena Wo Dost Kabhi Tha Hi Nahi.

Comments

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat