Ramadan Kareem



1. Har Gunah Ke Peeche Shaitan Ka Hath Nahi Hota, Ye Batane Ke Liye Mahe Ramadan Aaraha Hai.

2. Jab Wo Kareem Zaat Ummat Ko Bakhshne Par Aata Hai To Tohfe Me 'Ramadan' Ata Karta Hai.

3. Mout Ko To Aana Hi Hai, Par Jo Mout Ramzan Me Aaye Uski Baat Hi Kuch Aur Hai.

4. Fark Nahi Pardta Kisi Bhi Mousam Ke Aage, Haar Jayegi Ye Garmi Bhi Roze Daron Ke Imaan Ke Aage.

5. Ya Allah Hame Mah-e-Ramzan Ke Liye Sehtiyab Karde.

6. Mahine To Bohat Hain Par Ramzan Jaisa Koi Nahi.

7. Rasool'Allah (S.A.W) Ne Farmaya 'Ramzan Ka Mahina Jo Hi Aata Hai Jannat Ke Tamam Darwaze Khol Diye Jate Hain Hatta Ke Aik Bhi Band Nahi Rehta Aur Jahannum Ke Tamam Darwaze Band Kar Diye Jate Hain Ke Aik Bhi Khula Nahi Rehta Aur Tamam Sirkash Jinn Aur Shayateen Qaid Kar Liye Jate Hain (Sahi Muslim)

8. SubhanAllah Kya Fazilat Hai Iss Mahine Ki Zra Gour Kijiye Accha, Yahan Aap Aik Aur Baat Bhi Soch Sakte Hain Ke Abhi Jannat Me Kon Gaya Hai Aur Jahannum Me Koun..? Wo Sab To Qayamat Ke Baad Jayenge To Kyun Jannat Aur Jahannum Ka Tazkira Hadees Me Aa Raha Hai..?

9. SubhanAllah Gour Karne Wali Baat Hai Ke Ramzan Ka Umrah Hajj Ke Barabar Sawab Hota Hai, Lekin Yaad Rahe Ye Hajj Ko Saaket Nahi Karta, Hajj Ko Exceptional Nahi Kar Deta Ke Hajj Ke Badle Ab Ham Umrah Hi Karenge, Aisa Bilkul Bhi Nahi Hai, Lekin Uske Barabar Ajar Aur Sawab Deta Hai, To Allah Tala Ne Jisko Maalo Doulat Ke Fazl Se Nawaza Ho Wo Zaroor Is Mahine Me Umrah Ki Koshish Kare.

10. Darhakikat Ye Jannat Ke Darwaze Kholna Aur Jahannum Ke Darwaze Band Karna Ye Aik Alamat Hai, Ye Aik Ishara Hai Ke 'Iss Mahine Apne Rab Ki Ita'at Karke Apni Magfirat Hasil Karlo, Jahannum Ke Darwaze Band Kardiye Hain Iss Mahine Allah Ta'ala Ailaan Kar Raha Hai Ke Apne Se Ruk Jao, Mujhse Taoubah Karlo, Dekho Band Karliya Hai Hamne Jahanum Ko 'To Iss Hadees Me Alamat Farmayi Allah Ke Rasool (S.A.W) Ne Ke Iss Mahine Aasan Hai Neki Ka Karna. "Lihaza Apne Maasiyat Apne Gunnaho Se Sacchi Aur Pakki Taubah Kar Ke Rab Ki Rehmato Ka Mustahiq Hone Wala Azeem Mahina Hai Ye.

11. Sirf Kuch Din Door, Woh Sehri Ka Maza, Woh Quran Ki Tilawat, Woh Roze Ki Barkat,Woh Aftar Ka Intezar, Woh Tarawih Ka Sajda.

12. Be-Zubano Ko Jab Wo Zuban Deta Hai, Padne Ko Phir Wo Quran Deta Hai, Bakhshne Me Jab Aata Hai Wo Ummat Ke Gunnah To Tohfe Me Gunnahgaro'n Ko Ramzan Deta Hai.

13. Kitni Jaldi Ye Armaan Guzar Jata Hai, Peyas Lagti Nahi Iftar Guzar Jata Hai Ham Gunahgaro'n Ki Magfirat Kar Mere Allah Ibadat Hoti Nahi Aur Ramzan Guzar Jata Hai.

14. Bad Naseeb Hai Woh Shaks Jo Ramzan Ke Mahine Me Bhi Allah Ki Rehmat Se Mehroom Reh Jaye.

15. Rasoolullah (S.A.W) Ne Ramzan Ke Mutalliq Irshad Farmaya, Chaar Chizon Ki Ia Ramzan Me Kasrat Rakha Karo Kalima Taiyebah Aur Istighfaar Ki Kasrat Karo Jannat Ki Talab Karo Aur Aag Se Panaah Maango 'Ibne Khuzaimah: 1887'

16. Allah Ta'ala Ka Irshaad Hai 'Aye Imaan Walo Tum Par Roze Farz Kar Diye Gayen Hain, Jis Tarah Tum Se Pehle Logon Par Farz Kiye Gaye The, Taake Tumhare Andar Taqwa Paida Ho, Rasool-Akram (S.A.W) Ne Irshad Farmaya 'Jo Aadmi Sharai Uzr Aur Beemari Ke Bagair Ramzan Ka Aik Roza Bhi Chhod De, Phir Wo Uski Jagah Umar Bhar Bhi Roze Rakhe To Jo Cheez Faut Ho Gai Woh Poori Ada Nahi Ho Sakti.

17. Jo Shaks Allah Tala Ki Raza Ke Liye Aik Din Ka Roza Rakhega To Allah Tala Uske Aur Jahannum Ke Darmiyaan Aik Aisi Khandaq Bana Dega Jiski Masaafat (Distance) Aasaman Wa Zameen Ke Darmiyaan Ke Baraabar Hogi.

18. Hazrat Abu Huraira Razi Allah Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya 'Jab Koi Bhool Gaya Aur Kha Liya Pi Liya To Usay Chahiye Ki Apna Roza Poora Kare Kyun Ki Usay Allah Ta'ala Ne Khilaya Aur Pilaya.

19. 1 Ramzan Me Roza Rakhne Walon, Roza Poore Jism Ka Hota Hai Roza Aankho Ka Hota Hai In Aankho Se Hamne Movies Ya Kisi Gair Mehram Ko Nahi Dekhna Roza Kano Ka Hota Hai, In Kano Se Song Ya Kisi Ki Burai (Geebat) Nahi Sunni, Roza Zubaan Ka Hota Hai, Is Zubaan Se Hamne Kisi Ki Burai (Geebat) Ya Gair Mehram Se Baat Nahi Karni Na Hi Fazul Batein Karni Hai Roza In Hatho Aur Ungliyo'n Ka Hota Hai In Hatho Se Galat Kaam Ya Kisi Ko Marna Ya Kisi Gair Mehram Se In Ungliyo Se Chat Nahi Karni Jaise Ham Aaj Kal Relationship Me Hokar Apne BF\GF Ko Apna Samjh Kar Usay Batein Karte Chatting Karte Halake Wo Hamare Apne Nahi Gair Mehram Hi Hote Hain.

20. 2 Umeed Hai Aap Sab Samjh Gaye Honge Aur Aage Se Roza Makruh Nahi Karenge Sahi Tarah Se Poore Jism Ka Roza Rakhenge Lihaza Is Ramzan Me To Allah Ki Nafarmani Nahi Karna, Jo Likha Hai Maine Mere Bhaiyo Bheno Amal Karna Please Aapke Liye Hi Bhalai Hai Aapka Roza Allah Ko Bohat Pasand Aayega Agar Aapko Roze Me Time'Paas Hi Karna Hai To Tasbih Padhein Quran Padhein Namaz Aaram Se Padhein, In Shaa Allah Aapka Din Bina Takleef Ke Jaldi Guzar  Jayega Bure Kamo Se Perhaiz Karna.

21. Ya Allah..! Ramadan Mubarak Ki Aamad Hai Hame Zeyada Se Ziyada Nekiyan Kamane Aur Buraiyon Se Door Hone Ki Taufeeq Ata Farma Ameen.

22. Ibadat Wo Hai Jisme Zaruraton Ka Zikar Na Ho Sirf Uski Rehmaton Ka Shukar Ho.

23. Aye Roze Daar.! Shukar Kar Allah Ka, Ke Tere Paas Sehri Aur Iftari Ka Samaan Mojood Hai, Yaad Kar Unhe Jin Logo Ka Roza Faake Se Shuru  Hua Aur Iftaar Me Sirf  Pani Ke Aalawa Kuch Bhi Mayassar Na Hua.

24. Wo Mahina Aaraha Hai Jisme Duniya Ka Samaan Mehenga Aur Aakhirat Ka Samaan Sasta Ho Jata Hai.

25. Aye Magrib Ki Aazan Tere Kal Aur Aaj Me Kitna Farq Hai, Kal Tu Sabke Intezar Me Thi Aur Aaj Sab Tere Intezar Me Hain.

26. Kisi Ke Acche Din Aaye Ya Na Aaye Musalmano Ke Acche Din Aagai Hain 'Mahe Ramzan Mubarak'

27. Kuch Cheezain Aisi Hain Jo Ramzan Ki Rehmaton Ko Rok Leti Hai, 'Sharab Ki Aadat Ramzan Ki Rehmaton Ko Rok Leti Hai', 'Maa Baap Ki Na Farmani Ramzan Ki Rehmato Ko Rok Leti Hai', 'Rishtedaron Se Ladai Ramzan Ki Rehmaton Ko Rok Leti Hai' 'Dil Me Nafrat Paalna Kisi Ke Liye Ye Ramzan Ki Rehmato Ko Rok Leti Hai.

28. Aye Mahe Ramzan..! Aye Allah Ke Mehman, Muntazir Hain Tere Iman Wale Quran Wale Taraweeh Wale.

29. Garmi Chahe Kitni Bhi Ho In Shaa Allah Roze Poore Rakhenge Kyun Ki Ye Mere ImAan Mere Sabar Aur Mere Rab Se Muhabbat Ka Imtehan Hai.

30. Ramzan Me Aik-Aik Sajda Qeemti Hai.

31. Ibadat Ke Lamhon Me Mera Aik Kaam Karna Har Sehri Se Pehle Har Sehri Ke Baad, Har Iftar Se Pehle Har Iftar Ke Baad Apni Duaon Me Mujhe Yaad Rakhna.

32. Hadees-E-Paak Me Aata Hai Ke Ramzan Ka Qlb (Heart) Hai, Agar Ye Durust Raha To Poora Saal Durust Hai Isliye Iman-E-Rabbani Maulana Mujaddid Alf Saani (Rah) Farmate Hain Ke Ramzan Ke Mahine Me Itni Barkat Ka Nuzool (Nazil) Hota Hai Ke Baaqi Poore Saal Ke Mahino Ko Ramzan Ke Mahine Ke Saath Bhi Nahi Jo Qatre Ko Samandar Ke Sath Hoti Hai.

33. Chand Sa Roshan Ho Ramzan Aapka Ibadat Se Bhara Ho Roza Aapka Har Roza Aur Namaz Qubool Ho Aapki Yahi Dua Hai Allah Se Hamari.

34. Allah Ne Aapko Ata Kiya To Aap Gareebo Yateemo Miskeeno Faqeero Ka Haq Zaroor Ada Kariye, Allah Reham Kare Na Jane Kitne Yateem Bacche Bhookh Se Tarap Kar Mar Jate Hain Khuda Ke Waste Yateemo Ka Bhi Khayal Rakhein Unka Bhi Roza Hai Eid Hai, 'JazakAllahu Khair.

35. Aye Rozedaar Roza To Rakh Liya Toone, Ab Geebat, Jhooth, Chugli Se Usay Bachana Aur Tilawate Quran Namazo Ka Ehtimaam, Sadqo Ki Kasrat Se Usay Sajana.

36. Ya Allah Is Mubarak Mahine Ke Sadqe Ya Allah Har Beti Ke Naseeb Me Khushiyan Likh De, Har Beti Ke Ghar Me Rizq Likh De Har Beti Ke Baap Ki Lambi Umar Likh De Har Beti Ke Bhai Ki Hifazat Likh De Har Beti Ke Shohar Ke Ghar Me Sukoon Likh De 'Ameen'

37. Ramadan Is Coming, Shayatan Is Running, Muslim's Are Preparing, Hell Is Closing, Heaven Is Opening.

38. Tamam Muslmano Ko Mubarak Ho Is Mahine Ki, Jisme Quran Nazil Hua, Jisme Shaitan Ko Qaid Kardia Jata Hai, Jisme Nafil Ka Sawab Farz Ke Barabar Hai, Jisme Jahannum Ke Darwaze Band Kiye Jate Hain, Jisme Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, 'Rehmato Barkato Wala Mahe Ramzan Mubarak Ho.

39. Shab-E-Qadr Me 4 Qism Ke Logon Ki Magfirat Nahi, 'Sharaabi' 'Walidein Ka Na Farman' 'Halal Rishte Todne Wala' 'Bugz Wa Qeena Rakhne Wala.

40. Ramzan Ab Aa Gaya Mosam Hai Neki Ka Baharo'n Ka.

41. Duniya Jis Bhook Peyas Se Darti Hai Islam Ne Usay Ibadat Bana Diya.

42. Aur Phir Khuda Ne Apne Bando Par Aik Karam Ki Nazar Farmai Jisme Hame Mahe Ramzan Ata Kiya.

43. Bakhsish Ka Hai Saman Ye Ramzan Meherbaan.

44. Ramzan. R- Roza Rakhna, A-Allah Se Darna, M-Masjid Ko Jana, Zakat Dena, A-Aacche Kaam Karana, N-Namaz Padhna.

45. Fuzool Kamo Se Fuzool Baton Se Bacho Rozedaro Fuzool Baton Se Quran-E-Paak Ki Tilawat Acchi Aksar Ham Roze Me Time Paas Karne Ke Liye Fuzool Batein Karte Chat Karte Groups Inbox Ya Call Par, Roza Allah Ke Liye Rakh Rahe Ho Insan Ke Liye Nahi Jo Apna Poora Din Insano Se Fuzool Bate Karte Rehte Ho, Tasbih Quran Padho Allah Ka Zikar Karo Aur Allah Hi Se Baat Karo, Allah Tumse Muhabbat Karta Hai Insano Se Zeyada Jiske Liye Aap Pura Din Bhookhe Peyase Rehte Ho To Yaad Bhi Usi Ko Karo.

46. Ramzan Ka Naya Riwaaj, 'Pehli Sehri Mubarak' 'Pehli Taraweeh Mubarak' 'Pehla Jumma Mubarak', Phir Din Badlne Par Pehla Hatakar Dusra Laga Kar, Dusra Yeh Mubarak Teesra Woh Mubarak, Kahan Ja Rahi Hai Ummat Yaad Karo Apne Kuch Saal Pehle Wale Din Jab Yeh Mobile Phones Kuch Nahi The, Tab Kon Kisko Kaise Iss Chiz Ki Mubarak'baad Deta Tha, Kabhi Kisi Se Suna Kabhi Kisi Ko Muh Se Bola Kabhi Aapas Me Yeh Baat Pe Charcha Ki Nahi Bas Hamko Hamara Qeemti Roze Ka Wakht Aise Be-Fuzool Be-Matlb Photos Share Karne Me Barbaad Karna Hai, Jiski Koi Hadees Nahi Aur Na Hi Koi Neki.

47.  Allah Ne Har Neki Ka Badla Batla Dia, Roze Ka Sila Mai Khud Hun Usne Farma Diya.

48. Roze Se Mehekti Jo Khushbu Usne Har Mushk Ambar Ko Sharma Diya.

49. Ya Allah..! Aaj Har Roze Daar Ko Himmat De Sabar De Aur Apna Khasusi Rehem Farma Aur Unki Har Dua Poori Farma, Apni Barkato Se Nawazna Apni Rehmaton Me Rakhna Apne Peyaro Me Shumar Karna.

50. Roza Jism Ki Zakaat Hai.

51. Tez Dhoop Ki Tapish Tumhe Satayegi, Piyaas Ki Shiddat Tumhe Aazmayegi, Roze Daro Har Haal Me Sabar Rakhna, Ye Aazmaysh Tumhe Jannat Me Le Jayegi.

52. Sakht Garmi Ke Roze Allah Ko Bohat Pasand Hai Ye Allah Ka Khaas Karam Hai Ke Usne Apni Pasand Ke Roze Hame Ata Farmaye.

53. Bhook Ko Namaz Se Aur Piyaas Ko Tilawate Quran'e Paak Se Bujhaye.

54. Iftaar Ke Wakht Rozedaar Ki Duaen Radh Nhai Hoti Lihaza Zeyada Se Zeyada Dua Kiya Karen..

55. Ramzan Me Apne Dastarkhawan Ki Tasveer Mat Post Kijiyega, Kyun Ke Har Insan Aapki Tarah Maaldaar Nahi Hota.

56. Ramzan-Ul-Mubarak Ke Amaal..! 1-Rozana Salatuttasbeeh Ka Aitmaam Karna, 2-Rozana 1000 Martaba Kalima Tayab Ka Aitmaam Karna, 3-Rozana 1000 Martaba Astagfaar Ka Aitmaam Karna, 4-Jannat Ki Talab Karna, 5-Jahannum Se Panah Mangna, 6-Duniya V Aakhirat Ki Afiyat Mangna.

57. Ham Sab Jante Hain Ki Ramadan Kareem Ibadat Ka Mahina Hota Hai Isme Hame Zeyada Se Zeyada Ibadat Karni Chahiye Aur Gunnaho Se Bachna Chahiye, Lekin Abhi Bhi Kuch Bhai Aur Behne Tiktok Par Ramdan Kareem Ke Talluq Se Video's Post Kar Rahe Hain Aur Bohat Sare Log Usay Forward Kar Rahe Hain Isliye Aap Sabse Guzarish Hai Ki Aap Sab Yeh Na Karen Tiktok Qayamat Ki Nishaniyo Me Se Aik Nishani Hai, Ramdan Me 1 Ka 70 Hota Hai Iska Matlb Aik Neki Karte Hain To 70 Nekiyo Ka Sawab Milta Hai Aur 1 Gunnah Karte Hain To 70 Gunnaho Ka Gunnah Milta Hai, Isliye Aap Sab Kasrat Se Ibadat Karen Namaz Padhein Quran Ki Tilawat Karen Aur Nekiyan Kamayen Naki Ramdan Jaise Paak Mahine Par Tiktok Par Mujra Karke Gunnaho Ko Na Badayen.

58. Zindagi Ramzan Jaisi Banalo To Mout Eid Jaisi Hogi.

59. Khouf-E-Khuda Dekhna Hai To Musalman Ka Dekh, Jo Roze Me Wazu Ka Pani  Mooh Me Lekar Bhi Peeta Nahi

60. Kisi Ka Iman Kabhi Roshan Nahi Hota Aagosh Me Agar Musalman Ke Quran Na Hota, Duniya Na Samjh Pati Kabhi Bhook Aur Piyas Ki Qimat Ko, Agar 12 Mahino Me Aik Ramzan Nahi Hota.

61. Ramzan Ka Mahina Hai Jisme Quran Nazil Kiya Gaya, Quran Logo Ke Liye Hidayat Hai, Aur Hidayat Ki Roshan Dalil Aur Furqan (Haq Ko Batil Se Juda Karne Wala) Pas Jo Tumme Ye Mahina Paye Usay Chahiye Ke Roze Rakhe Aur Jo Bimar Ho Ya Safar Par Ho Wo Baad Ke Dino Me Ginti Poori Karle, Allah Tumhare Liye Aasani Chahta Hai Aur Dushwari Nahi Chahta Aur Taki Tum Ginti Poori Karo Aur Tum Allah Ki Badai Bayan Karo Uss Par Ki Usne Tumhe Hidayat Di Aur Taki Tum Shukar Ada Karo.

62. Ya Allah Wo Students Jinke Exam's Ramzan Me Hai Unke Results Eid Jaise Hon.

63. Ramzan Me Ham Apne Dastarkhuwan Ki Numaish Na Karen Yaqeen Jane Ke Aise Log Hain Jo Aftar Ke Waqt Apne Bachcho Se Aankh Nahi Milate.

64. Apne Ghar Ki Aftaari Ka Kuch Hissa Gareeb Ke Ghar Bhej Diya Karo Kyun Ke Sab Ke Ghar Me Aftaari Nahi Hoti.

65. Tere Sabar Ki Misal Nahi Aye Musalman Labo Pe Piyas Ki Shidaat Aur Hatho Me Wazu Ka Pani.

66. Barish Ki Zaroorat Nahi Mere Sheher Ko, Yaa Rab Ab Teri Rehmato Me Bheeg Jane Ke Liye 'Ramzan Ki Barkate Hi Kafi Hai.

67. Eid Ki Shopping Per Agar Kuch Kharch Kam Karke Ham Gareebon Ki Madad Kar Dein, Kyun Ki Hamare Aise Karne Se Unki Bhi Eid Ho Jayegi Aur Iska Ajar Hame Allah Dega.

68. Fitrah Kisko Dena Chahiye- 'Musafir' 'Karazdar' 'Yateem-Miskeen' 'Bewa' 'Jiski Income Bohat Kam Ho' 'Ladki Ki Shadi Ki Madad Ke Liye'  'Kisi Ladki Ki Shadi Karane Me Madad' 'Jo Tijarat Karta Ho Aur Gareeb Ho'  'Jo Zaroorat Mand Ho Aur Sharam Ke Sabab Kisi Se Sawal Na Karte Hon Unhe Pehchane Aur Unki Madad Karen'

69. Fitrah Kab Dena Chahiye - Eid Ki Namaz Se Pehle'  'Ramzan Ka Mahina Aate Hi Taki Log Apni Zaroorate Poori Kar Saken'

70. Fitrah Kitna Dena Chahiye - Har Muslman Ko Apni Haisiyat Ke Mutabiq Fitrah Dena Chahiye, Fitrah Dete Waqt Khayal Rakhein Ki Aap Usay Apni Haisiyat Ke Mutabiq Fitrah Dein Isse Kisi Gareeb Aur Zaroorat Mand Ki Zaroorate Poori Hongi.

71. Fitrah Dene Ka Sahi Tariqa - Jo Insan Sahibe Haisiyat Hai Aur Allah Ne Usay Badi Neamto Se Nawaz Rakha Hai Usay Chahiye Ke Apna Fitra 'Kishmish Ke Wazan Se Nikale Jo Ki 2 Kg 500gm Kishmish Ki Kimat Hoti Hai Wo Kimat Fitre Ki Nikalein' Aur Jo Nikaalna Chahe To 'Khajoor Ki 2 Kg 500gm Kimat Ke Hisab Se Fitrah Nikale' Aur Jo Chahe 'Acchi Quality Ke Chawal 2 Kg 500gm Chawal Ki Kimat Ke Hisab Se Fitrah Nikale' Aur Jiski Haisiyat Isse Bhi Kam Ho Wo 2kg 500gm Gehun (Gundum) Ki Kimat Ke Hisab Se Fitrah Nikale. Jiski Haisiyat Kishmish Ki Hasiyat In Charo Chizo'n Me Jiski Hai Uski Kimat Ke Hisab Se Fitrah Nikalein.

72. Zakat Kis Par Deni Jaiz Hai - 'Jiske Paas 7.5 Tola Sona (Gold) Ho Us Par Jaiz Hai 2.5% Ki Zakat Nikaale'  'Jiske Paas 52 Tola Chandi Ho Ya Fir 500 85gm Chandi Ho Uss Par 2.5% Zakat Jaiz Hai' 'Jiske Paas Apne Rehne Ke Ghar Ke Alawa Aur Koi Ghar Ya Property Ho To Uspe Jaiz Hai 2.5% Ki Zakaat Dena' 'Wo Insan Bachat 1 Saal Me 52 Tola Chandi Ki Kimat Ho Uss Par 2.5% Zakat Dena Jaiz Hai'

73. Zakat Ka Hisab Nikalne Ka Sahi Tariqa- Sona (Gold), Chandi Ya Phir Property, Uski Aaj Ki Kimat Ke Mutabiq 2.5% Jo Kimat Banegi Wo Zakat Niklegi'

74. Zakat Na Dene Walo Ka Gunnah- Jo Zakat Nahi Dega Allah Tala Uske Maal Ko Pighla Kar Aik Kholti Hui Aag Ka Toup Bana Kar Zakat Na Dene Walo Ke Gale Me Dalega, Jo Ki Aik Sakht Aazab Hoga.

75. Fitrah Aur Zakat Dete Waqt In Chizo'n Ka Khayal Rakhein- 'Fitrah Aur Zakat Dete Waqt Takabbur Na Karen' 'Fitrah Aur Zakat Dete Waqt Kisi Per Aihsan Na Jatayen' 'Fitrah Aur Zakat Dete Waqt Kisi Ko Haqeer Na Samjhein'  'Jisko Aap Fitrah\Zakat De Rahe Hain Us Se Badle Me Apna Kaam Na Nikalwayen' 'Fitrah Aur Zakat Dete Waqt Koshish Karen Aap Wahan Zada Na Thehre'n Isse Lene Wale Ko Sharam Mehsoos Hogi'

76. Waqt To Parinde Ki Tarah Guzar Jayega Phir Kabhi Na Aayega, Kar Lo Dil Bhar Ke Nekiyan Ramzan Me, Ye To Mehmaan Hai Chala Jayega.

77. Huzoor (S.A.W) Ne Farmaya "Agar Bando Ko Maloom Hota Ke Ramzan Kya Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Kaash Pura Saal Ramzan Hi Hota.

78. Ya Allah Is Ramzan Ke Sadke Jo Log Roza Rakh Kar Kaam Karne Jate Hain Unhe Himmat De Ham Sabko Poore Roze Rakhne Ki Toufiq Ata Kar Aur Ham Sab Ki Jholiyan Khushiyo'n Se Bhar De 'Ameen'

79. Na Rahegi Sada Kuch Hi Dino Ka Hai Mehman, Rehmat Se Bharlo Jholiyan Guzar Raha Hai Ramzan.

80. Jo Log Shadi Me Jahez Mangte Hain Unhe Ramadan Me Zakaat Bhi Mangna Chahiye.

81. Khane Pine Ka Chhorne Ka Naam Hi Roza Nahi Hota Hai Roza Jism Ka Hota Hai Rooh Ka Hota Hai Usi Tarah Muh Ka Bhi Roza Hota Hai Dheyan Rakhen Ham Apne Akhlaq Par Roze Ki Halat Me Hame Pata Bhi Nahi Lagta Ham Kya Kya Bol Dete Hain Gheebat Kar Lete Hain Galiyan Bhi De Dete Hain Jisse Hame Roze Ka Sawab Nahi Milega, Is Liye Apne Akhlaq Par Bhi Tawajjoh Dein Aur Sirf Ramazan Me Hi Nahi Hamesha Apni Zuban Par Control Rakhein Zubaan Hi Tumhari Jannat Ka Rasta Khol Sakti Hai Aur Jahannum Ka Bhi.

82. Ramadan Me Hone Wale Gunnah Jo Hame To Chote Lagte Hain Par ye Hamare Roze Ko Makhruh Kar Dete Hain Ya Hame Roze Ka Sawab Nahi Milta In Kamo Se, Zara Gour Farmaiyega Aur Sochiyega Kya Ham Ye Sab Roze Ki Halat Me Karte Hain.

83. Usi Tarah Hamari Aankho Ka Bhi Roza Hota Hai Roze Ki Halat Me Hame Chahiye Ki Ham Aisi Cheeze Na Dekhen Jisse Hamara Roza Makhru Ho Jaye Tv Na Dekhen Video Songs Na Dekhen Iske Badle Bayanat Sune Bayan Dekhen Quran Ka Tarjuma Padhe Dekhen.

84. Usi Tarah Kano Ka Bhi Roza Hota Hai Jis Tarah Gheebat Karne Se Zubaan Ka Roza Nahi Rehta Usi Tarah Gheebat Sunne Se Kano Ka Bhi Roza Nahi Hoga, Bura Na Sune, Songs Na Sune, Har Buri Aadat Se Apni Hifazat Kare.

85. Selfie Kafi Mashhur Hai Sab Jante Hain Par Kya Ye Jante Hain Kayamat Ke Din In Sab Me Jaan Deni Hogi..? Jaan Daal Paoge Har Aik Tasveer Me..? Kam Se Kam Ramadan Me To Chhor Do Behayai Karna Sudhar Jao Allah Ke Bando, Ramadan Ka Hi Lihaz Karlo.

86. Ramadan Ka Mahina Ibatton Ka Mahina Hai Is Khaas Mahine Me Apna Waqt Namaz, Tilawate Quran, Roza Aur Deegar Ibataon Me Guzaren.

87. Ramadan Jaise Mubarak Mahine Ko Sirf Khane Peene Aur Sone Ka Mahina Na Banaye'n Aur Na Hi Shopping Me Apna Waqt Barbad Karen.

88. Roza Na Lagne Ke Nuskhe Talash Karne Se Behtar Hai Roza Qabool Hone Ka Tariqa Talash Karen.

89. Kuch Log Ramadano Mein Dp Aise Change Karte Hain Jaise Iska Alag Se Sawab Milne Wala Hai.

90. Ramadan Sab Se Khubsurat Mahina Hai Jisme Har Kaam Har Pakwan Har Neki Ka Alag Se Maza Aur Sukoon Hai Khuda Ke Waste Is Mahine Ke Aik Pal Ko Bhi Zaya Na Karen.

91. Mahe Ramzan Me Momin Shaitan Se Nahi Apne Nafs Se Ladta Hai Kyun Ke Nafs Se Bada Koi Shaitaan Nahi.

92. Ramzan Me Hi To Pata Chalta Hai Ke "Pani" Allah Ta'ala Ki Kitni Badi "Naimat" Hai.

93. Agar Sehat Chahte Ho To "Roza Rakho" Agar Musibato Ka Hal Chahte Ho To "Istagfaar Karo" Agar Barkat Chahte Ho To "Darood Shareef Padho".

94. Tv Shows Drame Gane Ramzan Me Bhi Nahi Chhorte Log Jab Ramzan Me Aik-Aik Zikar Sajde Ibadat Ka Itna Ajar Hai To Chote Bade Gunnah Ka Utna Aazab Bhi Hai, Is Mahine Me Gunnah Karne Se Bacho.

95. Hamare Ghar Aik Gareeb Yateem Bachhi Aai Jisne Kaha Ke Mujhe Koi Kaam Dedo Hamne De Dia Phir Baadme Usne Bataya Ke 'Mera Paanchwa Roza Hai' Ham Hairan Hogaye Ke Itni Chotti Bachchi Sab Roze Rakh Rahi Hai Aur Bachchi Se Puchha Ke 'Ifatar Me Kya Khate Ho Aap' Us Yateem Bachchi Ne Bola Ke 'Aalu Ki Sabzi Ammi Banati Hain Aur 10 Rupaye Wali Tang Paani Me Daalkar Peete Hain. Aur Aise Kai Log Honge Jinki Ifatari Aisi Saadi Hoti Hogi, Gurbat Ki Wajah Se  Kisi Ki To Iftaar Bhi Nahi Hoti Hogi.

96. Ham Apne Aftar Me Kitne Taa'am Pakwan Banate Hain Aur Khana Itna Zeyada Banate Hain Ke Zaya Ho Jata Hai Khana Zaya To Karte Hain Magar Kisi Gareeb Ko Nahi Dete Ye Kaise Roze Hain Hamare, Ye Kaisa Dil Hai Hamara Jisme Gareeb Par Rehem Nahi Kya-Kya Iftar Me Khate-Peete Hain Magar Un Gareebo Ka Nahi Sochte Jinki Iftar Sukhi Roti Se Hota Hai Mai Aap Sabse Request Karti Hun Iftaar Me Khana Zaya Na Karen Kisi Gareeb Ke Ghar Pohcha'dein Allah Ki Kasam Allah Bohat Khush Hoga Allah Aapko Us Roze Ka Dugna Sawab Dega, Kisi Gareeb Ki Zaroorat Puri Karo.

97. Jaise Hamara Dil Karta Hai Roze Me Ke Iftaar Me Ye Khayen Wo Piyen Ye Pakwan Ho Wo Juice Ho Waise Hi Un Gareeb Yateem-Miskeeno Ka Bhi Dil Karta Hoga, Gareeb Yateemo Ki Madad Karo Apne Aas-Paas Pados Me Dekho Kon Gareeb Hai Ya Kisi Gareeb Ko Jante Ho To Unki Madad Karo Kisi Gareeb Ko Afatr Karao Unki Duaen Lo Jo Iftar Ka Khana Bache, Gareeb Ke Ghar Dedo Agar Iftar Ka Khana Kam Banate Ho Jitna Aapke Ghar Hi Pura Ho Jaye To Ziyada Khana Banao Aur Gareebo Me Ban'to.

98. In Shaa Allah, Sirf Kuch Hi Din Hai Ab To, Ye Mubarak Mahina Allah Ham Sabko In Kuch Dino Me Ziyada Se Ziyada Ramzan Ki Kadar Karne Ki Hidayat Dede Aur Ramzan Hamara Mehman Nahi Hai Ham Mehman Hain Ramzan Ke Kyun Ki Ye Har Saal Aayega Aur Ham Har Saal Rahenge Ya Nahi Wo To Hame Bhi Nahi Pata Aur Allah Ham Sabko Is Mubarak Mahine Ki Barkat Se Allah Aur Allah Ke Nabi-E-Kareem (S.A.W) Ko Raazi Karde Aur Unhe Pasand Ho Ais Zindagi Guzarne Wala Bana De Har Momin Ko Aur Paanch Waqt Ke Awwal Namazi Bana De Kyun Ki Ye Abhi Jo Masjido Aur Ghar Ki Rounak Hai Namaz Aur Quran Se Wo Ramzan Baad Jaldi Dekhne Ko Nahi Milti.

99. Jab Shiatan Bhi Bandh Gaye Hain To Ham Kyun Gunnah Kar Rahe Hain.? Kyun Ki Shaitan To Hamara Nafs Hai Jo Allah Se Door Karta Hai, Nafs Pe Kabu Karo, Sambhal Jao.

100. Ramzan Me Allah Ka Zikar Karne Walo Ko Baksh Diya Jata Hai Aur Is Mahine Me Allah Se Maagne Wale Kabhi Mehroom Nahi Rehte Jitna Ho Sake Dua Karte Raho Khud Ke Liye Aur Poori Ummat-E-Muhammad (S.A.W) Ke Liye, Allah Hame Naik Aamal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye.

101. Aye Mahe Ramzan Ahista Chal Abhi Kafi Karz Chukana Hai.

102. Zakat Na Dene Ka Aazab..! Hazrat Abu Huraira Radi Allah Anhu Se Rivayat Hai (R.A-S.A.W) Ne Farmaya "Jo Bhi Sone Aur Chandi Ka Malik Ho Aur Uski Zakat Ada Nahi Karta Ho To Uss Sone Aur Chandi Ke Takhte (Plates) Banaye Jayenge Aur Usko Jahannum Ki Aag Me Garam Kiya Jayega  Phir Uski (Zakat Na Dene Wale Ki) Peshani Aur Karwatein (Pahlu) Aur Peeth Ko Daga Jayega Aur Jab Wo Thande Ho Jayenge To Phirse Inko Garam Kiya Jayega Aur Ye Aazab Usko Uss Din Tak Hota Rahega Jiski Miqdar (Duration) Pachaas Hazar Saal Hai, Phir Allah Apne Bando Ke Beech Faisla Farma Dega Aur Wo Jannat Ya Jahanum Ki Taraf Apna Rasta Dekh Lega. [Sahi Muslim Jild-3 Hadit-2290]

103. Zakat Kya Hai ?-"Zakat" Arabic Word Hai Jiski Meaning Pak Saaf Karna, Yeh Word Zada Tar Maal Ke Liye Use Hota Hai, To Uska Matlab Yeh Hoga Ki Maal Ki Zaat Nikaal Kar Apne Baqi Maal Ko Paak Saaf Karna, Kyun Ki Aadmi Ke Maal Me Faqiro'n Aur Muhtajon Ka Bhi Haq Hota Hai, Jab Maal Ki Zakaat De Di Jaye To Woh Maal Paak Saaf Ho Gaya.

104. Aag Ke Kangan..! Aik Martaba Rasool-E-Kareem (S.A.W) Ki Khidmat Me Do Aurtain  Aayin, Inke Hathon Me Sone (Gold) Ke Kangan The Aapne Inse Poocha "Kya Tumne Inki Zakat Di Hai..?" Inhone Kaha " Ji Nahi !" Aap (S.A.W) Ne Farmaya "Kya Tumko Ye Pasand Hai Ki Inke Badle Allah Ta'ala Tumhe Aag Ke Kangan Pehnae..?" Wo Bolin "Nahi..!" To (S.A.W) Ne Farmaya "Phir Inki Zakat Diya Karo [Uamia Tirmizi, Hadith No.637]

105. Zakat Aur Sadqa Diya Karo..! Kyun Ki, Maaldaro Ko Taaqat Aur Rizq Diya Jata Hai To Wo Gareeb, Faqeer Aur Miskeen Ki Dua Ki Wajah Se. Aye Emaan Walo..! Hamne Jo Tumhe Rizq Diya Hai Uss Me Se Kharch Karo [Para-2 Surah-Baqrah Aayat- 254] Masla: Zakat Ka Maal Dete Waqt Ya Alag Karte Waqt Zakat Ki Niyat Hona Zaroori Hai. Niyat Ka Maana: Agar Koi Puche To Bata Sakte.

106. Chandi Ki Anguthi Kafi Hai Jahannum Le Jane Ke Liye ! Abdullah Bin Shaddad Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Ham Log Aisha Radi Allah Anhu Ke Paas Gaye Wo Kehni lagi Mere Paas Rasool Allah (S.A.W) Aye Apne Mere Hath Mein Apni Chandi Ki Anguthiyan Dekhi Aur Farmaya "Aisha Ye Kya Hai ?" Maine Arz Kiya Ki Ye Maine Isliye Banwai Hai Ke Aapke Liye Banao Singar Karun Aap (S.A.W) Ne Pucha Kya Aap Inki Zakat Ada Karti Ho Maine Kaha Nahi Ya Jo Allah Ko Manzur Tha Kaha Aap (S.A.W) Ne Farmaya Ye Aapko Jahannum Mein Le Jane Ke Liye Kafi Hai (Agar Aap Zakat Nahi Dogi To) [Sunnah Abu Dawud Jild-1,1552-Sahih]

107. Aye Emaan Walo ! Hamne Jo Tumhe Rizq Diya Hai Kharch Karo [Para 2 Surah-Baqrah Ayat 254] Allah Ne Is Ayat Ke Zariye Bataya Hain Ke Ham Allah Ki Raah Me Kharch Kare Aur Gareebo Ki Madad Karen.

108. Eid Se Pehle Hi Zakat Ka Kyun Kaha Hai Allah Ne  ?-  Kyun Ki Hamari Kuch Madad Se Wo Log Bhi Eid Mana Sake Jinhe Taufeeq Hui Paiso Ki Eid Se Pehle Hi Zaroorat Mand Logo Ki Madad Kare Apna Zakat Ka Hissa Unhi Ko De Jinhe Zeyada Zaroorat Ho. Allah Kehne Sunne Se Zeyada Amal Karne Ki Naik Toufiq Ata Farmaye Ameen.

109. Naa Rahega Sada Kuch Hi Dino Ka Hai Mehmaan Rehmat Se Bharlo Jholiyan Guzar Raha Hai Ramzan.

110. 5 Taaq Rate..! Hazrat Aayesha Radi Allah Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool Allah (S.A.W) Ne Farmaya "Shab-E-Qadar Ko Ramzan Ke Aakhri  Ashre Ki Taaq Rato Me Talash Karo [Sahih Bukhari, Vol 3, 2017] Aakhri Aashre Ki Taaq Rato Se Muraad Se "21, 23, 25, 27, 29" Ye Paanch Raate Hain, Aur Shab-E-Qadr Inme Se Koi Bhi Raat Ho Sakti Hai.

111. Aik Chandi Ki Anguthi Kafi Hai Jahannum Le Jane Ke Liye ! Abdullah Bin Shaddad Radi Allah Anhu Se Rivayat Hai Ki Log Aisha Radi Allah Anhu Ke Paas Gaye Wo Kehne Lagi Mere Paas Rasool Allah (S.A.W) Aaye Aapne Mere Hath Me Chandi Ki Anguthi Dekhi Aur Farmaya "Aisha Ye Kya Hai ? Maine Arz Kiya Ki Maine Isliye Banwayi Hai Ke Aapke Liye Banao Singar Karun" Aap (S.A.W) Ne Pucha "Kya Aap Inki Zakat Ada Karti Ho..?" Maine Kaha "Nahi..!" Ya Jo Allah Ko Manzur Tha Kaha Aap (S.A.W) Ne Farmaya Ye Aapko Jahannum Me Le Jane Ke Liye Kafi Hai, (Agar Aap Zakat Nahi Dogi To) [Suan Abu Dawud, Jild-1,1552-Sahih]

112. Naa Rahega Sada Kuch Hi Dino Ka Hai Mehmaan Rehmat Se Bharlo Jholiyan Guzar Raha Hai Ramzan.

113. Itikaf Ka Tariqa- Ibadat Ki Niyat Se Allah Ta'ala Ke Liye Masjid Me Thaharne Ka Naam Itikaf Hai Itikaf Ki Teen Kisme Hain "Itikaf Wajib" "Itikaf Sunnat" "Itikaf Mustahab"

114. Itikaf Ka Waqt - Ramzan Shareef Ki 20th Tareekh Ke Din Suraj Chipne Se Zara Pehle Se Ramzan Ki 29ya 30 yani Jis Din Eid Ka Chand Nazar Aa Jaye  Us Tareekh Ko Din Chipne Tak.

115. Itikaf Sunnate Muakkadah..! Ramzan Ke Aakhri 10 Dino Me Kiya Jayega Yani 20 Ramzan Ko Suraj Doobne Se Pehle Itikaf Ki Niyat Se Masjid Me Dakhil Ho Jayen Aur 30 Ya 29 Ramzan Ko Suraj Dubne Ke Baad Masjid Se Niklen Yaad Rakhen Ki Itikaf Sunnat Muakkadah Kifayah Hai Yani Muhalle Ke Sab Log Chhod Dein Aik Bhi Na Baithe To Sab Aakhirat Ke Muakhze Se Bari Ho Jayenge Is Itikaf Me Bhi Roza Shart Hai Magar Wo Hi Ramzan Ke Roze Kafi Hain.

116. Masla Mard Ke Liye Zaroori Hai Ki Masjid Me Itikaf Karen Aur Aurat Apne Ghar Me Us Jagha Itikaf Karegi Jo Jagha Usne Namaz Padhne Ke Liye Muqarrar Ki Ho.

117. Itikaf Wajib - Jaise Ki Kisi Ne Ye Mannat Mangi Ki Mera Fala Kaam Ho Jaye To Me Aik Din Ya Do Din Ya Teen Din Itikaf Karunga\Karungi Aur Uska Kaam Ho Gaya To Yeh Itikaf Wajib Hai Aur Iska Poora Karna Zaroori Hai Yaad Rakho Ki Itikaf Wajib Ke Liye Roza Shart Hai Baghair Roze Ke Bina Roze Ke Itikaf Wajib Nahi.

118. Itikaf Karne Wala Sirf 2 Uzron Ki Wajah Se Masjid Se Bahar Nikal Sakta Hai "Uzre Tabai" Jaise Pakhana Aur Ghusle Farz Wa Wazu Ke Liye, "Uzre Sharai" Jaise Namaz-E-Jumma Ke Liye Jana. (In Uzron Ke Siwa Kisi Aur Wajah Agar Aik Hi Minute Ke Liye Masjid Se Nikla Ho To Itikaf Toot Jayega)

119. Masla- Itikaf Karne Wala Din Raat Masjid Hi Me Rahega Wahin Khaye, Piye, Soye Magar Yeh Aihtiyat Rakhe Ki Khane Pine Se Masjid Gandi Na Ho Paye Muatakif (Itikaf Karne Wala) Ke Siwa Kisi Aur Ko Masjid Me Khana, Pina, Sona Chahe To Usko Chahiye Ki Itikaf-E-Mustahab Ki Niyat Karke Masjid Me Dakhil Ho Aur Namaz Padhe Ya Zikre Ilahi Kare Phir Uske Liye Khane, Pine Aur Sone Ki Ijazat Hai. [Durre Mukhtar Wa Radul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul Itikaf Jild 3 Page No.506]

110. Itikaf-E-Mustahab Ye Hai Ki Jab Kabhi Din Ya Raat Me Masjid Ke Andar Dakhil Ho To Itikaf Ki Niayat Karle Jitni Der Tak Masjid Me Rahega Aitikaf Ka Sawab Payega. Niyat Me Sirf Itna Dil Me Khayal Karlena Aur Muh Se Keh Lena Kafi Hai Ki  'Maine Khuda Ke Liye Itikaf-E-Mustahab Ki Niyat Ki.

121. Masla- Itikaf Karne Wale Ke Liye Bila Uzar (Be-Wajah) Masjid Se Nikalna Haram Hai. Agar Nikalna Ho To Itikaf Toot Jayega Chahe Qasdan (Galti Se) Nikla Ho Ya Bhool Kar Isi Tarah Aurat Ne Jis Makan Me Itikaf Kiya Hai Usko Us Ghar Se Bahar Nikalna Haram Hai Agar Aurat Uss Makan Se Bahar Nikal Gai To Khwah Wo Kasdan Nikli Ho Ya Bhool Kar Uska Itikaf Toot Jayega.

122. Itikaf Karne Wala Bilkul Hi Chup Na Rahe Na Bohat Ziyada Logo Se Baat Cheet Kare Balke Usko Chahiye Nafil Namazen Padhen, Tilawat Kare Ilm Deen Ka Dars Aauliya Wa Saliheen Ke Halaat Sune Aur Dusron Ko Sunaye Kasrat Se Durood Shareef Padhen  Aur Zikre Ilahi Karen Aur Aksar Ba Wazu Rahen Aur Duniya Dari Ke Khayalat Se Dil Ko Paak Saaf Rakhen Aur Ba Kasrat Ro-Ro Kar Gid-Gida Kar Allah Se Duaen Mange.

123. Aurto Ke Liye Itikaf Ki Kuch Sharte-  "Haiz Wa Nifas (M.C\Periods) Se Farig Hona" "Agar Aurat Shadishuda (Married) Hai To Apne Shohar Ki Ijazat Lena Zaroori Hai" "Apne Ghar Me Namaz Ki Jagha Ya Koi Aik Paak Jagha Itikaf Ke Liye Mukarrar" "Itikaf Kiya Hai Waha Se Sharai Zaroorat Ke Bagair Nikalna Jaiz Nahi" Wahan Se Uth Kar Ghar Ke Kisi Hisse Me Bhi Nahi Ja Sakti Agar Jayegi To Itikaf Toot Jayega Islami Behno Ko Itikaf Ki Jagha Se Hatane Ke Wahi Ehkam Hain Jo Islami Bhaiyo Ke Hain.

124. Aapko Kya Maloom Ki Shabe-E-Qadar Kya Hai Shab-E-Qadar Hazaar Mahino Se Behtar Hai Isme Farishte Aur Rooh-Ul-Ameen (Jibreel Alaihis Salam) Nazeel Hote Hain Apne Rab Ke Hukum Se Har Kaam Par Wo Subha Roshan Hone Tak  Salamti Ki Raat Hai. [Surah: 97 Al Qadr]

125. Shabe Qadar Dua - Ummul Momin Aayisha Radi Allah Anhu Ne Arz Kiya "Aye Allah Ke Rasool Agar Mujhe Shabe Qadr Naseeb Ho Jaye To Kya Dua Karun ?" Aap (S.A.W) Ne Farmaya "Ye Kehna, Allah Humma Innaka A fuwwuntuhibbul Afwa Fa'fu'Anni" (Aye Allah Tu Maaf Karne Wala Hai Aur Maaf Karne Ko Pasand Karta Hai So Mere Bhi Gunnah Maaf Karde)

126. Shabe Qadar Me 4 Qism Ke Logo Ki Magfirat Nahi Hoti, "Sharabi" "Walidein Ka Na'farman"  "Halal Rishta Todne Wala" Aur "Bugz Wa Qeena Rakhne Wala"

127. Kasrat Se Ye Dua Padhen "Allah Humma Innaka Afuwwuntuhibbul Afwa Fa'fu'Anni" (Aye Allah Tu Maaf Karne Wala Hai Aur Maaf Karne Ko Pasand Karta Hai So Mere Bhi Gunnah Maaf Karde)  Ya Allah Ha Sabko Laylatul Qadr Ki Raat Naseeb Farma Aur Hamari Ibadat Qubool Farma. "Ameen !"

128. Shabe Qadar Me Ki Jane Wali Ibadat- "Raat Me Qayyam Karen Jitni Ho Sake Utni Nafil Namaz Padhen" "Allah Ki Hamd-O-Sana Karen Tasbihat Padhen" "Quran Ki Tilawat Karen" "Raat Me Jitni Ho Sake Nafil Namaz Padhen"

129. Ya Allah Paak Apne Azeem Aihsan Ko Bayan Farmate Hain Ke Gajwaye Badr Me Jab Muslmano Ki Tadad Bhi Kam Thi Aur Unke Paas Hathiyaro Aur Sawar Ki Bhi Kami Thi Jabki Kafir Tadad Aur Jang Taqat Me Muslamo Se Zeyada The, Is Halat Me Allah Subhan Wa Ta'ala Ne Muslmano Ki Madad Farmai Aur Kafiro Par Fatah Ata Farmai. Jung-E-Badr 17th Ramdan 2 Hijri Ko Jummah Ke Din Hui. Muslman 313 The Jabki Kafir Takriban 1000 Ke Qareeb The, Badr Aik Kuan Hain Jo Ke Aik Shaks Badr Bin Amir Ne Khoda Tha Iske Naam Par Us Ilake Ka Naam Badr Ho Gaya.

130. Yaad Karo Aye Habib Tum Muslmano Se Farmate The 'Kya Tumhe Ye Kafi Nahi Tumhara Rab 3000 Farishte Utarkar Tumhari Madad Kare ? Haa ! Kyo Nahi Agar Tum Sabar Karo Aur Taqwa Ikhtiyr Karo Aur Kafir Usi Waqt Tum Par Hamla Karde To Tumhara Rab 5000 Nishani Wale Farishto Ke Sath Tumhari Madad Farmayega. [Farman-E-Allah Quran 3:124-125] Ye Gaibi Khabar Thi Jo Badme Puri Hui Aur Allah Ta'ala Ne 5000 Farishto Ke Zariye Jung-E-Badar Me Muslmano Ki Madad Ki.

131. Sabko Udaas Karke Ja Raha Hai Ramzan Sab Par Luta Kar Apna Faizan Ja Raha Hai Tha Hamare Ghar Kismat Hamari Bankar Bheja Tha Jo Allah Ne Wo Mehman Ja Raha Hai, Jo Mangna Hai Manglo Jo Le Sako Wo Lelo Bass Chand Dino Ka Hai Mah-E-Ramzan.

132. Aik Chand Ko Dekh Kar Masjiden Aabda Hui Thi Ab Doosre Ko Dekh Kar Masjido'n Ko Viraan Mat Kar Dena, Yaad Rakh Aye Muslman Namaz Ramadan Baad Bhi Farz Hai.

133. Aye Mahe Ramzan Na Chahte Hue Bhi Tujhe Alvida Kehna Pada, Is Dil Ki Tadap Ko Sehna Pada, Tere Gam-E-Judai Ko Hote Hue Bhi Hame Khush Rehna Pada Dekh Shan Us Ma'abood Ki Aisi Ronak Di Fir Eid Ki Gam-E-Judai Ko Mehdood Karna Pada.

134. Phool To Bohat Hain Magar Gulab Ki Baat Hi Kuch Aur Hai Aise Hi Mahine To Bohat Hain Magar Mah-E-Ramzan Ki Baat Hi Kuch Aur Hai.

135. De Ke Gham Phir Eid Ki Khushiyo Me Dhal Jata Hai Ye Zindagi Hai Dhoop Chhaun, Ham Ko Samjhata Hai Ye Ham Akele Hi Nahi Hain Aaj  Gham Zadaa Sari Duniya Keh Rahi Hai Mah-E-Ramzan Alvida.

136. Har Muslman Ko Ye Judai Ka Gam Sehna Pada Mah-E-Ramzan Ko Bilakhir Alvida Kehna Pada, Siskiyon Ke Shor Me Nazron Se Gum Hota Gaya Jate-Jate Bhi Gunnaho Ko Magar Dhota Gaya. Jaa Ke Ye Geyara Mahine Baad Wapis Aayega Ye Mahina Jate Jate Eid Dekar Jayega.

137. Eid Ki Khushiyan Manate Manate Namaz Padhna Na Bhoolna Kyun Ki Namaz Ham Par Ramzan Ke Baad Bhi Farz Hai.

138. Yahan Ham Eid Ki Shopping Me Busy Hain Wahan Syria Me Un Logo Ke Paas Kafan Khreedne Tak Ke Bhi Paise Nahi Hain Please Aap Sab Se Darkhuwast Hai Syria Ke Logo Ke Liye Khaas Duaen Karen Apni Iftari Ke Waqt Unhe Bhi Apni Duao Me Shamil Karen, Ya Allah Madad Farma Syria Ke Logo Ki Unhe Har Mushkilat Se Bacha Le Mere Allah Un Par Jo Zulm Ho Rahe Ho Unse Unhe Nijat Farma 'Ameen'

139. Uss Aadmi Ka Kitna Bad Akhlaq Hoga Jiske Ghar Koi Mehman Aaye Aur Wo Unke Jane Se Khush Ho Jis Mehman Ke Aane Ka Istaqbal Nahi Hoga Uske Jane Ka Gam Bhi Nahi Hoga, Ramzan Ko Is Tarah Rukhsat Kiya Jaye Jis Tarah Kisi Mehboob Jigree Dost Ko Rukhsat Kiya Jata Hai.

140. Aaj Magrib Ki Aazan Logo Ka Intezar Karti Hai, Kal Ko Log Magrib Ki Aazan Ka Intezar Karenge. 

Comments

  1. MashaAllah....
    Allah hum sab ko ramadan ke pure roze rakhne ki toufeeq ata farmaye .... Ameen summa ameen

    ReplyDelete
  2. Please please Eid par kijye Sab Aap ki alfaaz bhut accha hota inshallah aap bhut aagae tak jainge aur aapke ghar wale ko acchi tarbiyat de ameen main aapke media se bhut kch sikha inshallah aagae aur bhi bhut kch sheekh jaunga Ameen

    ReplyDelete
  3. Please Eid par likhye Please Please ,Please Aur zakat fitra yeh sab par likhye Please Please Please

    ReplyDelete
  4. Replies
    1. Please Eid Par kijye Aur Shane Qadar par Please

      Delete
  5. Please eid par karye r shabe qadar par

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat