Heart Touching Quotes


1. Nekiyan Karte Jao Or Dariya Me Daalte Jao, Jab Tufan Ayega Toh Yahi Nekiyan Kashti Ban Ke Niklengi.

2. Umar Bhar Galib Yahi Bhool Karta Raha Dhool Chehre Par Thi Aur Aaina Saaf Karta Raha

3. Ilm Ke Sath Amal Aur Daulat Ke Sath Sharafat Na Ho To Dono Bekaar Hain.

4. Koi Kehta Hai Duniya Peyar Se Chalti Hai, Koi Kehta Hai Duniya Dosti Se Chalti Hai, Lekin Jab Hamne Logo'n Ko Aazmaya Tab Pata Chala, Duniya To Matlab Se Chalti Hai.

5. Jab Tumhe Khushiyan Milne Lagen To 3 Chizo'n Ko Kabhi Mat Bhulna, Allah Ko, Uski Makhlooq Ko Aur Apni Asliyat Ko.

6. Shaitan Wale Jabar Karte Hain, Nabi Wale Sabar Karte Hein, Shaitan Wale Khilaf Karte Hein, Nabi Wale Maaf Karte Hein.

7. Dilo'n Mein Matlb Aur Zubaan Par Peyaar Rakhte Hein Ab Log Duniya Mai Yehi Karobaar Karte Hein.

8. Apna Dil Aur Mobile Itna Saaf Rakho Ke Agar Koi Dekh Le To Sharmindagi Mehsoos Na Ho.

9. Kisi Ki Nazar Mein Apni Izzat Dekhni Ho To Apni Nazar Mein Uski Izzat Dekh Lo, Isse Behtar Koi Aaina Nahi.


10. Jo Sukun Sadgi Mein Mila Wo Magrib Ke Fashion Mein Na Tha.

11. Farsh Par Khushi Kaha Dhund Rahe Hein Duniya Bina Mange Hi Khushiyaan Cheen Leti Hai Arsh Wale Se Bin Mange Khushi Milti Hai Tum ALLAH Ke Hokar To Dekho.

12. Phone Karne Walo Ke Liye Adab:- Pehle "Assalamualaikum" Karna, Phone Karne Wale Ka Apni Pehchan Karwana, Bila Wajah Ghanti Baja Kar Pareshan Na Karna, Agar Phone Na Uthaya Jaye To 3 Martabha Se Ziyaadha Raabtah (Miss Call) Na Karna.

13. Phone Uthane Walo Ke Liye Adab:- Bell Bajne Par Jawab Dena, Bila Sakht Zaroorat Aurat Ka Phone Par Jawab Na Dena, Salam Ke Baad Faoran Samne Wale Ka Ta'aaruf Hasil Karna.

14. Ek Sawal Poocha Gaya Muhabbat Kya Hai  Jawab Yeh Mila Ke "Jab Insan Bohat Hi Gehri Neend Mein Ho Aur Uske Kano Mein Aazan Ki Aawaz Aaye Aur Woh Apni Neend Ko Chord Kar Apne ALLAH Ke Liye Namaz Pardhne Khada Ho Jaye "Yeh Hai Sachhi Muhabbat"

15. Be Zubaan Si Hamdardi Insaniyat Ki Pehchan Karti Hai Kabhi Unhe Dukh Mat Dena Wo Bina Lafzo'n Ke Duayen Dete Hein.

16. Hamesha Khamoshi Ikhtiyar Karne Wale Be Zuban Nahi Hote Wo Sabar Ki Madad Liya Karte Hein Dil Ke Masoom Aur Nazuk Hote Hein Wahi Log Udasi Zindagi Guzara Karte Hein.

17. Agar Koi Aapki Umeed Par Jeeta Hai To Aap Bhi Uski Umeed Mat Toriye Kyun Ki Agar Umeed Toot Jaye To Insan Bhi Toot Jata Hai.

18. Badle Lena Meri Fitrat Nahi Bad'ua Dena Meri Aadat Nahi, Mujhe Jisse Shikayat Ho, Mujhe Jisko Jalana Ho, Mein Aankhein Band Karta Hun Khuda Par Chod Deta Hun.

19. Rona Hame Apne Gunnaho Par Chahiye, Ham Na Jane Kin-Kin Baato Par Roya Karte Hein.

20. Mitti Ka Jism Le Kar, Pani Ke Ghar Mein Hoon Manzil Hai Mout Par Har Pal Safar Mein Hun.

21. Jo Imaan Tera Tujhe Ghar Se Utha Ke Masjid Tak Nahi La Sakta Wo Tujhe Pulsirat Se Kaise Guzarega.


22. Sab Jhoothe Rishte Naate Hein, Sab Dil Rakhne Ki Baatein Hain, Kab Kon Kiska Hota Hai, Sab Asli Roop Chupate Hein, Ehsaas Se Khali Log Yahan Lafzon Se Teer Chalate Hain.

23. Zindagi Bas Safar Hai ALLAH Se ALLAH Tak.

24. Jo Dusron Ko Izzat Deta Hai Asal Me Wo Khud Izzat Daar Hota Hai, Kyun Ki Insaan Wahi Dusron ko Deta Hai Jo Uske Paas Hota Hai.

25. Sabse Bada Gunnah Wo Hota Hai Jo Karne Wale Ki Nazar Mein Chota Hota Hai.

26. Yaad Rakhna Zindagi Ek Khel Hai, Insan Ek Khilona Hai Khilona Kitna Hi Khubsurat Kyun Na Ho Ek Din Toot Hi Jata Hai

27. Apne Iman Ko Mazbut Banao Kyun Ki Tumhe Bhatkaye Aur Aap Bhatak Jaye Ye Nahi Hai Hamara Iman Sari Duniya Aapse Alag Rahe Phir Bhi Hamara Iman Tabdeel Na Ho Mahol Kaisa Bhi Ho Ham Na Badlen Hamesha Kalma Rahe Zuban Par "La Ilaha Illa Muhammadur Rasul Allah" Ye Hai Hamara Islam.

28. Deendar Rishte Dhund Lete Hain Log Khud Digree Kamane Me Lag Jate Hain Kuch Deen Seekhe Amal Ke Saath Age Batane Ki Koshish Karna Allah Aap Ke Ghar Ko Deendar Bana Dega.

29. Ek Jawan Ladke Ne Apne Dada Se Pucha "Dada Jaan Aap Log Pehle Kaise Rehte They ? "Na Koi Technology Na Media, Na Computer, Na Mobiles, Na Cars ? Dada Ne Jawab Diya Jaise Aaj Kal Tum Log Rehte Ho "Na Namaz, Na Deen, Na Roza, Na Tarbiyat, Na Ikhlaq, Na Sharam Na Haya" !

30. Agar Mout Ne Mujhse Yun Pucha Ke Teri 'Aakhri Khuwaish Kya Hai ? To Jawab De Meri Ruh "Na Zindagi Chaiye Na Jannat Chahiye Bas Jin Aaqa S.A.W Ka Ummati Hun Labon  Par Unka Kalma Chahiye !

31. Majboor Karti Hain Kuch Galtiyan Wakht Aane Par Galti Karne Wala Har Koi Galat Nahi Hota, Galti Ka Ehsaas Hokar Touba Na Kare Toh Galat Hai, Kisi Ke Bas Ki Baat Nahi Hai Bina Galti Ke Jeena. 

32. Insan Dunia Ki Makhlooq Se Darta Hai Qabar Ke Aazab Ko Yaad Tak Nahi Karta Dunia Mein Bach To Sakta Hai Lekin Qabar Mein Koi Bacha Nahi Sakta

33. Zindagi Aassan Nahi Hoti Zindagi Ko Aasaan Banana Padta Hai, Kabhi Dua Karke Kabhi Maaf Karke Kabhi Sabar Karke Aur Kabhi Bahot Kuch Nazarandaz Karke.

34. Surat Aur Seerat Mein Sab Se Bada Farq Ye Hai Ki Surat Dhoka Deti Hai Jab Ki Seerat Pehchan Karwati Hai.

35. Na Mehram Se Hamdardi Ya Khair Ki Umeed Rakhna Apni Tabahi Ki Taraf Pehla Kadam Hai,  Allah Hame Haraam Se Bacha Kar Halal Ata Farmaye Ameen.

36. Ek Baat Bolun, Agar Koi Tumhare Bina Khush Hai To Usse Khush Hi Rehne Do.

37. Bohot Saude Hote Hain Sansaar Me Magar Sukh Bechne Wale Aur Dukh Khardne Wale Nahi Milte, Pata Nahi Kyun log Rishte Chord Dete Hein Lekin Zidd Nahi.

38. Shadi Maa Baap Ke Pasand Se Hi Karna Wo Tab Jab Hame Wo Na Mil Jaye Jispe Hame Khud Se Behtar Yaqeen Ho Agar Aisa Mil Jaye To Usi Se Karo Kyun Ki Hamne Usay Itna Chaha Ki Uska Dil Uska Masumpan Ho Jayega Ki Khud Wo Hame Aur Hamare Maa Baap Ko Kabhi Takleef Nahi Pahuchaenge.

39. Mazhab Ke Naam Par Zulam Wa Sitam Ham Nahi Karte Wafa Ki Aad Me Siyasat Ham Nahi Karte Zameen Ki Khokh Me Bhi Jate Hain  Gusal Karke, Watan Ki Paak Mitti Ko Kabhi Na Paak Nahi Karte.

40. Digreeyan To Taleem Ke Kharcho Ki Raseed Hai Asal Ilm Wo Hai Jo Kirdaar Me Jhalakta Hai, Aapka Kirdar Hi Aapki Pehchan Hai Warna 1 Naam Hazaro Insan Ke Hain.

41. Bohot Se Dard Hain Jo Mai Seh Raha Hun Mere Rab Bahot Si Hain  Jo Tujhse Akele Me Krunga.

42. Ham Farishto Ki Tarha Masum Nahi Hain Ke Hamse Gunnah Nahi Hoga, Na Hi Ham Shaitan Ki Tarha Mardud Hain Ke Ham Tuwba Na Karen.

43. Duniya Ka Khubsurat Tareen Lafz 'Allah' Duniya Ka Meetha Tareen Naam 'Mohammad' Duniya Ki Mukammal Tareen Qitab 'Quran' Duniya Ki Mukammal Tareen Warzish (Exercise) 'Namaz' Duniya Ka Khubsurat Tareen Paigam 'Aazan' Duniya Ka Khush Naseeb Insan Aap Kyunki Aap Alhamdulillah 'Musalman' Hain. 

44. Aap Apne Mobile Me Apna Status Aisa Rakhein Ke Dekhne Wale Ko Sawab Na Mile To Gunnah Bhi Na Mile.

45. Taqabbur Chahe Doulat Ka Ho, Taqat Ka Ho, Rutebe Ka Ho, Haisiyat Ka Ho, Hus'n Ka Ho, Ilm Ka Ho, Hasab Nasab Ka Ho Chahe Taqwe Ka Hi Kyun Na Ho, Insan Ko Ruswa Aur Zalil Karke Hi Chodta Hai.

46. 'Dukh Me Kabhi Pachtawe Ke Aansu Na Bahao Balke Ye Socho Tum Wo Khushnaseeb Ho Jisko Allah Ne Aazmaish Ke Qabil Samjha Hai.

47. Ham Itna Zor Apne Aap Ko Durust Karne Me Nahi Lagate Jitna Zor Dusro Ko Apne Se Zayda Galat Sabit Karne Me Lagate Hain.

48. Jis Din Tum Dusron Ka Dard Khud Par Mehsoos Karne Lago To Samjh Lena Tum Ashraful Makhluqat Ho.

49. Khush Kismat Hain Wo Log Jo Dusro Ke Aansuon Ko Muskurahat Me Badalne Ka Fan Jaante Hain.

50. Baat Zaroorat Ki Nahi Qadar Ki Hoti Hai, Jagha Banani Padti Hai Dil Me Ho Ya Ghar Me.

51. Har Second Is Duniya Se Koi Na Koi Ho Raha Hai Ham Sab Us Qattar Mein Khade Hain Ham Mein Se Koi Nahi Janta Ke Ham Se Aage Kitne Log Hain Aur Hamare Baad Kitne Log Aayenge Apni Baari Aane Tak Hame Apne Rab Se Rishta Mazboot Karle Aur Apne Gunnaho Ki Maafi Mangle.

52. Life Me Koi Faida Nahi Kisi Ke Peeche Jane Ka, Hanste Hanste Apni Life Enjoy Karo Aur Koshish Karo Bhul Jao Usay Jo Bhul Gaya Tumhe.

53. Ham Log Facebook Instagram Par Ajnabi Hain Insaniyat Aur Akhlaq Se Jude Ham Log Siwaye Izzat Aur Ahtaram Ke Kuch Nahi De Sakte Aur Ye MashaAllah Sabse Behtareen Amal Hai.


54. Achhi Zindagi Aur Acchi Mout Ke Liye 7 Azeem Nekiyan, 1- Har Kaam Se Pehle Bismillah' Kehna. 2- Har Kaam Se Faragat 'Ke Baad 'Alhamdulillah' Kehna. 3- Galat Kaam Hojane Par 'Astagfirullah' Kehna. 4- Aayenda Ke Liye Kisi Kaam Ka Irada Karen To 'In Shaa Allah' Kehna. 5- Na Gawar Baat Par 'Lahaoul' Kehna. 6- Kisi Bhi Takleef Pe 'Inna Lil Lahi Wa Inna Ilaihi Raji Un' Kehna. 7- Har Wakht 'Kalma Tayeyaba' Ka Wird Karna (Dil Me Ya Zuban Se) In Shaa Allah-Ul-Azeez Allah Hame Kehne Sun'ne Se Zeyada Taufiq De Ameen Summa Ameen.

56. Behtreen Insan Kon Hai Iska Faisla Badtareen Kiya Karte Hain Isliye Behtareen Log Badtareen Halaat Se Ghabraya Nahi Karte.

57. Zindagi Ki Kitab Me Itni Galtiyan Na Karo Ki Pencil Se Pehle Rabbar Khatam Ho Jaye 'Tauba Se Pehle Zindagi.

58. Ek Aadmi Gusse Ka Bahut Tez Tha Ek Alim Ne Mashwara Diya 'Jab Gussa Aaye To Jungle Jakar Darakht Me Keel Thokna' Usne Aisa Hi Kiya, Aakhir Ek Din Uska Gussa Khatam Ho Gaya Usne Alim Ko Bataya Alim Ne Kaha 'Ab Uss Darakht Se Keelein Nikaal Lo' Uss Aadmi Ne Keelein Nikal Li Lekin Uss Darakht Me Surakh Ho Gaya Alim Ne Kaha 'Ye Wo Surakh Hai Jo Tum Gusse Ki Halat Me Logo Ke Dilon Me Kia Karte The.

59. Mout Ka Ek Din Muqarrar Hai Dua Karen Jahan Bhi Jis Jagha Bhi Aaye Hamara Khatma Eman Par Ho Ameen.

60. Hame Shariyat Ne Gunnah Se Nafrat Karne Ka Hukum Diya Hai, Gunahgar Se Nahi Hame Gunahgar Se Nafrat Nahi Karni Usko Gunnah Se Rokna Hai.

61. Jism Ki Zeenat 4  Cheezon Par Hoti Hai, 1- Kam Bolna. 2-Kam Khana. 3- Kam Sona 4- Kam Hasna.

62. Acchi Baatein To Sabko Acchi Lagtin Hain Agar Aapko Kisi Ki Buri Baat Bhi Acchi Lagne Lage To Ye Na Samjhein Aapko Peyar Ho Gaya Hai Balke Aapko Zaleel Hone Ki Aadat Ho Gai Hai.

63. Aap S.A.W Ne Farmaya Agar Jhuk Jane Se Tumhari Izzat Ghat Jaye To Qayamat Ke Din Mujhse Le Lena.

64. Oo Mere Bhai Behno Apne Aap Ko Allah Ke Waste Is Valentine Ki Zahalat Se Bachao Ye 4 Din Ki Chandni Hai  Us Din Ko Yaad Karo Jab Allah Ke Samne Khade Kiye Jaoge Kya Muh Dikhaoge Apne Allah Ko.

65. Chocolate, Promise, Valentine, Propose, In Sab Dino Ka Ek Din Hisab Liya Jayega Ek Dafa Yaad Karna Aakhirat Ke Din Sabke Hosh Udh Jayenge.

66. Ek Masjid Ki Diwar Pe Kya Khubsurat Baat Likhi Thi 'Agar Tum Gunnah Karte Katte Thak Gaye Ho To Andar Aao Allah Ki Rehmat Thaki Nahi.

67. Ye Velentine' Day Islam Me Haram Hai Are Kya Muh Dikhaoge Hazrat Muhmmad S.A.W Ko Kya Is Din Ke Liye Unhone Aansu Bahaye The Apni Seerat Na Bhulo Allah Ke Waste Ham Yahan Rehne Nahi Aaye Hain Hamara Asal Ghar Jannat Hai.

68. Jis Muashre Me Nikah Mehnga Ho Jaye Us Muashre Me Zina Ki Keemat 14 Feburay Ko 1 Phool Hota Hai.


69. Mohabbat Do Bewaqofo Ke Darmiyan Ek Mo'ayede Ka Naam Hai Dono Me Se Jise Pehle Aqal Aa Jaye Wo Beqafa Kehlata Hai.

70. Mohabbatein To Amal Se Nazar Aati Hai Mohtarma Baaton Se To Dukandar Mutassir Karte Hain.

71. Shaadi Ki Saari Rasme Khatam Karen Masjid Me Nikah Aur Aik Sada Sa Walima Yaqeen Mane Saare Mashi Masle Aur Nafsani Masahil Khatam Ho Jayenge.

72. Unki Khamoshi Se Daro Jinka Aapne Dil Dukhaya, Kyun Ke Agar Unhone Kuch Nahi Kaha Ya Kuch Nahi Kara To tnka Badla Allah Zaroor Lega.

73. Jism Ganda Ho To Log Door Hojate Hain, Dil Ganda Ho To Allah Door Hojata Hai Aur Jab Dono Gande Ho To Shetaan Kareeb Hojata Hai.

74. Kisi Ke Bare Me Bura Mat Socho Ho Sakta Hai Woh Allah Ki Nazar Me Hamse Accha Ho.

75. Ziyada Sochne Se Behtar Hai Ki Istagfaar Kiya Jaye Ziyada Sochna Mushkilat Ko Barhata Hai Aur Istagfaar Mushkilat Ka Hal Hai.

76. Hamesha Labon Par Durood Ka Zikar Kara Karo Kyun Ki Mout To Aake Hi Rahegi Agar Mout Aate Wakht Labon Par Durood Ka Zikar Rahe To Kya Khubsurat Mout Hogi.

77. Aasman Me Udne Wale Zara Ye Khabar Bhi Rakh Jannat Pahochne Ka Rasta Mitti Se Hi Guzarta Hai.

78. Logo'n Se  Zidd Karna Badla Lena Jhagda Karna Chord Do Kuch Sile Iss Jahan Ke Liye Nahi Hua Karte Sabhi Khuwaishe Iss Jahan Me Puri Hone Lagi To Phir Agle Jahan Ke Liye Kya Baki Rahega.

79. Maut Ek Khula Raaz Hai, Khula Isliye Ke  Har Shaqs Jaanta Hai Ke Maut Behr-E-Haal Aani Hai Aur Raaz Isliye Ke Koi Nahi Janta Ke Kab Kahan Aur Kaise Aani Hai.

80. Zindagi Aise Jeeyo Ke Koi Hanse To Tumhari Wajah Se Hanse Tum Par Nahi Aur Agar Roye To Tumhare Liye Roye, Tumhari Wajah Se Nahi.

81. Kitni Shiddat Hoti Hai Tohfe Ko Kholkar Dekhne Ki Yahi Mukaam "Parde" Ne "Islam" Me Paya Hai. 

82. Be-Hayai Ke Zamane Me Haya Unhi Me Bachi Hai Jinko Apni Tarbiyat Aur Izzat Ke Daman Pe  Daag Lagwana Gawara Nahi.

83. Log Kehte Hain Ki Aankho Me Haya Honi Chahiye Mera Khayal Hai Ki Haya Kirdaar Me Honi Chahiye Ki Aankhein Agar Bhatak Bhi Jayen To Mazboot Kirdaar Aankhon Pe Qabu Paa Hi Leta Hai.

84. Khubsurti Allah Ne Di Hai To Parde Me Raha Karo Be-Hayai Aakhirat Me Kahin Barbadi Ka Sabab Na Ban Jaye.

85. Alfaaz Ki Apni Hi Ek Duniya Hoti Hai Har Ek Lafz Apni Zimmedari Nibhata Hai Kuch Lafz Hukumat Karte Hain, Kuch Lafz Gulami Karte Hain, Kuch Lafz Hifazat Karte Hain. Aur Kuch Lafz Waar Karte Hain.

86. Taqwa Parwaz Hai Ma'siyat Dhalna Hai Maa'rifat Ki, Har Wakht Iska Istehzar Hona Ki Allah Mujhe Dekh Raha Hai Yahi Taqwa Hai, Apni Jawani Ki Hifazat Karo Warna Iss Jawani Ki Koi Qeemat Nahi Lega Maidan-E-Mehshar Me Gunnaho Se Baccho Jitna Ho Sake.

87. Marne Se Pehle Maar Do, Khuwaishat Ko Maar Do, Nafs Ko Maar Do, Ana Ko Maar Do, Gusse Ko Maar Do, Maa'siyat (Gunnah) Ko Maar Do, Jisne Maar Diya Samjho Wo Jee Gaya Hamesha Ke liye (Kamyab Ho Gaya) 


88. Tum Apni Hazar Galtiyo Ke Baavajood Apne Aap Se Muhabbat Karte Ho, Lekin Dusro Ki 1 Galti Ki Wajah Se Un Se Nafrat Kyun Karne Lag Jate Ho Ya To Khud Galtiyan Karna Chord Do Ya Dusron Ko Maaf Karna Seekhlo.

89. Agar Gilaas Dhoodh Se Bhara Hua Ho To Aap Usme Aur Doodh Nahi Daal Sakte Lekin Aap Usme Shakkr Daal Sakte Ho Shakkar Aapni Jagha Bana Leti Hai Aur Apne Hone Ka Ehsas Dilati Hai, Isi Tarha Acche Log Har Kisi Ke Dill Me Apni Jagha Bana Lete Hain, Akhlaq Accha Hona Chahiye Ye Insan Ko Khoobsurat Bana Deta Hai.

90. Zaban Daraz Logon Se Koi Fayeda Nahi Wo To Bolke Apni Bhadas Nikal Lete Hain Lekin Daro Un Logon Se Jo Seham Jate Hain Kyun Ki Wo Mamla Allah Ke Sapurd Kar Dete Hain Na Insafi Ki Koi Gunjaish Hai Nahi Wahan Der Hai Andher Kabhi Nahi.

91. Apni Zindagi Me Logon Ke Aise Lehje Dekhe Hain Ke Ab Mera Kisi Se Baat Karne Ko Dil Nahi Karta, Balke Khuwaish Bhi Nahi Hoti Baat Karne Ki.

92. Akele Ho, Kalma-E-Tayyab Padho. Preshan Ho, Drood Shareef Padho. Udaas Ho, Ya Hayyum Ya Kayyum Padho. Tession Me Ho, Ya Rahimo Padho.


93. Dard Do Tarha Ke Hote Hain Aik Aapko Takleef Deta Hain, Aur Aik Aapko Badal Deta Hain.

94. Aagr Kabhi Kisi Cheez Ka Guroor Aane Lage To Ek Chakkar Qabaristan Ka Laga Liya Karo Wahan Aapse Bhi Behtar Insan Mitti Ke Niche Dafan Hai.

95. Kabhi Kabhi Kisi Cheez Ki Kadar Aur Ehsaas Ke Liye, Zaroori Hai Ke Kuch Wakht Usse Door Raha Jaye.

96. Girna Bhi Accha Hai Auqaat Ka Pata Chalta Hai Badte Hain Jab Haath Uthane Ko Apno Ka Pata Chalta Hai Jinhe Gussa Aata Hai Wo Log Sacche Hote Hai Maine Jhooto Ko Aksar Muskurate Dekha Hai Seekh Raha Hoon Mai Bhi Insano Ko Padhne Ka Hunar Suna Hai Chehro Pe Kitabo Se Ziyada Likha Hota Hai.

97. Zindagi Me Kabhi Khud Ko Kisi Insan Ka Aadi Mat Banana Kyun Ki Insan Bahot Khud Garz Hota Hai Jab Aap Ko Pasand Karta Hai To Aaap Ki BuraI Bhool Jata Hai Aur Jab Aapse Nafrat Karta Hai Aapki Acchai Bhool Jata Hai.

98. Aap (S.A.W) Ne Farmaya Qayamat Ke Din Gaane Music Sunne Walo Ke Kano Me Jahannam Ki Aag Ka Pighla Hua Shisha Dala Jayega.

99. Muhabbat Aur Mout Dono Ki Pasand Bhi Badi Ajeeb Hai Ek Ko Dil Chahiye Aur Doosre Ko Dhadkan.

100. Phirse Teri Mehfil Mein Chala Aya Hun Andaz Wahi Hai Bas Alfaz Naye Laya Hun.

101. Jis Zameen Par Barish Na Ho Wahan Ki Fasle Kharab Ho Jati Hain Aur Jiss Ghar Me Deen Na Ho Wahan Ki Nasle Kharab Ho Jati Hain,

102. Zada Bol Kar Apne Alfazo'n Ko Zaya Mat Kiya Karo Khamosh Raho Aur Dekho Aapko Kon Samjhta Hai.

103. Ulfat Badal Gai Kabhi Niyat Badal Gai, Khudgarz Jab Hue To Fir Seerat Badal Gai, Apna Kasoor Dusron Ke Sar Par Daal Kar, Kuch Log Sochte Hain Haqiqat Badal Gai.

104. Agar Kismat Me Aadhi Roti Hai Toh Cheen Kar Poori Kha Bhi Li Jaye To Ulti Hojayegi Kabhi Naseeb Ziyda Bhi Kisi Ko Hazam Nahi.

105. Gaali Galoch Ka Aazab Tumhare Muh Se Nikli Hui Ek Gali Chahe Mazaq Ya Gusse Me Di Ho To Tumhari Qabar Me Ek Aisa Bichhu Paida Karti Hai Jiske Ek Martaba Katne Se Insan 70 Haath Zameen Me Dhas Jata Hai, Allah Ham Sabko Gali Galoch Se Bachaye Ameen Summa Ameen.

106. Agar Ham Duniya Ki Rangeeiyo Me Kho Kar Maut Ko Bhool Chuke Hain To Iska Matlb Ye Nahi Maut Hame Bhool Chuki Hai Isliye Maut Aane Se Pehle Apni Aakhrat Acchi Karlo.

107. Kehte Hain Ishq Usse Karo Jisse Haseen Koi Na Ho Aye Muhabbat Walo Mai Apne Nabi Se Ishq Kyun Na Karun Ke  Unse Haseen To Jannat Bhi Nahi.

108. Insan Bach Sakta Hai Takkabur Se "Salam Ke Zariye" Musibat Se "Sadqe Ke Zariye" Bimari Se "Dua Ke Zraiye" Hirs Se "Shukar Ke Zariye" Gusse Se "Sabar Ke Zariye" Dozakh Se "Ibadat Ke Zariye" Jahil Se "Khamoshi Ke Zariye" Shaitan Se "Ilm Ke Zariye" Gunnah Se "Khauf Ke Zariye"

109. So Jata Hai Har Koi Apne Kal Ke Liye, Par Koi Ye Nahi Sochta Aaj Jiska Dil Dukhaya Wo Soya Hoga Ki Nahi.

200. M Se 'Muhabbat' Hai Aur M Se 'Muhammad' Hai Aur M Se 'Momin' Hai Aur 'Momin' Ko 'Muhabbat' 'Muhammad' Se Hai.

201. Tehzib Ki Misaal Gareeb Ke Ghar Se Hoti Hai Duptta Fata Hota Hai, Lekin Sar Par Hota Hai.

202. Agar Aapko Koi Chord Kar Chala Jaye To Udaas Mat Ho Kyun Ki Ye Aapki Uss Dua Ka Natija Ho Sakta Hai Jo Aapne Kabhi Mangi Thi "Aye Allah ! Har Uss Shar Ko Mujhse Door Farma Jo Tune Mere Liye Likh Rakha Ho.

203. Jis Lehje Me Baat Karo Uss Lehje Me Sunna Bhi Seekho.

204. Wakht Ek Sa Nahi Rehta Wo Khud Bhi Rote Hain Jo Auron Ko Rulate Hain

205. Uss Shaqs Me Hargiz Dilchaspi Na Lo Jo Tum Se Doori Ikhtiyar Karta Ho (Har Baat Ki Wajah Jaan Lein)

206. Jinhe Pata Hai Akela Pan Kya Hota Hai Wo Doosro Ke Liye Hamesha Hazir Rehte Hain Aur Hamesha Hazir Rehna Chahte Hain Har Haal Me.

207. Tanhai Aisi Cheez Hai Jiske Aane Par Sab Aapka Saath Chorr Chuke Hote Hain Aur Allah Ke Siwa Koi  Aapke Sath Nahi Ho Sakta.

208. Apne Dil Ki Baat Kisi Se Mat Kahiye Waise Bhi Kisi Ko Koi Farq Nahi Padhta.

209. Qabar Ki Tanhai Ki Tanhai Se Pehle Bhi Qudrat Hame Kai Baar Tanha Karti Hai Taki Ham Apne Khaliq Se Tallup Mazboot Kar Lein.

300. Wo Hijab Hi Kiya Jo Eid Aur Shadiyo Me Utar Jaye.

301. Sajde Ka Hi To Inkar Kiya Tha Shaitan Ne, Shaitan Ne Koi Zina Kiya Tha, Kuch Galat Kiya Tha, Koi Sharab Pee Thi, Koi Juwa Khela Tha, Kya Kiya Tha, Koi Sheerk Kiya Tha Shaitan 1 Sajde Ka Inakri Hua Tha  Ek Sajde Ka Inkaar Kar Ke Wo Hamesha Ke Liye Mardood Ho Gaya.

302. Mere Bhaiyon Aur Behno Ham Chote Chote Maslo Ko Masail Bana Kar Baithe Hain, Mar Jana Hai Yeh Bhi To Ek Bada Masla Hai Ham to Purani Chadar Utar Kar Bistar Par Nayi Chadar Bichwate Hain Aur Jiss Wakht Mitti Ka Bistar Hoga..? To Uss Wakht Kya Baat Banegi Aur Mitti Chadar Hogi "Toh Uss Wakht Kiya Hoga"?

304. Mera Husn Itna Sasta Nahi Ke Instagram Pe Nelaam Ho Jaye Alhamdulillah Mai Muslman Hun  Parda Meri Zeenat Haya Mera Iman Hai Gairat Mera Guroor Hai Aur Quran Meri Zindagi Hai.

305. Kabristan Me Kya Khoob Likha Tha "Padhle Dua Kisi Ke Liye Kal Tu Bhi Tarsega  Isi Ke Liye".

306. Jo Galti Nahi Karta Wo 'Farishta' Hai, Jo Galti Kar Ke 'Datt' Jaye Wo Shaitan Hai Aur Jo Galti Karke Tauba Karle Wo 'Insan' Hai.

307. Bharosa Bolne Mien 'Second' Lagta Hai Sochne Me 'Minute'  Lagta Hai Samjhne Me 'Din' Lagta Hai Sabit Karne Me Poori Zindagi Lag 'Jaati' Hai.

308. Bada Purse Nahi Bada Dil Hona Chahiye Kisi Ko Kuch Dene Ke Liye.

309. Aapka Akhlaq Wo Phool Hain Jo Aapke Chale Jane Ke Baad Bhi Khushbo Deta Rehta Hai.

310. Jab Arsh Wale Se Raabta Mazboot Ho To Farsh Walo Se Raabte Ki Zaroorat Nahi Padti.

311. Geebat Aisa Gunnah Hai Jiski Maafi Sirf Usi Se Mangi Jati Hai Jiske Bare Me Geebat Ki Gai Ho.

312. Bolne Se Mana Nahi Kiya Geebat Karne Se Mana Kiya Hai, Dil Rakhne Ke Liye Mana Nahi Kiya Hai Dil Todne Ke Liye Mana Kiya Hai, Sunne Se Mana Nahi Kiya Bura Aur Geebat Sunne Se Mana Kiya Hai, Hasne Se Mana Nahi Kiya  Kisi Ka Mazaq Udane Se Mana Kiya Hai,

313. Aap (S.A.W) Ne Itni Khubsurat Aur Haseen Zindagi Bitai Hai Jo Koi Bita Nahi Sakta, Iss Amal Par Chalo Iss Sunnat Par Chalo Nabi Ki Sunkar Chalo Beshq Tumhe Wo Duniya Milegi Jiska Tum Andaza Tak Nahi Laga Sakte, Duniya Aur Aakhirat Dono Khubsurat Ban Jayegi Bas Iss Khubsurat Zindagi Par Amal Karlo 'Ya Allah Hame In Bato Par Amal Karne Wala Bana De' Ameen Summa Ameen.

314. Apni Zindagi Me Allah Ko Sath Lekar Qadam Uthao, Ek Zindagi Mere Nabi-E-Paak (S.A.W) Lekar Aaye Aur Hame Wo Zindagi Jeeni Hai Aisi Khubsurat Zindagi Jisme Kamane Se Mana Nahi Kiya Hai Haraam Kamane Se Mana Kiya Hai Bolne Se Mana Nahi Kiya Hai Jhoot Bolne Se Mana Kiya Hai, Sone Se Mana Nahi Kiya Namaz Chodne Se Mana Kiya Hai, Nikah Se Mana Nahi Kiya Zinah Karne Se Mana Kiya Hai, Len-Den Se Mana Nahi Kiya Dhoka Dene Se Mana Kiya Hai, Tijarat Se Mana Nahi Kiya Sood Se Mana Kiya Hai.

315. Tum Lakh Khubusrat Sahi, Agar Iman Nahi To Kuch Nahi.

316. Galtiyan Is Baat Ka Saboot Hai Ki Aap Koshish Kar Rahe Hain.

317. Musibat Me Kabhi Ye Mat Sochein Ke Ab Kon Kaam Aayega Bas Ye Dekhna Ke Ab Kon Saath Chod Jayega.

318. Zindagi Tab Se Bahot Hi Aasan Ho Gai Jab Maine Ye Samjh Liya Ke Log 'Log Hi Hote Hain Logo Ko Log Mil Hi Jaya Karte Hain Koi Kisi Ke Na Hone Se Marta Nahi Hai' Waise Bhi Logo Ki Misal In Parindo Jasi Hai "Jo Shajar (Tree) Ko Sookha Dekh Kar Aur Aashiyana Bana Lete Hain"

319. Eik Qabar Par Likha Tha "Kisi Ko Kya Ilzam Doon Aye Dost, Zindagi Me Satane Wale Bhi Apne The Aur Dafnane Wale Bhi Apne"

320. Ladkiyo Socho Agar Khatoon-E-Jannat Aapse Ye Sawal Kare Ke 'Kya Mere Baba (S.A.W) Ka Deen Itna Mushkil Tha Ke Tum Parda Na Kar Saki..?'

321. Aap Apni Khushiyon Ke Liye Doosron Ki Khushiyon Ko Khaak Me Na Milao Yaad Rakho Ki Aapki Wo Khushi Bekar Hai Jiske Peeche Kisi Ke Aansu Hon.

322. Khayalon Ki Hifazat Karo Kyun Ki Ye Alfaaz Ban Jate Hain, Alfaazo Ki Hiazat Karo Kyun Ki Ye Aamal Ban Jate Hain, Aamal Ki Hifazat Karo Kyun Ki Ye Kirdaar Ban Jata Hai, Kirdaar Ki Hifazat Karo Kyun Ki Ye Aapki Pehchhan Ban Jata Hain.

323. Zindagi Se Zid Karna Chod Do Kuch Sile Is Jaha'n Ke Liye Nahi Hote Sabhi Khuwaishe'n Iss Duniya Me Poori Hone Lage To Phir Agle Jaha'n (Aakhirat) Ke Kya Baki Reh Jayega.

324. Khud Ko Aisa Banao Ke Jahan Tum Ho Wahan Tumhe Sab Piyaar Karen, Jahan Se Tum Chale Jao Wahan Tumhe Sab Yaad Karen, Aur Jahan Tum Pahunchne Wale Ho Wahan Sab Tumhara Intezaar Karen.

325. Buzurg Wo Hai Jo Apna Dil Dono Jahan Se Utha Le Aur Har Dam Aamal-E-Gaib Se Laakho Tajallliya Us Par Zahir Ho Aur Allah Ki Raah Me Woh Allah Ke Siwa Kisi Se Madad Na Chahe.

326. Mout Jab Aati Hai To Umar, Ameeri, Gareebi, Khubsurati, Badsurti, Nahi Dekhti Kyun Ke Sab Ka Anjam Mitti Hai.

327. Jab Kisi Zaroorat Mand Ki Aawaz Tum Tak Pohnche Toh Allah Ka Shukar Adaa Karo Ke Usne Apne Bande Ki Madad Ke Liy Tumhe Wasila Banaya.

328. Zindagi Se Kabhi Peyar Na Karo Ye Kisi Se Wafa Nahi Karti, Mout Ko Kabhi Mat Bhulao Ye Kisi Ko Dhoka Nahi Deti.

329. Rotiyan Teen Din Purani Thi  Aur Bhook Char Din, Wo Gareeb Bade Aaraam Se Kha Gaya Kyun Ki Roti Bhook Ke Muqable Tazi Thi.

330. Udaas Hain Iska Matlb Bardasht Kar Rahe Hain, Khamosh Hain Iska Matlb Sabr Kar Rahe Hain, Nadan Hai Iska Matlb Soch Samjh Kar Chalte Hain Jiska Jaisa Akhlaq Hoga Waisa Hi Amal Hoga.

331. Log Kehte Hain Sabse Zeyada Takleef Tab Hoti Hai Jab Aap Kisi Apne Ke Hatho'n Se Dhoka Khaten Hain Par Nahi Mai Bataun Sab Se Zeyada Takleef Kab Hoti Hai Jab Aap Apne Rab Ki Baat Na Mano Kabhi Rooh Ka Chillana Suna Hai Rooh Takleef Me Hoti Hai Jab Insan Nafs Ki Gulami Karta Hai Aur Allah Ko Naraz Kar Deta Hai.

332. Tum Accha Karo Aur Zaman Tumhe Bura Samjhe Yeh Tumhare Haq Me Behtar Hai Bajaye Is Ke Ke Tum Bura Karo Zamana Tumhe Accha Samjhe.

333. Kuch Log Jab Rote Hain To Isliye Nahi Ke Wo Kamzor Hote Hain Balke Isliye Ke Mazboot Rehte Rehte Thak Jate Hain.

334. Har Baat Keh Dene Ki Nahi Hoti, Kuch Sunne Ki Bhi Hoti Hai Kuch Samjhne Ki Bhi Kuch Bardasht Karne Ki Aur Kuch Seh Jane Ki.

335. Wakht Hi Toh Hai Badal Jayega Aaj Tera Hai Kal Fir Mera Aayega.

336. Khali Pait, Khali Jeb Aur Jhoota Peyar Insan Ko Zindagi Me Wo Sabaq Sikhata Hai Jo Bade Se Bada Ustad Nahi Sikha Pata.

337. Har Koi Milta Hai Yahan Pahen Kar Naqab Kaise Pehchane Kon Hai Accha Aur Kon Hai Kharab.

338. Gulam Hoon Apne Ghar Walo Ki Tarbiyat Ka Warna Mai Bhi Logo Ko Unki Auqaat Dikhane Ka Hunar Rakhta Hun.

339. Seekh Jao Wakht Par Kisi Ki Kadar Karna Kahin Wo Thak Na Jaye Tumhe Ehsaas Dilate Dilate.

340. Itna Na Boliye Ke Log Chup Hone Ka Intezar Karen, Itna Bol Kar Chup Ho Jayen Ki Log Dobara Sunne Ka Intezar Karen.

341. Bahot Takleef Hoti Hai Jab Aapko Samjhne Wala Hi Aapko Galat Samjhne Lag Jaye.

342. Kabhi Kabhi Chup Rehna Padhta Hai Sahi Logo Ko Jab Unke Apne Hi Galat Logo Ki Tareef Karte Hain.

343. Jo Insan Din Me Sabko Khush Rakhta Hai Wo Insan Rato Me Kisi Ke Liye Hadse Zeyada Rota Hai.

344. Wahi Log Aksar Akele Kyun Reh Jate Hain Jo Kisi Ko Dard Dene Ke Bare Me Sochte Tak Nahi..?

345. Khoobsurti Kapdo Se Nahi Ilm-O-Adab Se Hoti Hai.

346. Khubsurat Hai Wo Dil Jo Kisi Ke Dard Ko Samjhe, Khubsurat Hai Wo Hath Jo Kisi Ko Mushkil Wakht Me Thaam Lein, Khubsurat Hai Wo Soch Jo Kisi Ke Liye Accha Soche, Aur Khubsurat Hai Wo Insan Jisko Allah Ne Ye Khubsurtiyan Ataa Ki Hain.

347. Kab Ka Chodh Diya Hamne Logo'n Ke Peeche Bhagna Jis Ki Jitni Qadar Ki Usne Utna Hi Gira Hua Samjha.

348. Kisi Se Peyaar Karo Be'Hadd Karo Bas Umeed Mat Rakho Takleef Peyaar Karne Se Nahi Umeed Rakhne Se Hoti Hai.

349. Jo Insan Apne Hisse Ki Roti Bhi Baant Deta Hai Uss Insan Ka Rizq Kabhi Khatam Nahi Hota.

350. Chup Hun To Pathar Na Samjh Asar Hua Hai Kisi Apne Ki Baat Ka.

351. Rishte Ahsaas Se Bante Hain Rang Nasal Aur Chaal Dekh Kar To Jaanwar Khareede Jate Hain.

352. Zaroori Nahi Zindagi Me Wahi Kuch Mile Jo Ham Chahte Hain "Chah" Se Badh Kar Bhi Aik Aur Cheez Hoti Hai "Muqaddar" Jo Badlta Nahi Badal Deta Hai.

353. Jane Wale Ko Wasta Nahi, Rasta Diya Karo.

354. Isharo Se Chand Ke Tukre Ho Gaye Jo Suraj Ko Dekha To Palat Gaya Pedo Ne Sajde Kiye Jo Husn Dekha Mere Aaqa (S.A.W) Ka To Pathhar Ne Bhi Kalma Padh Liya 'La Ilaha Il Lalla Mo Hamadur Rasool Allah'

356. Dekh Raha Hoon Seh Bhi Raha Hoon Aur Khamosh Bhi Hoon, Kyun Ki Wakht Aaya Nahi Abhi Mera.

357. Muh Me Zabaan To Sab Rakhe Hain Magar Kamal Woh Karte Hain Jo Isay Samhal Kar Rakhte Hain.

358. Lehje Aur Alfaaz Ki Khubsurati Wo Kausiyaat Hain Jo Aapko Bin Dekhe Insan Ka Deewana Bana Deti Hai.

359. Guzar Jate Hain Ye Khubsurat Lamhe, Yun Musafiro Ki Tarha Yaadein Wahi Khadi Reh Jati Hai Ruke Raasto'n Ki Tarah.

360. Agar Chaar Shadiyo Ki Ijazat Shariyat Me Hai To Bewa Aur Talaq Yaafta Se Shadi Karna Bhi Shabie Shariyat Mohamad (S.A.W) Ki Sunnat Hai.

361. Jo Keh Diya Wo Alfaaz The, Jo Keh Na Sake Wo Jazbaat The, Jo Kehte Kehte Keh Na Paye Wo Ehsaas The.

362. Muskurahat, Hansi, Tabassum, Qahqahe, Sabke Sab Kho Gaye, Ham Bade Ho Gaye.

363. Mazak Wo Hota Hai Jo Bura Na Lage Kisi Ka Dil Dukha Dena Mazak Nahi Hota.

364. Jitne Sajde Jawani Me Karne Hai Karlo Kyun Ki Budhhape Me Aksar Log Bina Sajde Ke Namaz Padhte Hain.

365. Insan Ka Sabse Bada Dushman Uska Dimag Hota Hai, Pakad Pakad Kar Lata Hai Un Lamho Ko Jo Takleef  Dete Hain.

367. Tumhari Sabse Badi Jeet Pata Hai Kya Hai..? Tum Badla Na Lo Balke Maaf Kardo Usay Jisne Tumhe Sabse Zeyada Takleef Di Ho.

368. Log Aapse Nafrat Karne Lag Jate Hain Jab Wo Aapke Level Tak Nahi Pahonch Sakte.

369. Bhool Kar Bhi Apne Dil Ki Baat Kisi Se Mat Kehna Yahan Kagaz Bhi Zara Si Der Me Akhbaar Ban Jata Hai.

370. Jahil Ki Aik Ye Aadat Hai Ke Wo Baat Sunne Se Pehle Hi Jawab Dena Shuru Kar Deta Hai Baat Samjhne Se Pehle Jhagdna Shuru Kar Deta Hai.

371. Tumhari Zubaan Tumse Wo Hi Chahegi Jiski Tumne Usay Aadat Dali Hogi.

372. Mere Acche Wakht Ne Duniya Ko Bataya Ke Main Kaisa Hoon Aur Mere Bure Wakht Ne Mujhe Bataya Ki Duniya Kaisi Hai.

373. Aisa Bhi Hota Hai Ke Insan Me Rone Ki Himmat Baki Nahi Rehti Aur Log Samjhte Hain Woh  Sakht Dil Hai.

374. Apne Ghar Ki Batein In Bahar Ke Logo'n Ko Na Batao Tumhari Gair Maujoodgi Me Log Tumhara Mazak Udaenge.

375. Mere Bhaiyo Apne Nafs Ko Kabu Me Rakho Shaitan ko Gumrah Karne Koi Dusra Shaitan Nahi Aaya Tha Balke Ye Nafs Hi Tha Jisne Usko Iblees Bana Diya.

376. Agar Dhol Bajane Ka Itna Hi Shouq Hai To Zaroor Bajaye Bas Aik Choti Si Shart Hai Jab Aapke 18 Saal Ke Bete Ka Janaza Uthe Tab Dhol Bajana Jab Aapke 6 Mahine Ke Bete Ka Qatal Kardiya Jaye Tab Bajana Jab Aapki Beti Ke Sar Se Chadar Chhin Li Jaye Tab Bajana Aur Dawa Ye Hai Mera Ke 'Aap Us Wakht Dhol Kya Taali Tak Nahi Baja Paoge'

377. Acchi Soch Rakho Soch Se Alfaz Bante Hain, Alfaz Se Aamal Bante Hain, Aamal Se Kirdar Bante Hain, Kirdar Se Tumhari Pehchan Hoti Hai.

378. Apna Koi Kya Bigad Sakta Hai Apni Qismat To Usne Likhi Hai Jis Ka Koi Kuch Nahi Bigaad Sakta.

379. Mere Bhaiyo, Apne Aapko Aazad Na Samjho, Hamare Peeche Aik Taqatwar Zaat Hai, Jisay Hamare Har Aamal Ki Khabar Hai, Apni Zindagi Ke Rukh Ko Sahi Karlo.

380. Dariya Bankar Kisi Ko Dubana Bahot Aasan Hai, Magar Dariya Bankar Kisi Ko Bachaye To Koi Baat Bane.

381. Mai Jab Kisi Gareeb Ko Haste Hue Dekhta Hun To Yaqeen Aajata Hai Ke Khushiyon Ka Taalluq Daulat Se Nahi Hota Hai.

382. Koi Aapko Rokta Tokta Hai Intezar Karta Hai, Waqt Maangta Hai Hisab Mangta Hai To Aap Naseeb Wale Hain Kyun Ki Kismat Walo Ki Hi Fikar Karne Wale Milte Hain.

383. Na Mout Milti Hai Na Zindagi Milti Hai, Zindagi Ki Rahon PAR Be'basi Milti Hai Rula Dete Hain Na Jane Kyun Apne Jab Bhi Hame Koi Khushi Milti Hai.

384. Rab Ke Siwa Koi Nai Janta Ke Hamari Aik Muskurahat Ke Piche Hazaar Gam Chupe Hote Hain.

385. Agar Aapka Zameer Aur Niyat Saaf Hai To Is Baat Se Koi Fark Nahi Padhta Ki Aapko Koi Bura Kahe Ya Accha Aap Apni Niyat Se Jane Jayenge Logo Ki Soch Se Nahi.

386. Mere Bhaiyo Na Kisi Ki Burai Karo Na Kisi Ki Burai Suno.

387. Do Din Ki To Zindagi Hai Isey 2 Hi Usoolon Par Guzaro, 'Milo To Phool Bankar' 'Bikhro To Khushboo Bankar'

388. Aaj Tak Apni Khamoshi Per Nahi Pachtaya Jab Bhi Pachtaya Hun Apne Bolne Per Pachtaya Hun.

389. Agar Tum Us Wakht Muskura Sakte Ho Jab Tum Poori Tarah Toot Chuke Ho'n To Yaqeen Jano To Duniya  Me Tumhe Koi Bhi Nahi Tord Sakta.

390. Agar Tumse Galti Ho Jaye To Iblees Ki Tarah Daler Nahi Hona Chahiye Balke Mafi Mang Leni Chahiye Ke Ham Ibne-Aadam Hain (Aadam Ke Bete Hain) Ibne-Iblees Nahi Yani (Shaitan Ka Beta)

391. Mehnat Itni Khamoshi Se Karo Ke Tumhari Kamyabi Shor Machaye.

392. Sahi Wakht Pe Do Lafz Na Bole Jayen To Wakht Guzar Jane Ke Baad Lambi Kahaniyan Sunana Bekar Hai.

393. Kabhi Khuhsiyo'n Ko Hasil Karne Ke Liye Jhukna Padta Hai Aur Wo Jhukna Reaikan Nahi Jata.

394. Kuch Bato'n Ka Jawab Sirf Khamoshi Deti Hai Aur Khamoshi Hi Khubsurat Jawab Hai.

395. Ye Kaisa Daur Hai Yahan Koi Apne Dukh Se Itna Dukhi Nahi Hai Jitna Dusre Ke Sukh Se Dukhi Hai.

396. Dusro'n Ko Be Sukoon Karne Wala Kabhi Sukoon Nahi Pata Zindagi Ke Har Mod Pe Sulah Karna Sikho Kyun Ki Jhukta Wahi Hai Jisme Jaan Hoti Hai Akadna To Murdo Ki Pehchan Hoti Hai.

397. Mushkil Wakht Me Koi Dilasa Dene Wala Koi Ajnabi Bhi Ho To Dil Me Bas Jata Hai Aur Uss Wakht Me Kinara Kar Lene Wala Koi Apna Hi Kyun Na Ho Dilse Utar Jata Hai.

398. Acche Ke Sath Acche Raho Lekin Bure Ke Liye Bura Mat Bano Kyun Ki Tum Pani Se Khoon Saaf Kar Sakte Ho Lekin Khoon Se Khoon Nahi.

399. Shisha Aur Rishte Dono Nazuk Hote Hain Magar In Dono Me Aik Fark Zaroor Hota Hai Shisha Galti Se Toot Ta Hai Aur Rishte Galat Fehmi Se, Aik Chiz In Dono Ke Tukde-Tukde Kar Sakti Hai Wo Hai Galat Fehmi.

400. Jhoot Bol Kar Jeet Jane Se Behtar Hai Sach Bol Kar Haar Jao.

401. Jis Tarah Aag Aur Pani Aik Bartan Me Jama Nahi Ho Sakte Usi Tarah Duniya Aur Aakhirat Ki Muhabbat Aik Dil Me Jama Nahi Ho Sakti.

402. Apni Mayusi Ka Zimmedar Logo Ko Mat Thehrao, Balki Unse Itni Umeede Wabsata Karne Ke Zimmedar Tum Khud Ho.

403. Bohat Khaas Hote Hain Wo Log Jo Aapki Aawaz Sunkar Aapki Khushi Aur Dard Ka Andaza Laga Lete Hain.

404. Kisi Ko Galat Samjhne Se Pehle Aik Baar Uske Halat Janne Ki Koshish Zaroor Karen.

405. Dard Aapko Mazboot Banata Hai, Khauf Aapko Bahadur Banata Hai Aur Dil Ka Toot'na Aapko Samjhdaar Banata Hai.

406. Agar Aapko Rokne Tokne Wala Aur Islah Wala Moujood Hai To Allah Ka Shukar Ada Karo Kyun Ki Jis Baag Ka Maali Nahi Hota Wo Bohat Jald Ujad Jata Hai.

407. Haram Khana Dilo'n Ko Murda Karega Aur Halal Khana Usay Zinda Karega.

408. Beshq..! Kaan, Aankh Aur Dil In Sab Se "Qayamat Ke Din" Sawal Kiya Jayega.

409. Apne Naseeb Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Ye Naseeb Hi To Hai Ke Ham (S.A.W) Ke Ummati Hain.

500. Bachpan Me Jahan Chahe Hans Aur Jahan Chahe Ro Lete The, Ab Hans Ne Ke Liye Tameez Aur Rone Ke Liye Tanhai.

501. Agar Aap Apni Tareef Sunkar Khush Hone Ke Bajaye Shak Me Padh Jayen, To Yaqeen Karen Aap Ko Aqal Aa Chuki Hai.

502. Alfaz Hi Sab Kuch Hote Hain Dil Jeet Bhi Lete Hain Aur Dil Cheer Bhi Dete Hain.

503. Imtehan Agar Paiso Me Hota To Sukoon Kabhi Sajde Me Na Hota.

504. Mat Guroor Kar Apne Aap Par Aye Insan Khuda Ne Tere Jaise Pata Nahi Kitne Matti Se Banakar Matti Me Mila Diye.

505. Banjar Nahi Hun Me Mujh Me Bohat Si Nami Hai Dard Baya'n Nahi Karta Bas Itni Si Kami Hai.

506. Gandi Soch Aur Gandi Niyyat Dimag Ki Hoti Hai Warna Jism Ki Banwat Behen Ki Bhi Wahi Hoti Hai.

507. Ye Mumkin Hi Nahi Hai Ke Jo Ham Dusro'n Ke Sath Karen Wo Hamare Sath Na Ho.

508. Taa'umar Bas Aik Hi Sabaq Yaad Rakhiye Ishq Aur Ibadat Me Niyyat Saaf Rakhiye.

509. Hame Darate Ho Mout Se Ham Unke Chahne Wale Hain Jinke Ghar Mout Ko Bhi Aane Se Pehle Ijazat Leni Padhti Hai.

510. Kuch Der Ki Khamoshi Hai Phir Kano Me Shor Aayega "Tumhara To Sirf Waqt Hai Hamra Daur Aayega".

511. Mere Bhaiyo Behno Apni Halat Ko Lekar Rahi Baat Dolat Shohrat Ki To Suno, Jisko Rab Ne Dolat Ata Kar Di Wo Apne Rab Ko Dolat Ke Nashe Me Bhool Gaya, Isse Behatar Greebi Hai Kam Se Kam Ham Rab Ke Kareeb To Hain.

512. Akele Aaye Hain Akele Hi Jayenge Akele Jeene Me Taklif Kyun, Qabar Ki Tanhai Akele Me Mujhe Bohat Kuch Sikha Deti Hai.

513. Sabse Bada Zakham Zuban Se Nikle Hue Alfazo Ke Hote Hain Ye Jism Ko Nahi Sidha Rooh Ko Zakhmi Kar Dete Hain, Zuban Ki Hifazat Dolat Se Zeyada Mushkil Hai.

514. Mohabbat Nahi Balki Mout Andhi Hoti Hai Wo Na Husn Dekhti Hai Na Umar Na Daulat Aur Na Hi Jawani.

515. Alfaaz To Sab Hi Samjh Lete Hain, Maza To Tab Hai Ke Koi Khamoshiya'n Bhi Samjhe.

516. Agar Log Aapko Qubool Nahi Karte To Mayoos Mat Hona, Log Aksar Wo Cheezein Chhod Dete Hain Jinki Keemat Wo Nahi De Sakte.

517. Sabke Sath Rehne Se Zindagi Ka Pata Chalta Hai Aur Akele Rehne Se Zindagi Kya Hai Ye Samjh Aata Hai.

518. Sacchi Mohabbat Bachpan Me Muft Hi Milti Hai Magar Jawani Me Kamani Padhti Hai Aur Budhape Me Mangni Padhti Hai.

519. Khud Ko Aisa Banao Ke Jahan Tum Ho Wahan Tumhe Sab Peyaar Karen, Jahan Se Tum Chale Jao Wahan Sab Tumhe Yaad Karen, Aur Jahan Tum Pahnchne Wale Ho'n Wahan Sab Tumhara Intezar Kare.

520. Khuwaish Sirf Itni Hai Ki Kuch Alfaz Aisey Likhun Jisse Koi Gumrahi Ke Raste Jate-Jate Ruk Jaye, Na Bhi Ruke To Soch Me Zaroor Pad Jaye.

521. Jis Insan Me Sach Sunne Ki Taqat Na Ho Us Insan Se Guftugu Karne Se Parhez Karna Chahiye Kyun Ki Wo Aapki Har Baat Ko Galat Qaraar De Kar Apni Galtiyo Par Bhi Aap Hi Ko Qasoor Waar Thehra Dega.

522. To Aaj Se Say "No Tik-Tok" Please Unistall Kar Dein Aur Jinhone Agar Tik Tok Banai Bhi Hai To Delete Karde Aur Allah Se Tauba Karlein Beshq Allah Gafoor Rur Raheem Hai Wo Apne Bando Ko Muaf Kardega.

523. Sudhar Jao Sudhar Jao Iss Gaflat Ki Duniya Se Bahar Nikal Jao 'TikTok' Qayamat Ki Nishaniyo Me Se 1 Nishani Hai Kyun Ki Allah Ke Nabi Ne Farmaya Hai "Ghar-Ghar Me Nach Gana Hoga' Afsoos Aaj Wahi Ho Raha Hai Betiyan, Bete, Maa, Baap, Bhai Sab Lagen Hain Iss Qayamat Ki Nishani Ko Badhawa Dene Me  Afsoos To Tab Hota Hai Sabse Zada Famous Bhi Muslims Hi Hain.

524. Please, Zakat Un Ladkiyo'n Ko Bhi Diya Karo Jinke Paas Dupatta Aur Poore Kapde Khareedne Ke Bhi Paise Nahi Hain Bechari Is Liye Apne Bhai Ki Pant Shirt Pehenkar Bahar Nikalti Hain.

525. Nafrat Karna Chhod Do Muhabbat Se Kaam Liya Karo Bad'duae'n Mat Diya Karo Sabko Duaen Diya Karo, Hamesha Ye Soch Kar Guzaro Ki Hamari Zindagi Ka Talluq Aik Saan Se Hai Agar Ye Allah Ne Cheen Liya To Zindagi Hi Khatam.

526. Hatho Ki Khubsurati Ke Liye Apne Hatho Se Sadqa Dein, Aawaz Ki Khubsurati Ke Liye Apne Zubaan Se Quran Ki Tilawat Karen, Aankho'n Ki Khubsurati Ke Liye Allah Ke Khof Se Aansu Bahayen, Chehre Ki Khubsurati Ke Liye Wazu Ki Aadat Dalen, Dil Ki Khubsurati Ke Liye Apne Dil Me Allah Ki Yaad Basayen, Dimag Ki Khubsurati Ke Liye Allah Ki Bargah Me Sajda Karen.

527. Karo Wazu 5 Waqt  Ki Surat Badal Jayegi, Padho Namaz 5 Waqt Ki Seerat Badal Jayegi, Ye Duniya Ka Make-Up Kis Kaam Ka Karo "Rasool'Allah S.A.W Se Muhabbat Aakhrat Sudhar Jayegi"

528. Aap Momin Ho Ya Munafiq, Iski Pehchan Kaise Karen ? Munafiq Ko Masjid Jel Khana Lagti Hai, Aur Momin Ko Masjid Sukoon Aur Rahat Ki Jagha Lagti Hai.

529. Sone Se Pehle Sabko Maaf Karke Soya Karo Jisne Jitna Bhi Dil Dukhaya Takleef Di Gila Ki Maaf Kardo Dil Saaf Kardo Jab Koi Kisi Ko Maaf Karta Hai To Allah Kehta Hai "Mai Rehman Reheem Hun Mai Kyun Na Is Bande Ko Maaf Kardun Phir Allah Ko Uss Bande Par Rahem Aata Hai Aur Uss Bande Ko Maaf Kardeta Hai Jo Sabko Maaf Karke Sota Hai.

530. Aap Ki Aik Muskurahat Aur Narmi Ka Bartao Kisi Ki Udasi Aur Mayoosi Ki Kaifiyat Ko Door Kar Sakti Hai.

531. Jama Karlo Kitna Bhi Paisa, Heera, Moti Itna Yaad Rakhna Kafan Me Jeb Nahi Hoti Aur Mout Se Kis Ki Yaari Hai, Aaj Uski To Kal Meri Bari Hai.

532. Aye Logo'n, Neki Karne Ke Liye Agar Taklif Bardasht Karni Pade To Karlo Isliye Ke Takleef To Khatam Ho Jayegi Lekin Naiki Baki Rahegi.

533. Be Sukooni Ki Aik Wajah Ye Bhi Hai  Ki Ham Apni Pareshaniyo'n Ka Zikar Usse Karte Hain Jinhe Hamari Zara Parwah Nahi Hoti.

534. Ham Jo Karte Hain Hame Wo Galat Nahi Lagta, Hame Sirf Wo Galat Lagta Hai Jo Dusre Karte Hain.

535. Kuch Log Hamesha Haste Rehte Hain, Kyun Ki Unhe Pata Hota Hai Unka Dard Samjhne Wala Koi Nahi.

536. Bedar Kardene Wala Gam Gaafil Kardene Wali Khushi Se Behtar Hai.

537. Kisi Ki Khidmat Me Paish Kiye Jane Wale Tohfo Mai Sabse Behtreen Tohfa "Aihtram Hai".

538. Muskurana Sikhna Padhta Hai Dosto'n Rona To Zindagi Paida Hote Hi Sikha Deti Hai.

539. Jo Shaqs Mout Ko Yaad Karta Rahega, Woh Nek Kamo Me Jaldi Karega.

540. Hamari Toba Bhi Toba Ki Mohtaj Hai Kyun Ki Usme Sachhai Nahi Hoti.

541. Jab Kabhi Dil Roye To Musalle Par Baith Kar Ro Lo, Itna Sukoon Milta Hai Jaise Bohat Keemti Cheez Mil Gai Ho.

542. Ham Achhe The Achhe Hain Achhe Hi Rahenge, Fikar To Wo Karen Jo Bolte Kuch Hain Karte Kuch Hain Dikhte Kuch Hain Aur Hote Kuch Hain.

543. Kon Sikhta Hai Sirf Bato'n Se , Har Sabaq Ko Aik Hadsa Zaroori Hai.

544. Jaanwar Apne Malik Ko Pehchanta He Lekin Insan Apne Khaliq Ko Nahi Pehchanta.

545. Allah Tala Ka Banaya Hua Har Shaqs Mukammal Aur Khubsurat Hai Bas Kami Hamare "Akhlaaq" Aur "Rawaiyon" Me Hai.

546. Insan ko Parkhna Hai To Bas Itna Kehdo 'Me Takleef Me Hun'.

547. Baat Niyat Ki Hoti Hai Sahab Koi Kaaba Se Bhi Khali Haath Lout Ta Hai, Aur Koi Ghar Baithe Hi Rab Ko Paa Leta Hai.

548. Preshani Me Mazaq Aur Khushi Me Tana Mat Do Kyun Ki Isse Rishto Me Moujood Mohabbat Khatam Hoti Hai.

549. Achhe Log Kabhi Tareef Ke Mohtaj Nahi Hote Kyun Ki Phoolo'n Ko Itar Nahi Lagaya Jata.

550. Life Me 2 Taraha Ke Logo'n Se Door Rehna "Busy" Aur "Ghamndi" Kyun Ki Busy Matlab Se Baat Karega Aur Ghamandi Matlab Se Yaad Karega.

551. Jo Rishte Sach Me Gehre Hote Hain, Wo Kabhi Apne Pan Ka Shor Nahi Macahte.

552. Jab Tumhe Koi Be-Wajah Rulaye To Tum Apne Aansu Iss Yaqeen Ke Sath Saaf Kar Lena Ke Zindagi Ke Kisi Mod Par Wo Tumse Zada Royega, Beshq Allah Behtreen Insaaf Karne Wala Hai.

553. Kuch Zakham Insan ke Kabhi Nahi Bharte Bas Insan Unko Chupane Ka Saliqa Seekh Jata Hai.

554. Samhal Kar Rahein Aise Logo'n Se Jo Pehle To Aapka Dard Ro-Ro Kar Puchenge, Phir Hans-Hans Kar Logo Ko Batayenge.

556. Aqal Jitni Chhoti Hogi, ZubaAn Utni Lambi Hogi, Kyun Ki Bartan Wohi Shor Karta Hai Jo Khali Ho.

557. Lafzo Ke Bhi Zayeke Hote Hain Bolne Se Pehle Chakh Kar Zaroor Dekhen.

558.  Bohat Hain Zamane Me Ishq Wale, Kuch Rooh Wale Hain Baaki Jism Wale.

559. Khona Aur Pana Mohabbat Nahi Hoti, Mohabbat To Bas Mohabbat Hoti Hai ! AabAad Hota Hai, Ahtram Hota Hai, Kisi Ki Pukar Par Lab'baik Hota Hai.

600. Qadar Kiya Karo Unki Jo Aapke Muh Banane Ke Baad Bhi Aapse Peyar Se Baat Karte Hain.

601. Kisi Ki Zindagi Me Aane Ke Liye Bheek Mat Manga Karen Baat Karen Apna Daman Saaf Rakhein Phir Bhi Nazar Andaaz Ho Khamoshi Se Aik Taraf Ho Jayen Isi Ko "Izzat-E-Nafs" Kaha Jata Hai.

602. Waqt Ke Tamache Ki Dairi Hai Sahab, Meri Faqeeri Bhi Kiya Teri Badshahi Bhi Kya.

602. Kabhi Fursat Me Apni Khamiyo'n Par Gour Karna Dusro;n Ke Aaine Banne Ki Khuwaish Mit Jayegi.

603. Umeed Karta Hun Aap Sabhi Ko Meri Baat Samjh To Aayi Hogi, Aaj Se In Shaa Allah Aaj Se In Shaa Allah Aap Sabhi Bike Wagerah Jald Baazi Me Nahi Chalyenge, Allah Ham Sabki Hifazat Farmaye, Ameen Summa Ameen.

604. Guroor Kis Cheez Par Duniya Ke Sare Raste Kabaristan Ki Taraf Jate Hain Chahe Wo Amir Ke Mehel Se Ya Gareeb ki Jhopdi Se.

605. Kisi Ki Khidmat Me Paish Kiye Jane Wale Tohfo Me Sabse Behtreen Tohfa "Aihtram" Hai.

606. Muskurana Sikhna Padta Hai Dosto'n Rona To Zindagi Paida Hote Hi Sikha Deti Hai.



Comments

Popular posts from this blog

ALLAH

Mard Aur Aurat