Beti


1. Betiyon Ka Dukh Samjhna Buhut Mushkil Hota Hai Inke Liye Us Ghar Me Hi Jagha Nahi Rehti Jahan Wo Peda Hotin Hein.

2. Larkiyo Ko Chand Sitaro Ki Zaroorat Nahi Hoti Balke Izzat Muhabbat Aur Unko Samjhne Wale Chahiye Hote Hein.

3. Jab Koi Ladki Paida Hoti Hai To Allah Farmata Hai "Aey Ladki Tu Zameen Pe Utar Mai Tere Baap Ki Madad Karunga"

4. Kisi Ne Kiya Khubsurat Baat Kahi Hai Beta Sirf Us Wakht Beta Hota Hai Jab Tak Uski Shadi Nahi Hojati, Beti Uss Wakht Tak Beti Rehti Hai Jab Tak Qabar Ki Aagosh Me Nahi Chali Jati.

5. Khush Naseeb Hoti Hai Wo Aurat Jiski Pehli Aulad Beti Hoti Hai.

6. Beti Baap Ki Izzat Aur Maa Ka Sukoon Hoti Hai Ghar Ki Ronaq Aur Barakt, Beti Se Hoti Hai.

7. Beti Allah Ki Taraf Se Khubsurat Tareen Tofa Hai.

8. Beti'an Aur Biwi'an Sabhi Fatima (R.A) Jaisi Chahte Hein Magar Na Toh Koi Muhammad (S.A.W) Jaisa Baap Banta Hai Aur Ali (R.A) Jaisa Shohar.

9. Beti Wo Phool Hai Jo Har Baag Mai Nahi Khilti, Sirf Kismat Walo Ko Naseeb Hotin Hein.

10. Betiyan Sab Ke Muqaddar Me Kahan Hoti Hein, Ghar Allah Ko Jo Pasand Aaye Wahan Hoti Hein.

11. Talluq Mera Uss Mazhab Se Hai Janab Jis Ki Beti Agar Gudiya Bhi Kharidegi To Dupatta Sath Legi.

12. Beti Ke Achhe Naseeb Ki Duaen To Har Maa Karti Hai Dua Hai Ke Jo Maa Ki Duaen Qabool Ho Jaye "AMEEN"

13. Kisi Ki Beti, Bahu Ko Tane Mat Maro Ke Tu To Aisi Hai, Tu Vo Vesi Hai Or Zulm Bhi Mat Karo Ki Uski Sabar Ki Had Hi Tut Jae Kya Aap Apni Beti Ke Sath Kuch Aisa Hote Hue Bardasht Kar Sakte Hein...? Nahi Na ! To Phir Wo Bhi To Kisi Ki Beti Hai Na... To Phir Aisa Kuch Mat Karo Jo Aap Apni Beti Ke Sath Hote Hue Bardasht Nahi Kar Sakte.

14. Beti Ko Chand Ki Tarah Nahi Hona Chahiye Jise Har Koi Be Naqab Dekh Sake Balki Beti Ko Suraj Ki Tarah Hona Chahiye Jise Dekhne Se Pehle Aankhen Jhuk Jaye.

15. Ek Beti Ne Aapne Walidein Se Pucha Mai Badan Ke Kitne Hisse Ka Parda Karun Aur Kitne Hisse Khula Chorun ? Walid Ne Jawab Diya "Beti Badan Ke Jitne Hisse Pe Dozak Ki Aag Bardasht Kar Skati Ho Utna Hissa Khula Chord Do.

16. Jante Ho..! Beti Ka Haq Konsa Hai Jo Ham Ada Nahi Karte Uski Pedaish Pe Khush Hona.

17. Ek Meethi Si Muskan Hai Beti Ye Sach Hai Ki Mehman Hai Beti Uss Ghar Ki Pehchan Ban'ne Chali Beti Jiss Ghar Se Anjaan Hai Beti.

18. Beti Wo Niamat Hai Jab Hazrat Fatima Razi Allah Anhu Tashreef Lati To Mehbub-e-Allah Bhi Istaqbaal Mai Uth Khade Hote The Ke Meri Beti Aai Hai. 

19. Kuch Log Ladkiyo'n Ko Khilona Samjhte Hain Par Wo Ye Bhool Jate Hain Wahi Khilona Unke Paas Unke Ghar Me Bhi Hoti Hai So Please Aisi Soch Se Bahar Niklen.

20. Acchi Ladkiyan Apne Dil Ki Udasi Ko Music Darama Ya Chatting Se Door Nahi Kartin Balke Namaz, Quran Aur Dua Se Dur Kartin Hain Beshq Sukoon To Sirf Allah Ki Yaad Me Hai.

21. Hooro'n Ke Khawab Dekhne Walo Pehle Bint-e-Hawwa Ki To Izzat Karlo Apni Soch Ko Badal Aye Magroor Ibn-e-Adam Hawwa Ki Beti Sar Ka Taaj Hai Pair Ki Jooti Nahi.

22. Kahin Rab Ki Rehmat To Kahin Lakshmi Inki Izzat Karo, Har Mazhab Ne Inhe Uncha Darja Diya Hai.

23. Mai To Apni Maa Ke Bagair Ek Pal Nahi Reh Sakta Na Jane Betiyan Ye Hunar Kahan Se Lati Hain.

24. Kismat Ka Ikhtiyar Allah Ke Paas Hai, Beti Ameer Ki Ho Ya Gareeb Ki Ya Allah Har Beti Ka Naseeb Accha Farma.


25. Jis Ladki Ko Aap Bewafa Keh Rahe Hain Na, Jisne Aapko Chorr Diya Apne Maa Baap Ke Khatir, Kal Aisi Beti Par Naaz Hoga Aap Ko.

26. Betiyan Aisi Adakar Hain Jo Har Dukh Takleef Chupa Kar Aise Muskurati Hain Jaise Duniya Me Unse Zeyada Koi Khush Na Ho.

27. Ladkiyan Khilona Nahi Hoti Logo'n Bass Peyar Me Gudiya Kehte Hain.

28. Shoq Aur Zidd To Tab Tak Hoti Hai Jab Tak Beti Apne Maa Baap Ke Ghar Hoti Hai.

29. Achhi Ladkiyan Khud Toot Jatin Hain Magar Apne Maa-Baap Ko Kabhi Nahi Toot Ne Detin.

30. Asaan Nahi Hota Kisi Bhi Ladki Ke Liye "Qabul Hai" Bolkar Ruksat Hona Ye Bhi Beti Ki Ek Qurbani Hai. 

31. Betiyo'n Ke Maamlat Me Kuch Mauqe Aise Bhi Hote Hain Jahan Maa Baap Bhi Bebas Ho Jate Hain Wo Apni Beti Ko Har Cheez Har Aish De Sakte Hain Siwaye Acche Naseeb Ke 'Allah Rabul Izzat Har Beti Ka Naseeb Acche Kare 'Ameen' 

32. Betiyan Tab Badi Nahi Hua Karti Jab Wo Sasural Chali Jayen Wo Tab Badi Ho Jaya Kartin Hain 'Jab Wo Apni Maa Se Chote-Chote Dukh Aur Baap Se Choti-Choti Zaroorat Ka Izhar Band Kar Deti Hai', Ke Unko Takleef Na Ho. 

33. Mere Bhaiyo Jahaiz Ke Liye Kisi Ki Beti Ki Zindagi Barbad Mat Karo Agar Mard Ho To Mehnat Se Kama Ke Lao.

34. Apni Soch Ko Badal Aye Ibne-Aadam Hawwa Ki Beti Sar Ka Taj Hai Pair Ki Juti Nahi.

35. Beti Ki Zaat Agar Muqddas Na Hoti To Allah Kabhi Nabi Kareem (S.A.W) Ka Silsila Aik Beti Se Shuru Na Karta.

36. Zaroori Nahi Beto Se Naam Roshan Ho Mere Nabi Ka Khandan To Beti Se Roshan Hai.

37. Hosla To Dekhiya Maa Baap Ka Gairon Ko Sonp Dete Hain Beti Ko Paal Kar.

38. Ajeeb Riwaj Hai Is Mashre Ka Ghar Ki Ronaq Bhi Do Aur Jahiz Bhi.

39. Kisi Ki Beti Ki Zindagi Tabha Karna Aik Karz Hai Jo Aapke Kisi Karibi Ko Ada Karna Padega.

40. Jiski Beti Ki Shadi Kisi Acche Aadmi Se Ho Jati Hai To Unko Beta Mil Jata Hai Warna Wo Apni Beti Ko Bhi Kho Dete Hain. 

41. Zaroori Nahi Ke Roshini Chiragon Se Hi Ho, Betiya'n Bhi To Ghar Me Ujala Hua Karti'n Hain.

42. Suno Hawwa Ki Beti Ye Jo Tum Ladko Se Dosti Karti Ho Aur Kuch Ladke Tumhe Sister Kehkar Message Karte Hain Aur Baat Karte Hain Tumse Yeh Sab Islam Me Haram Hai Na Mehram, Na Mehram Hota Hai Chahe Wo Koi Bhi Ho Na Mehram Se Be Wajah Batein Karna Chatting Karna Haram Hai Time Pass Ke Liye Tum Na Mehram Se Batein Karti Ho Tum Aik Muslim Khatoon Ho Beti Ho Behen Ho Apni Izzat Wa Abroo Ka Khayal Rakho.

43. Beti Ke Hatho Ki Mehendi Ka Rang To Kuch Hi Dino Me Utar Jata Hai, Magar Baap Ka Qarz Kai Salo'n Tak Nahi Utarta Isiliye "Nikah Ko Aasan Karo Sunnato Ko Aam Karo".

44. Aaj Kal Maa Baap Beti Ki Pedaish Se Nahi Darte Uske Naseeb Se Darte Hain Lekin Yaad Rakho Aurat Ko Uss Din Sare Huqooq Mil Gaye Jab Quran Me Allah Ne Puri Surat (Surah: Nisa) Aurat Ki Shaan Me Nazil Kardi.

Comments

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat