Dil


1. Bimariyon Mein Sabse Badi Dil Ki Bimari Hai, Aur Dil Ki Bimariyo'n Mein Sab Se Badi Bimari  Dil Aazari Hai, Kisi Ka Dil Dukhana  Chahe Wo Muslim Ho Ya Qafir.

2. Kisi Ka Bhi Dil Dukhane Se Bacho, Warna Bade Bade Amaal Kar Ke Bhi Allah Ki Kurbat Se Mehroom Rahoge.

3. Paise Ki Ameeri To Aam Hai Dil Ki Ameeri Allah Kisi Kisi Ko Deta Hai.

4. Jis Dil Me Deen Zinda Ho Wo Dil Kabhi Mayoos Nahi Hota.

5. Jab Dil Dard Me Doob Jata Hai To Insan Allah Ke Or Bhi Kareeb Ho Jata Hai.

6. Jinke Dil'on Me Muhabbat Khuda Ki Hoti Hai Unhe Kisi Aur Ki Zaroorat Nahi Hoti

7. Ham Uss Kagaz Ko To Samhal Kar Rakh Dete Hain Jis Par Allah Ka Naam Likha Hota Hai Lekin Uss Dill Ko Tord Dete Hain Jis Me Allah Basa Hota Hai.

8. Kehte Hain Kya Lekar Aaye Kya Lekar Jayenge Ham Kehte Hain Ek Dil Lekar Aaye The Sabke Dil'on Me Jagha Bana Kar Dil Se Dua'en Lekar Jayenge In Shaa Allah.

9. Mera Dil Nahi Manta Me Duniya Me Kisi Se Bhi Nafrat Karun, Chahe Uski Shqsiyat Kitni Bhi Buri Ho Ya Usne Mujhe Kitni Bhi Aziyat Di Ho, Ye Mumkin Hai Mere Rab Ko Uski Koi Ek Baat Pasand Aajaye Aur Usko Hidayat De De Aur Usay Jannat Me Dakhil Kar De Isliye Me Apne Dil Ko Badgumaniyon Se Saaf Rakhna Chahti Hun Taki Isme Mujhe Apni Khaamiya'n Saaf Saaf Nazar Aa Sake.

10. Sukoon Chahiye To Raat Ki Tanhai Me Dil Banane Wale Se Dil Ki Batein Kar Ke Dekhna Phir Dekho Kitna Sukoon Milta Hai.

11. Kisi Ki Izzat Dil Aur Nazro Me Hoti Hai Alpfazo Se To Har Koi Izzat Karta Hai.

12. Lehja Naram Rakhiye, Beshq Dilo'n Par Lafzo'n Se Zeyada Lehja Asar Karta Hai.

13. Akele Reh Jate Hain Aksar Wo Log, Jo Dil Ke Sachhe Hote Hain.

14. Mere Azizo, Agar Apne Dil Ki Wiraan Duniya Ko Aabad Karna Ho To Allah Ka Zikar Kasrat Se Kiya Karo Isi Me Dilo'n Ka Sukoon Hai.

15. Sabse Behtreen Maaldari Dil Ki Maaldari Hai.

16. Kisi Ka Dil Itna Mat Dukhao Ke Wo Allah Ke Samne Tumhara Naam Lekar Ro Pade Kyun Ki Toote Hue Dil Se Nikli Aah Arsh Tak Jati Hai.

17. Mere Azizo, Agar Apne Dil Ki Weeran Duniya Ko Aabad Karna Ho To Allah Ka Zikar Kasrat Se Kiya Karo, Isi Me Dilo'n Ka Sukoon Hai.

18. Zindagi..! Rabne Nawaza Zindagi Dekar Aur Ham Shohrat Mangte Reh Gaye Zindagi Guzar Di Shohrat Ke Piche Phir Ham Mohlat Mangte Reh Gaye.

19. Khoobsurti Aik Naimat Hai Lekin Sabse Khoobsurat Aapki Zuban Hai Chahe To Dil Jeet Le Aur Chahe To Dil Tod De.

20. Logo'n Ke Dilo'n Me Apna Maqam Is Tarah Bana Lo Ke Mar Jao To Tumhare Liye Dua Karein Aur Zinda Raho To Tumse Milne Ko Tarsein.

21. Insan Ke Jism Ka Sabse Khoobsurat Hissa Dil Hai Agar Yahi Saaf Na Ho To Chamkta Chehra Kisi Kaam Ka Nahi.

22. Dil Me Burai Rakhne Se Behatar Hai Narazgi Zahir Kardo.

23. Naram Dil Log Bewakuf Nahi Hote Wo Jaante Hain Ki Log Unke Sath Kya Khel Khel Rahe Hain Phir Bhi Wo  Nazar Andaz Karte Hain Kyunki Inke Paas Aik Khubsurat "Dil" Hota Hai.

24. Asal Taqwa Dil Ki Wo Kaifiyat Ka Naam Hai Jo Aapko Tanhai Me Bhi Gunnah Karne Se Roke.

25. Kisi Ka Dil Dukhane Se Pehle Aik Baat Yaad Rakhen, Aik Dil Aapke Paas Bhi Hai.

26. Jis Dil Me Duniya Ki Muhabbat Hoti Hai Wo Duniya Me Mazeed Aur Mazeed Jiney Ki Chahat Rakhta Hai Aur Jiske Pakeeza Qalb (Dil) Me Allah Rabul Izzat Ki Muhabbat Basti Hai Wo Har Waqt Apne Rab Se Mulaqaat Mushtaaq Hota Hai Yani Mout Ko Mehbub Rakhta Hai, Aur Ye Rab Se Muhabbat Ki Wazeh Daleel Hai.

27.Sajde Bhi Tabhi Qubool Hote Hain, Jab Sar Ke Sath Dil Bhi Jhukta Hai.

Comments

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat