Namaz



1. Thodi Si Thakawat Par Namaz Na Chord Aye Momin Unse Kuch Seekh Jinhone Jism Mein Khanjar Hote Hue Bhi Aakhri Sajda Na Chhora.

2. Kush Naseeb Hote Hein Wo Log Jinhe Fajir Ki Namaz Padne Ka Mauqa Milta Hai Warna Ek Tadaad Mein Log Iss Mauqe Ko Roz Sote Hue Gawate Hein.

3. Qayamat Ke Din Pehla Sawal Namaz Ka Hoga Ye Jaante Hue Bhi Log Namaz Nahi Padte.

4. Wo Insaan Is Duniya Me Bhi Kamyab Hoga Aur Aakhrat Mein Bhi Kamyab Hoga Jo Namaz Ka Paband Hoga.

5. Pata Hai Allah Ko Kya Pasand Hai ? " Sardi Mein Fajir Ki Namaz"

6. Mujhe Jannat Se Ziyada "Namaz" Azeez Hai Kyun Ki Jannat Meri Raza Hai Aur Namaz Mere Rab Ki Raza Hai.

7. Zindagi Uss Namaz Se Shuru Hoti Hai Jiski Azaan Hoti Hai Lekin Namaz Nahi Hoti Aur Khatam Uss Namaz Se Ho Jati Hai Jiski Azaan Nahi Hoti.

8. Kal Fursat Na Mili To Kya Karoge ? Itni Mohlat Na Mili To Kya Karoge ? Roz Kehte Ho Kal Se Padhenge  "Namaz" Kal Aankhen Na Khuli To Kya Karoge ?

9. Jab Tumhe Namaz Ki Pabandi Achhi Lagne Lagti Ho, Samajh Lo Tumhe Khuda Se Aur Khuda Ko Tumse Muhabbat Ho Gai.

10. Sabhi Ko Kamyabi Ki Talab Hoti Hai Lekin Jaane Sab Kahan Hote Hein Jab "Kamyabi Unhe Din Mai 5 Dafa Aawaz Deti Hai.

11. Jo Namaz Me Sar Ko Jhukata Hai, Kasam Khuda Ki Sukoon Bhi Wahi Pata Hai.

12. Kisi Ne Jumma Ka Tarjuma Kya Khoob Kiya " J- Jammah Ho Jao U- Ummate M- Muhammadi M- Masjid Mein A- Allah Ki Ibadat Ke Liye.

13. Sirf Jumma Ki Namaz Mein Kyun Bhar Jati Hai Masjid Kya Sirf Jumma Ke Din Hi Khana Khate Ho Kya Sirf Jumma Ke Din Hi Allah Ke Di Hui Niamto'n Ka Fayda Uthate Ho.

14. Guzar Gai Namaze Fazr Aur Tu Sota Raha Keemti Wakht Khuwabo Mein Khota Raha Subha Hui Par Tu Bedaar Na Hua Umar Bhar So Kar Bhi To Bezaar Na Hua.

15. Aaj Zohar Toh Kaam Ne Uljha Diya Be Namazi Banke Tujhe Phansa Diya Denga Rizaq Tujhe Namaz Ke Baad Bhi Palega Rab Tera Ghar Namaz Ke Baad Bhi

16. Dekh Aagai Namaze Aasar Tawnai Lekar Kuwwat Hai Isme Tu Isay Ada Kar Tandurust Hai Aaj Tu Sunkar Adaa Kar Badan Ko Apne Toh Sajdo Ki Lazzat Liya Diya Kar.

17. Chal Diya Ab Aaftab Ab Guroob Hone Ko Namaz Magrib Hai Ab Shuru Hone Ko Khatam Ho Gaya Teri Zindagi Ka Ek Aur Din Chala Gaya Hath Se Tera Nekiyon Bin.

18. Ab Tujhe Chahiye Raat Me Sone Se Pehle Isha Pardle Apni Zindagi Khone Se Pehle Payega Sukoon Tu ALLAH Ke Zikar Mein, Milega Zikar Tere Dill Ko Usi Ke Fikar Mein.

19. Pehle Kisi Ke Jane Ka Dar Tha Kyun Ke Mein Be Namazi Tha Par Ab Kisi Ke Jane Ka Gamm Nahi Kyun Ke Namazi Hun Jab Rab Ki Muhabbat Sath Ho To Kisi Ki Zaroorat Nahi.

20. Pucha Gaya Ke Bahadur Kon Hai ? To Maine Jawab Diya, Jo Fajir Me Uth Kar Pani Kitna Thanda Hai Yeh Na Dekh Kar Wazu Banaye Aur Namaz-E-Fajir Ada Kare !

21.Namaz-E-Fajir Ada Karne Ki Haisiyat Nahi  Aur Jannat Mein Jane Ki Okat Rakhte Ho.

22. Jumma Ka Din Kitna Afzal Hai 1- Jumma Ke Din Jahannum Ki Aag Nahi Jalai Jati 2-Jumma Ki Raat Duzakh Ke Darwaze Nahi Khulte 3- Jumma Ke Din Marne Wale Khush Naseeb Ko Shaheed Ka Rutba Diya Jata Hai 4- Jumma Ke Din Agar Hajj Ho Toh Uska Sawab 70 Hajj Ke Barabar Hota Hai 5-Jumma Ke Din 1 Neki Ka Sawab 70 Nekiyon Ke Barabar Hai 6- Jumma  Ke Din Huzoor Paak S.A.W Khud Apne Kano Se Durood Paak Sunte Hain. (Ye Suni Hui Baat Hai Sirf Iska Koi Refrence Nahi Hai)

23. Tahajjud Ki Namaz Wo Wahid Namaz Hai Jo Moizzin Ki Nahi Dil Ki Aazan Par Padhi Jati Hai.

24. Sardiyo Me Subha Garmi Ka Ahsas Razai Me Nahi Namaz-E-Fajar Me Milta Hai.

25. Woh Ishq-E-Namaz Ham Ko Bhi Sikha Ya Rab Jisme Intezar Sirf Azaan Ka Ho.

26. Banda Apne Rab Se Kisi Aur Wakht Itna Kareeb Nahi Hota Jitna Ki Sajde Ki Halat Me Hota Hai.

27. Sukoon Ki Zindagi Chahte Ho To Namaz Padho Kamyab Hona Chahte Ho To Namaz Padho Allah Ke Kareeb Hona Chahte Ho To Namaz Padho Naseeb Badalna Chahte Ho To Namaz Padho, Beshaq Har Masle Ka Hal Namaz Hai.

28. Namaz Ek Aisa Noor Hai Jitni Itminan Se Ham Isko Ada Karenge Utni Hi Chamakti Hui Hamari Aakhrat Hogi.


29. Kisi Ne Mujhse Pucha Ek Sajde Me Kitni Taqat Hai, "Mene Jawab Diya Ek Sajda Hazaro Preshaniyon Ko Milta Sakta Hai"

30. Aap Apni Zindagi Me Sukun Chahte Ho To 5 Wakht Ki Namaz Ada Karo Aur Dusro Ko Bhi Dawat Dena Hamara Farz Hai.

31. Kabhi Kabhi Lagta Hai Yun Aazaan Bulati Hai Namaz Ke Liye Jaise Muhabbat Se Maa Bigde Hue Baccho Ko Bulati Hai Peyar Ke Liye.

32. Chordo Ye Muhabbat Ke Qisse Ye Zindagi Bhar Ka Rona Hai Aao Ham Namaz Padhte Hain Phir Sajdo'n Me Rona Hai.

33. Namaz Ki Fikar Karo Balance Ki Tarha, Aazan Sun Kar Utho Ringtone Ki Tarha Quran Dheyan Se Padho Message Ki Tarha Zindagi Hmaesha Nahi Rahegi Network Ki Tarha.

34. Jise Namaz Padhne Ki Adat Ho Jaye Phir Use Namaz Padhe Bagair Sukoon Nahi Milta.

35. Iblees Aik Sajde Ka Inkaar Kar Ke Hamesha Ke Liye Mardud Ho Gaya, Lekin Us Muslman Ko Hosh Nahi Aata Jo Rozana 5 Sajdo'n Ko Chod Deta Hai.

36. Na Tujhe Pane Ki Tamanna Na Tujhe Khone Ka Gum Ab Ishq Nahi Ibadat Karenge Ham.

37. Jo Banda Aik Namaz Jaan Boojh Kar Chord De Wo 70 Saal Jahannum Me Rahega, Ya Allah Hame 5 Wakht Ka Namazi Bande Bana De. (Ameen)

38. Naseeb Kaisa Bhi Ho, Bas 'Namaz' Aur 'Dua' Ki Madad Se Kaam Liya Karo.

39. Jab Tahajjud Me Kabhi Aankh Khul Jaye To Samjh Lein Ke Aasman Se Call Aaya Hai.

40. Jisne Namazo Me Dil Laga Liya, Jisne Duao'n Me Aansu Baha Diye Usne Ebadat-E-Khuda Pali Aur Muhabbat-E-Mustufa (S.A.W) Mil Gaya.

41. Namaz Allah Ki Di Gai Nemato Me Se Badi Nemat Hai Ke Jab Tum Ruku Aur Sajde Me Jate Ho To Ye Tumhare Gunaho Ko Aisa Jhaad Deti Hai Jaise Darakht Sookhe Patton Ko. 

42. Tahajjud Ki Niyat Karke Soya Karo Kyun Ki Allah Rabbul Izzat Niyat Par Bhi Ajar Ata Farmate Hain.

43. Jab Wazu Karo To Jawan Ki Tarah, Jab Namaz Padho To Budho Ki Tarah, Jab Dua Mango To Baccho Ki Tarah.

44. Namaz Fikar Apne Upar Farz Karlo Khuda Ki Kasam Duniya Ki Fikar Se Aazad Ho Jaoge Aur Kamyabi Tumhare Kadam Chome Gi.

45. Jo Ibadat Kabar Ko Roshan Karegi Wo Namaz Hai.

46. Agar Namaz Padhne Se Tum Gunnah Se Baaz Aajao To Samjhlo Tumhari Namaz Qabool Ho Rahi Hai.

47. Aik Aawaz Allah-Hu-Akbar Aur Hazaro Sar Sajdo'n Me.

48. Eid Ki Khushiyan Manate-Manate Namaz Padhna Na Bhoolna Kyun Ki Namaz Ham Par Ramzan Ke Baad Bhi Farz Hai.

49. Aazan Allah Ki Taraf Se Behtreen Dawat Hai.

50. Tum Kehte Ho Ki Mai Namaz Padhne Nahi Jata Are, Tumhari Auqat Hi Kiya Hai Ke Tum Namaz Ko Na Jao Haqiqat To Yeh Ki Wo Tumko Bulata Hi Nahi.

51. Fajir Ke Waqt Kuch Log Takkiye Par Sar Rakh Kar Sote Hain Aur Kuch Log Ja'Namaz Par Sar Rakh Kar Rote Hain Sone Wale Khubusrat Khawab Dekhte Hain Aur Rone Wale Khubsurat Taqdeer Pa Lete Hain.

52. Har Musalman Mard Ho Ya Aurat Usko Ye Jaan Lena Chahiye Ke "Iman Aur Aqido'n" Ko Sahi Kar Lene Ke Baad Sabse Bada Farz "Namaz" Hai Kyun Ki Quran Aur Hadeeso Me Sabse Zeyada Aur Baar Baar Iski Taqid Aayi Hai Yaad Rakhiye Ke Jo Namaz Ko Farz Na Mane Ya Namaz Ki Tauhin Kare Ya Namaz Ko Halki Aur Be-Qadar Cheez Samajh Kar Is Taraf Se Be-Tawajjo Barte Wo Kafir Aur Iman Se Kharij Hai.

53. Namaz Me Dil Lagane Ka Tariqa, Aur Sahi Namaz Ka Tariqa:- Jab Namaz Shuru Karo To Zameen Ki Taraf Dekho, Fayeda- Marne Ke Baad Hame Iss Zameen Me Jana Hai. Ruko'n Karo To Pair Ki Tarf Dekho, Fayeda- Hamari Jaan Paaon Se Nikalna Shuru Hogi. Aur Jab Baith Jao To Nazre Niche Jholi Me Honi Chahiye, Fayeda- Hame Khali Jholi Duniya Se Jana Hai.

54. Sukoon Nahi Milega Bhale Hi Lakh Kamale, Zamane Me Sukoon Milega Sirf Namaz-E-Panjtan Me.


55. Tum Apni Zindagi Me Namaz Le Aao Namaz Tumhari Zindagi Me Sukoon Le Aayegi.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat