Dua



1. Mushkil Wakht Mai Hamesha Dua Karen Kyun Ki Jahan Insan Ka Hosla Khatam Hojata Hai Wahan Se Allah Ki Rehmat Shuru Ho Jati Hai.

2. Wo Din Kabhi Mat Dikhana Ya Rab Ke Mujh Mein "Guroor Aajaye" Rakhna Sab Ke Dilo'n Mein Kuch Is Tarah Ke Har Koi Dua Dene Par Majboor Ho Jaye.

3. Zaroori Nahi Dua Mangte Wakht Buhut Sare Alfazo Ka Istemal Kiya Jaye, Woh To Sharmindagi Ka Gira Hua Ek Aansu Dekh Kar Bhi Dil Ka Haal Jan Jata Hai

4. Yeh Bhi Ek Dua Hai Khuda Se Kisi Ka Dil Na Dukhe Hamari Wajah Se Aye Khuda Karde Kuch Aisi Inayat Ham Pe Ke Khushiyan Hi Milen Sabko Hamari Wajah Se.

5. Logon Ko Dua Ke Liye Kehne Se Zayada Behtar Hai Aide Aamal Karo Ki Logo Ke Dilse Aapke Liye Dua Nikle

6. Woh Gunahgaar Ki Bhi Dua Suna Karta Hai Aye Insan Haath Mayus Nahi Honge Utha Kar To Dekh.

7. Khubsurat Zindagi Ka Raaz:-  Dua Ki Jaye, Dua Di Jaye, Aur Dua Li Jaye.

8. Dua Aisa Khubsurat Amal Hai Jisme Mangne Wala Apni Preshaniyan Khuda Ke Hawale Kar Deta Hai Aur Khuda Jawab Mein Apni Rehmatein Uski Jholi Mei Daal Deta Hai.

9. Jab Kisi Ko Dua Do Achhi Aur Dil Se Dena Kyun Ki Wo Dua Pehle Aap Ke Apne Haq Mein Qubool Hoti Hai.

10. Jo Kismat Mai Na Ho Woh Rone Se Nahi Milta Magar Duaon Se Mil Jata Hai.

11. Insan Ki Asal Mout Tab Hoti Hai Jab Wo Kisi Ke Dil Aur Dua Se Nikal Jata Hai.

12. Dua Na Mangne Wale Haath Uss Registan Ki Tarah Hai Jis Par Baadal Bina Barse Guzar Jate Hain Isliye Har Wakht Allah Ki Rehmat Ke Talabgaar Rehna Chahiye.

13. Ya ALLAH Ham Sabko Muhammad Sallahu Aleehi Wasslam Ke Gar Mein Aana Qabul Farma Aur Hamara Hajj Bhi Umra Bhi Qabul Farma Chahe Ameer Ghar Ka Ho Ya Garib Ghar Ka Har Ek Insan Qabul Farma Lijiye Ameen Summa Ameen.

14. Mangu To Kya Mangu Mangne Ke Liye Kuch Rakha Hi Nahi, Allah Itni Muhabbat Apne Bando Se Ki Ke Bina Mange Apna Mehboob De Diya, Bass Ab Dua Hai Huzoor Ke Muhabbat Dil Mai Basi Rahe.

15. Ya Rab Meri Soii Hoi  Taqdeer Jaga De Aankhen Khule To Mujhe Madina Bhi Dikha De.

16. Ya Rab Zindagi Mein Bass Itna Kama Sakun, Bass Apne Ammi Abbu Ka Hajj Karwa Sakun.

17. Ya Allah, Jin Bhaiyon, Behno Ki Shadiyo Mein Rukawte Aur Preshaniyan Aarahi Hain, Unki Sari Preshaniyon Ko Door Farma Aur Unke Liye Neik Saleh Rishte Ata Farma (AMEEN)

18. Allah Aapko Ata Kare Wo Imaan Jis Mein Lazzat Ho, Wo Aankh Jis Mein  Haya Ho, Wo Zabaan Jisme Taseer Ho, Wo Dill Jisme Allah Ka Dar Ho, Wo Seena Jisme Quran Ho Wo Zindagi Jisme Sukoon Ho Aur Jannat Me Wo Maqaam Jo Huzoor Sallallahu Wa Alaihi Wasallam Ke Pados Mein Ho.

19. Dua Apne Liye Mangna Ibadat Hai Aur Dusron Kai Liye Mangna Khidmat Hai, Ibadat Se Jannat Milti Hai Aur Khidmat Se Allah.

20. Aye Allah Iss Jummah Mubarak Ke Sadke Mein Hamari Mushkilo Ko Door Farma AuR Tamam Jayez Duao Ko Qabool Farma (Ameen)

21. Ya Allah Jumma Ke Din Jitne Bhi Haath Dua Ke Liye Uthen Un Sab Ke Unn Sabke Dilon Ki Murad Poori Farma (Ameen) Jo Ladke Ladkiyan Nikah Ke Umar Ko Pahunch Gaye Unke Liye Sahi Nek Jode Ka Intezaam Farma Aur itni Shadiyan Ho Chuki Hain Un Jogo Ki Muhabbat Aakhri Saans Tak Kayam Rakhna Jo Be Aulad Hain Unko Nek Aulad Ata Farma Aur Jinki Aulad Hain Unki Aulado Ko Unke Maa Baap Ki Aankhon Ki Thandak Bana (Ameen)

22. Ya Allah Har Ladke Ladki Ko Apne Hifzo Aaman Me Rakhna (Ameen)

23. Ya Allah Har Beti Ke Armano Ko Pura Karna.

24. Dua Qabul Hone Ka Wakht:- Farz Namaz Ke Baad, Aazan Aur Aaqamat Ke Darmiyan, Tahajjud Ke Wakht, Barish Baraste Wakh Safar Me, Aftar Ke Wakht, Jumma Ke Din Ek Ghadi, Shab-e-Qadar Mein, Aab-e-Zam-Zam Peete Wakht, Arafat Ke Din Maidan-e-Arafat Me, Quran Pak Ki Tilawat Ke Baad Bimari Ki Halat Me.

25. Aye Allah Ham Kamzor Aur Khatawar Hain Ham Teri Rehmat Ke Talabgaar Hain Ham Par Apna Khususi Fazal-o-Karam Farma Hamare Sageera-wa-Kabeera Gunnah'on Ki Maafi Farma Aur Hame Khasara Uthane Walo Me Shamil Na Karna Hamare Dil'on Ko Hidayat Aur Noor Se Bharde Ameen.

26. Ya Allah Jumma Ke Sadqe Me Mangi Gai Dua Qabul Farma Ameen.

27. Duaein Radd Nahi Hoti Janab, Bas Behtreen Wakht Pe Qabul Hoti Hai.

28. Wo Ishq Mujhe Kabhi Na Dena Ya Rab Jisme Tere Hi Samne Roke Tujhse Hi Kisi Aur Ko Mangu.

29. Chotti Si Zindagi Hai Meri 'Maa Aur Baap' Ya Allah Hamare Maap Baap Ko Salamat Rakhna Ameen.

30. Ek Din Hame Chupke Se Chale Jana Hai Kisi Ko Khabar Nahi Honi Ya Allah Hame Aisi Mout De Agar Log Hame Baadme Yaad Karen To Unki Nekiyo Me Izafa Ho Aur Unke Alfaz Hamari Magfirat Ka Zariya Bane (Ameen)

31. Zara Si Galti Ho Jaye To Allah Se Haath Jod Kar Maafi Manglo Kehdo Ke 'Aye Allah Mai To Nadan Hun, Khata Ka Putla Hun Mujhse Galtiya'n Hojati Hein Lekin Tu To Raheem-O-Kareem Hai Agar Tu Ham Par Apna Fazal Karke Darguzar Kar Dega To Ham Bach Jayenge Warna Allah Hamara Koi Pursan-E-Haal Na Hoga, Allah Paak Hamne Apni Jaan'o Par Zulam Kiya Agar Tune Hamko Maaf Na Kiya Ham Par Rahem Na Kiya To Ham Nuqsan Uthane Walo Me Se Ho Jayenge.

32. Ya Allah Paak Khubsoorat Banane Wale Jaise Tune Hamari Shakal Surat Ko Khubsoorat Banaya Hai Aise Hi Hamare Kirdar Aur Aamal Ko Khubsoorat Bana De Ameen.

33. Ya Allah Meri Wajah Se Kabhi Kisi Ka Dil Toota Ho To Ya Kisi Ko Takleef Pahonchi Ho To Aye Allah Mujhe Maaf Karde, Mujhe Maaf Karde.

34. Dua Hai Kabhi Koi Aapka Dil Na Tode Kabhi Koi Aapka Sath Na Chodhe Kabhi Koi Aapko Dard Na Mile Kabhi Koi Aapki Muskurahat Na Cheene.

35. Dua Dil Se Mangi Jati Hai Zuban Se Nahi Kyun Ki Dua Unki Bhi Qubool Hoti Hai Jinki Zuban Nahi Hoti.

36. Sabar Itna De Mujhe Ya Rab Ke Koi Dhoka De To Bhi Uske Liye Mere Labon Se Dua Hi Nikle.

37. Zaroor Nahi Dua Mangte Wakht Bahot Sare Lafz Ka Istemal Kiya Jaye Wo To Sharmindagi Me Gira Ek Aansu Dekh Kar Dil Ke Haal Jaan Jata Hai Bina Mere Kuch Kahe Meri Niyat Samjh Jata Hai Phir Ye Kaise Mumkin Hai Ki Main Dil Se Allah Ko Pukarun Aur Wo Mera Dard Aur Takleef Na Samjhe.

38. Ya Allah Mere Walidein Meri Zindagi Aur Jannat Dono Hai  Jane Anjane Me Unka Dil Dukha Deti Hun Ya Allah Apne Peyare Habib Ke Sadqe Mujhe Maaf Karde Unse Har Aazmasih Ko Door Kar De Aur Unka Saya Mere Sar Par Ta Uamr Rakhna.

39. Ham Gunahgar Hain Maula Khatakar Hain, Jaise Bhi Hai Hamari Mushkilo Ko Door Farma De Ameen.

40. Aye Mere Allah Be Saharon Ko Sahara De De, Kamzoro Ko Kuwat De De, Be Auladon Ko Aulad De Dw, Bimaron Ko Shifa De De, Tangastiyon Ki Tangasti Ko Door Kar Aur Jo Preshan Hain Unki Pareshaniyon Ko Door Farma Ameen.''

41. Ya Allah Ham Gunhagaar Bande Hain, Hamare Gunaho Ko Baksh De, Ya Allah Jo Bimar Hain Unhe Shifa De, Jo Be Aulad Hain Unhe Nek Saleh Aulad Ata Kar Ya Allah Har Bete Biwi Ka Naseeb Accha Kar De, Hamare Walidein Ka Sahara Hamesha Hamare Sar Par Bana Rahe, Ya Allah Hame Hidayat De, Ameen.


42. Ek Maa Ke Liye Uska Beta 'Shehzada' Hota Hai, Ek Behen Ke Liye Uska Bhai 'Hero' Hota Hai, Ek Biwi Ke Liye Uska Shohar Uski Puri 'Zindagi' Hoti Hai, Aur Ek Beti Ke Liye Uska Baap 'Super Man' Hota Hai, "Allah Har Sehzade, Hero, Zindagi, Super Man Ko Hamesha Salamat Rakhe "Ameen Summa Ameen"

43. Ya Allah, Mujhe Aisi Neend Na De Jisse Namaz-E-Fajar Qaza Ho, Aisi Susti Na De Jisse Namaz-E- Zuhar Qaza Ho Aisi  Masrufiyat Na De Jisse Namaz-E-Asar Qaza Ho Aisi Mehfil Na De Jisse Namaz-E- Magrib  Qaza Ho, Aisi Thakawat Na De Jisse Namaz-E- Isha Qaza Ho (Ameen)

44. Har Namaz Ke Baad 3 Martaba Pehla Kalma Padho Aur Ye Dua Mango Ke Aye Allah Tere Paas Meri Ye Amanat Hai Aur Marne Se 2 Mint Pehle Mujhe Ye Lota Dena Allah Kabhi Amanat Me Kheyanat Nahi Karta.

45. Ya Allah Teri Rehmat Ke Aage Hamare Gunnaho Ki Kya Qeemat Hai Mere Mola Ham Sabke Gunnaho Ko Apni Rehmat Se Maaf Farma De Aur Parhezgaar Bana De Mere Rab (Ameen)

46. Ya Allah Hamare Dilo Me Apni Aur Apne Mehbub Ki Muhabbat Daal De Deen Ka Dai Bana De "Ameen"

47. Ya Allah Jis Bhi Shaqs Ne Mera Dil Dukhaya Hai Usay Zindagi Ki Har Khushi Dena Bas Allah Meri Itni Iltaja Hai Mera Dil Se Usay Nikaal Kar Tu Apni Muhabbat Bhar De. 

48. Mushkil Wakht Me Gidgida Kar Dua Kiya Karo Kyun Ki Jahan Insan Ka Hausla Khatam Hojata Hai Wahan Rehmat'e Khuda Wandi Shuru Hoti Hai.

49. Karde Mere Gunaho Ko Maaf Aye Khuda, Suna Hai Sone Ke Baad Kuch Logo Ki Subha Nahi Hoti.

50. Ya Rab, Bas Itna KamyAab Ban Jaun Ke Pancho Wakht KI Namaz Ka Paband Ban Jaun Ameen.

51. Ya Allah Mai Jab Bhi Mayoos Ho Jaun To Meri Madad Farma Kyun Ki Meri Zindagi Ke Bare Me Tere Faisle Meri Khuwashison Se Behtar Hai.

52. Ya Allah Hame Mangne Ka Salika Nahi Aata Phir Bhi Har Roz Haath Phelaye Iss Yaqeen Ke Sath Tujhse Mangte Hain Ke Tere Siwa Hamari Duao Ko Qabool Karne Wala Koi Nahi Aye Malik Hamari Tooti-Phooti Dua'on Ko Na Dekh Hamara Tujh Par Jo Kamil Yaqeen Hai Usko Dekh, Aur Hamari Hajato Ko Pura Kar De "Ameen".

53. Dua Yeh Naya Saal Kuch Iss Tarha Guzre Uske Baad Yeh Dil Kabhi Gaflat Me Na Doobe

54. Zindagi Me Kabhi Kisi Ke Sath Ki Umeed Hadd Se Zeyada Mat Rakho Balke Allah Se Yeh Dua Mango Ke Usay Meri Zindagi Me Shamil Karde Nahi To Mere Dil Se Ya Rab Uski Talab Nikal De.

56. Ya Allah Mere Woh Muamlaat Jin Me Mera Ikhtiyar Nahi Jahan Me Bebas Hun Un Me Meri Madad Farma Mujhe Akela Mat Chodd.

57. Agar Koi Cheez Taqdeer Me Nahi Bhi Likhi Ho To Phir Bhi Dua Zaroor Karni Chahiye Kyun Ki Taqdeer Ke Samne Ham Be Bas Hain Taqdeer Likhne Wala To Bebas Nahi Hai.

58. Khoobsurat Zindagi Ka Raaz, Dua Ki Jiye, Dua Di Jiye, Aur Dua Li Jiye.

59. Ya Allah Tu Raat Ko Jis Tarah Din Me Badlta Hai Usi Tarah Hamari Pareshaniyo Ko Aasani Me Badal De (Ameen)

60. Thodi Si Ibadat Bohat Sa Sila Deti Hai Kabhi Kabhi Choti Si Dua Arsh Hila Deti Hai.

61. Jab Dua Mango To Itne Yaqeen Se Mango Ke Allah Meri Dua Zaroor Qubool Karega Beshq Allah Kisi Ka Yaqeen Nahi Todta Aur Jo Banda Yaqeen Ke Sath Dua Mangta Hai To Allah Uski Dua Jald Qubool Karleta Hai, Beshq Hamara Rab Hame 70 Mao'n Se Bhi Zeyada Muhabbat Karta Hai.

62. Qismat Badal Jayegi Zara Dil Se Dua Karo Duniya Bhi Hil Jayegi Agar Dil Se Dua Karo Din Raat Me Aik Ghadi Qabuliyat Ki Aati Hai Manzil Bhi Mil Jayegi Aagar Dil Se Dua Karo.

63. Ya Allah, Mere Naseeb Aisa Hamsafar Likh De Jo Meri Galti Par Mujhe Bachcho Ki Tarha Samjhaye, Jo Mere Sath Duniya Ghumne Ke Bajaye Mujhe Khana-e-Kaba Aur Madina-Munawara Ki Ziyarat Kar Waye Aur Mujhse Kabhi Teri Na Farmani Hone Lage To Wo Mera Hath Tham Kar Bole "Me Jannat Me Akele Nahi Jana Chahta Mujhe Jannat Me Bhi Aapka Sath Chahiye.

64. Kabhi-Kabhi Lagta Hai Zindagi Gunaho Me Doob Si Gai Hai Kabhi Mout Ka Khyal Aajaye To Dar Lagta Hai, Maine Zindagi Me Jannat Ke Liye Kiya Kya Hai Apni Masti Aur Duniya Ki Chehel Pehel Ke Alawa Kiya Kya Hai Ya Allah Me Nikalna Chahta Hun Bure Kamo Se Mujhe Himmat De Hidayat De Ameen.

65. In Shaa Allah-Ul-Azeez Allah Rabul Izzat Hame Har Haal Me Jhoot Se Perhaz Karne Ki Taufiq Ata Farmaye, Aur Hamesha Sach Bolne Ki Taufiq Ata Farmaye Ameen.

67. Ye Aankhein Khushk Hain Ya Rab Inhe Rona Nahi Aata Sulagte Daag Hain Dil Me Jinhe Dhona Nahi Aata.

68. Dua Ki Qabuliyat Aawaz Ki Bulandi Nahi Balke Dil Ki Tadap Ka Takaza Karti Hai.

Comments

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat