Todays Sad Reality



1. Kehte Hain Agar Shadi Ke Baad Maa-Baap Ki Zimmedari Beti Ki Hoti To Koi Bhi Walidein Budhape Mein Dar-Badar Na Hote Par Haqiqat Me Agar Har Beti Apni Shadi Ke Baad Apne Shohar Ke Walidein Ko Apne Walidein Ka Darja De Unka Haq Ada Kare To Duniya Bhar Mein Koi Bhi Maa-Baap Kabhi Dar-Badar Na Ho.

2. Biwi Ko Izzat Dene Wale Mard Aurat Ke Gulam Nahi Hoten Balki Aisi Azeem Maa Ke Farma Bardar Bete Hote Hain Jisne Apni Aulad Ko Aurat Ki Izzat Karna Sikhaya Ho.

3. Agar TikTok Pe Famous Hona Hai To Ye Burkha Utaar Ke Famous Hua Karo Ye Burkha Tumhare Baap Ki Jaagir Nahi Hai Ye Hamare Nabi-E-Pak (S.A.W) Ka Paigaam Hai.

4. Baap Ke Saamne Nazar Jhuka Kar Rakho Adab Ke Daayere Me Raho Ta Ke Allah Tumhe Duniya Aur Aakhrat Mein Buland Kar Sake Kyon Ki Baap  Tumhari Jannat Ka Darwaza Hai.

5. Insaan Bhi Bade Kamal Ka Hai Dramo Mein Ada Karo Ke Dukh Dard Ko Dekh Kar Ro Padta Hai Aur Asal Zindagi Mein Logo Ke Dukh Dard Ko Drama Samjh Ta Hai.

6. Aulad Ki Tarbiyat Walidain Ki Parwarish Par Hoti Hai. Duniya Ki Degree's Se Jannat Nahi Milti. Bachpan Se Hi Bachhon Ko Deen Ke Raaste Par Le Jao. Ye Dunia Aur Aakhrat Dono Mein Kamyaab Honge.

7. Kabhi Bhi Kamyabi Ko Demaag Mein Aur Na-Kamyabi Ko Dil Me Jagah Nahi Dein Kyun Ki, Kamyabi Dimag Mein Takabbur Aur Nakami Dil Me Dar Paida Karti Hai.

8. Shohar Ko Iss Baat Ka Khayal Rakhna Chahiye Ke Biwi Ke Bhi Rishtedaar Maa, Baap, Behen, Bhai Hote Hein. Shohar Ko Biwi Ke Rishtedaron Ko Izzat Deni Chahiye Jaise Shohar Biwi Se Apne Rishtedaron Ki Izzat Karwata Hai. Shadi Ka Matlab Ye Nahi Hota Ki Shohar Ne Biwi Ko Khareed Liya Hai.

9. Walidein Aur Bhai Please Apni Behen Betiyon Ko Choti Bacchi Samjh Kar Har Baat Ko Mat Taalo Unhe Roko Toko Dupatta Kyun Nahi Liya Hai Agar Liya To Gale Mein Kyun Hai, Ser Par Kyun Nahi Hai Tumhare Gharo Ki Tehzeeb Tumhare Ghar Ki Ladkiyan Hain.

10. Har Mafi Mangne Wala Gunahgaar Nahi Hota Aur Har Maaf Karne Wale Glat Nahi Hote Ye Log Hote Hain, Jo Rishton Ko Bachane Ke Liye Doosron Ki Glati Par Khud Mafi Mang Lete Hein Aur Khud Maaf Karte Hain.

11. Insan Doulat Ke Liye Sehat Ko Or Sehat Ke Liye Doulat Ko Kho Deta Hai Ye Soch Kar Zindagi Guzaar Deta Hai  Jeeta Aise Hai Ki Jaise Kabhi Marna Hi Nahi Aur Marta Aisa Hai Jaise Kabhi Jiya Hi Nahi.

12. Yeh Zindagi Hai Janab Uljhenge Nahi To Suljhenge Kaise Bhikhrenge Nahi To Nikhrenge Kaise.

13. Mere Bhaiyo, Ye Zaban Phool Bhi He Aur Or Nagin Bhi, Agar Isko Meetha Kar Diya To Duniya Tumhe Izzat Degi, Aur Agar Isay Zehrila Bana Liya To Tum Maa Baap Ko Bhi Dasoge Or Logo'n Ki Nazron Se Bhi Giroge...!

14. Niyat Kitni Bhi Acchi Ho Duniya Tumhe Tumhare Dikhawe Se Janti Hai, Aur Dikhawa Kitni Bhi Achha Ho, Allah Tumko Tumhari Niyat Se Janta Hai

15. Zindagi Me Kabhi Kisi Se Zada Attach Mat Ho Jana, Kyun Ki Log Jab Aap Ko Pasand Karte Hein To Aapki Sab Burai Bhool Jate Hein, Aur Jab Log Aap Se Nafrat Karte Hein To Aapki Acchai Bhul Jate Hein.

16. Zindagi Me Do Din Hote Hain, 1:- Aap Ke Haq Mein Aur 2:- Aapke Khilaf. Jab Din Aap Ke Haq Me Ho To Guroor Mat Karo Aur Jab Aap Ke Khilaf Ho To Sabar Karo. Kyun Ki Ye Tumhare Liye Imtehaan Ke Din Hote Hein...  Example:- Rab Dekar Bhi Aazmata Hai Aur Lekar Bhi.

17. Mene Ek Cheez Par Gour Kar Ke Dekha Ki Mere Rab Ne Mujhe Kabhi Meri Himmat Aur Bardasht Se Zada Nahi Aazmaya. Lekin Insano Ne Mujhe Hamesha Wahan Se Aazmana Shuru Kiya Jahan Meri Himmat Aur Bardasht Ki Had Khatam Hoti Hai.

18. Namaz Ki Fikr Karo Blance Ki Traha, Aazan Sun Kar Utho Ringtone Ki Traha, Quran Dheyan Se Pardho Message Ki Traha, Zindagi Nahi Rahegi Network Ki Traha.

19. Muhabbat Kar Ke Dekhi Hai Muhabbat Saaf Dhoka Hai, Sab Dil Rakhne Ki Batein Hein Kon Kis Ka Hota Hai

20. Kabhi Kabhi Ham Apni Zindagi Se Naraz Ho Jate Hein Lekin Usi Wakht Kuch Log Hamari Jesi Zindagi Jeene Ke Liye Dua Mangte Hein.

21. Aaj Kal Logo Par Koi Mushkilat Aa Jaye To Kehte Hein Kisi Rishtedar Ne Jadu Kara Diya Yaqeen Mane Koi Jadu Nahi Karta Ye Hamari Apni Bad Amliyan Hain Jin Ke Asraat Hamari Zindagi Par Pardte Hein Apni Soch Aur Niyat Ko Paak Kar Lein Tohmmat Mat Lagaen Kisi Pe. In Shaa Allah Apki Mushkilat Khud Khatam Ho Jayengi Bas Amal Sahi Karne Ki Zaroorat Hai.

22. Insan Ke 3 Hisse Hein, Pehla 'Allah' Ka Dusra 'Apna' Aur Teesra Keedo Ka Wo Jism Hai.

23. Izzat Ki Wajah Se Kabhi Gunnah Mat Karna Gunnha Khatam Nahi Honge, Izzat Khatam Hojayegi, Takleef Ki Wajah Se Neki Mat Chordna Neki Khatam Nahi Hogi Takleef Khatam Hojayegi.

24. Rishte Masoom Parinde Ki Trah Hote Hein Agar Takat Se Pakdoge To Mar Jayenge, Narmi Se Pakdoge To Udd Jaynge,, Lekin Mohabbat Se Pakdoge To Saari Umar Saath Nibhaynge.

25. Jis Aurat Ko Mardo Se Baat Karne Ka Chaska Lag Jaye Wo Aurat Kabhi Kisi Se Muhabbat Nahi Kar Sakti.

26. Wakht Aur Samjh Ek Sath Khush Qismat Logo Ko Milti Hai Kyun Ki Aksar Wakht Par Samjh Nahi Hoti Aur Wakht Aane Tak Wakht Nahi Rehta.

27. Tumhare Nafs Ki Tarbiyat Ke Liye Ye Bahut Zaroori Hai Ki Tum Unn Chizon Se Doori Ikhtiyar Karo Jo Tumhe Doosron Me Buri Lagti Hain.

28. Maal (Paise) Ke Peeche Bhagne Wale Sare Log Maaldaar Nahi Ban Sakte, Lekin Deen-E-Islam Ke Peeche Bhaagne Wale Sare Logn Deendar Zaroor Ban Sakte  Hain.

29. Aap Ka Ek Lafz Bhi Ek Zakham Bhi Laga Sakta Hai Aur Marham Bhi Ban Sakta Hai Ekhtiyar Aap Ke Paas Hai.

30. Hairat Hai Aise Shaks Par Jo Dhool Mitti Ke Dar Se Apni Gadi Par Cover To Dal Deta Hai  Magar Allah Ke Dar Se Apni Biwi Aur Beti Ko Parda Nahi Karwata.

31. Jab Koi Na Samjh Raha Ho To Khamosh Ho Jana Behtar Hai, Bahes Baaton Ko Bigaad Deti Hai.

32. Bhaiyo Ne Yusuf  Ko Marna Chaha Magar Nakaam Rahen, Baap Ki Nigahon Se Door Kiya Magar Mohabbat Aur Bardti Gai Gulaam Bana Kar Farokht Kar Diya Magar Badshah Ban Gayen. Isliye Logo Ki Saajishon Se Tatbeero Se Tum Pareshan Na Ho Allah Ki Tatbeer Aur Chahat Sab Par Bhari Hai.

33. Na Hi Amama Tumhare Baap Ki Jageer Hai Or Na Hi Burkha, Agar TikTok Par Famous Hona Hai Toh Amama Or Dhadhi Nikal Kar Famous Hua Kro Dhadi Aur Amama Tumhare Baap Ki Jaagir Nahi Hai  Pehle Khud Sunnato Par Chalna Seekho. Phir Ladkiyo Par Fatwa Nikaalna.

34. Mard Agar 'Beta' Hai To Nemat 'Bhai' Hai To Himmat 'Shohar' Hai To Tumhare Imaan Ki Takmeel 'Baap' Hai To Jannat Ka Darwaza. In Sab Rishton Me Tumhara Muhafiz Hai Iski Siwa Koi Or Rishta Qaim Kar Ke Uski Bewafai Ke Shikwe Gane Wali Larkiyon Galti Tumhari Hai.!

35. Mere Pyaron Aaj Hum Apna Jaaizale Ke Hamari Jawani Ki Raatein Kaha Guzar Rahi Hain.? Andheri Raat Me Jab Koi Nahi Dekh Raha Hota Hai Tab Hum Kya Karte Hain.? Us Waqt Hamari Aankhon Se Allah Ke Dar Se Aanson Girte Hain Ya Hum Apni Aankhon Ko Sharminda Karte Hain Allah Ke Nazdeeq. Humari Jawani Kaha Jaa Rahi Hai.? Hum Raat Me TAHAJJUD Padhte Hain Ya Phir Raat Me TAHAJJUD Ke Waqt Pe Hi Sone Jate Hain.?  Hamari Jawani Ka Kya Aalam Hai..? Sochiye.! Zara sochiye.! Sochiye us waqt Ko Jab Hum Allah Ke Saamne Pesh Kiye Jayenge Aur Us Waqt Hamare Saamne Sab Log Khade Honge Hamare Maa Baap Humare Dost yaar Hamare Ustaad Bhi Honge Humare Chote Bhai / Behen Bhi Honge Aur Wo Log Bhi Honge Jo Hame Nek Samajhte Hain Sab Se Badi Baat Toh Ye Hai Ke Mere Aur Aapke Peyara Nabi Bhi Khade Honge Aur In Sab Ke Saamne Mera Aamal Khola Jayega Meri Zindagi Ki Poori Film Ko Play Kiya Jaayega Batao Mere Pyaron Us Waqt Agar Un Sab Ke Saamne Kahin YeBaat Zaahir Hogai Ke Hum Toh Raat Ko Gandi Film Dekha Karte The Hum Toh Raaton Ko Haram Kamo Lagaya Karte The.! Allahu Akbar.! Kya Banega.? Kya Banega Hamara.? Hum Toh Zaleel Hojayenge.! Maa Baap Ke Saamne.! Bhai Behen Ke Saamne.! Ustaad Ke Saamne.! Aur Wahin Par Sahaba Bhi Honge.! Wo Sochenge Ke Ye Kaise Log Hain Jiske Baare Me Allah Ta'ala Ne  farmaya Tha Ke Ye Behtareen Umaat Hai..! Mujhe Toh Lagta Hai Ke Sahaba Yaqeen Hi Nahi Kar Paayenge Ke Hum Hi Wo Log Hain Jin Ki Allah Ne Tarred Ki Thi.! Mere Doston.! Aaj Mauqa Hai, Aaiye Hum Sab Mil Kar Tawbah Karte Hain Hum Sab Milkar Allah Se Maafi Maangte Hain Aur Ye Irada Karte Hain Ke Allah!m Aaj Se Hum Gunaho Se Sacchi Pakki Tawbah Karte Hain Mere Peyare Allah Mujhe Aap Bacha Lijiyega Shaitan Ke Shar Se Main Kamzor Hun. Aap Taqatwar Hai Main Zaleel Hun Aap Aap Badi Aalishaan Azmat Wale Hai Aye Allah Ham Pe Karam Farmaiye Aur Hame Bacha Lijiye Kyun Ki Aap Ke Siwa Hamara Koi Bhi Nahi.

36. Zindagi Ko Iss Rarah Jiyo Jaise Hamesha Zinda Rehna Hai Aur Aakhrat Ki Fikar Aise Karo Jaise  Agle Pal Mar Jana Hai.

37. Sari Duniya Ke Log Tujhe Apne Fayde Ke Liye Chahte Hain, Sirf Tera Rab Hi Hai Jo Tujhe Tere Fayede Ke Liye Chahta Hai.

38. Sabr Ki Had Ye He Ke Taqdeer Par Koi Shikwa Na Ho, Jisme Jitna Sabr Hoga Uski Dua Me Utna Asar Hoga.

39. Miya Biwi Ka Rishta Kagaz Tak Mehdood Nahi Hota, Is Rishte Ki Khasiyat Ye Hai Ke Aapne Hamsafar Ki Takleef Ko Preshani Ko Aur Thakawat Ko Khuloos Dil Se Samjhe Yaad Rakhe Ye Rishta Sirf Duniya Tak Mehdood Nahi, Jannat Tak Ka Bhi Saath Hota Hai Dono Ka.

40. Kabhi Kabhi Insan Bohot "Be Bus" Hojata Hai, Na Chahte Hue Bhi Usay Khamosh Rehna Pardta Hai, Wo Sabar Se Kisi Mojze Ka Intezaar Karta Hai. Num Aankho Se Apne Rab Ki Rehmat Ka Muntazir Hota Hai Aur Phir Quran Se Allah Ka Jawab Aata Hai,"Walasawfa Yuaateeka Rabbuka Fatarda" (Or Beshq Kareeb Hai Ke Tumhara Rab Itna Dega Ke Tum Razi Ho Jaouge)

41. Kunwari Ladki Se Nikkah Ki Ijazat Li Jaye Jabar Na Kiya Jaye, Jawan Ladki Apne Nikkah Ke Muamle Me Awwaleen Ahmiyat Rakhti Hein, Uski Raay Ko Ahmiyat Na Dena Aur Uski Razamandi Ki Parwaah Na Karna Wli Ke Liye Jaaiz NAhi Hahi, Aap Sallallahu Alaihiwasallam Ka Irshad He:-  "Kunwari Ladki Uske Nafs Ke Muamle Mai Ijazat Li Jaye  Aur Uski Ijazat Uska Khamosh Rehna Hai"

42. Kunwari Ladki Se Nikkah Ki Ijazat Li Jaye Aur Jabar Na Kiya Jaye, Baap Ke Liye Bhi Jaa'iz Nahi Ke Ladki Ka Nikkah Kisi Aise Shaks Ka Paigam Aa Jane Per Mo'akhar Kar De Jo Deendaar Ba Akhlaq Aur Uski Biradri Ka Ho, Aap Sallallahu Alaihiwasallam Ka Irshad Hai:- Teen Cheezo Ko Mo'akhar Nahi Karna Chahiye :- 1- Namaz Jab Ki Wakht Ho Jaye,  2- Janaza Jab Ki Hazir Ho, 3- Jawan Aurat Ka Nikkah Jab Ki Uski Barabari Ka Rishta Mil Jaye, Aur Farmaya Jab Koi Aisa Rishta Saamne Aa Jaye Jiske Deen Aur Akhlaq Ko Tum Pasand Karte Ho To Usse Nikkah Kardo  Varna Zameen Me Fitna Aur Fasaad Bhara Hoga.

43. Log Samjhte Hain Mein Badal Gaya Hun Rude Ho Gaya Hun Ignore Karne Lag Gaya Hun Lekin Aisa Kuch Bhi Nahi Hai Bas Maine Logon Ke Pecche Bhagna Chor Diya Hai Koi Baat Kare To Theek Na Kare To Bhi Theek Jo Jaisa Karta Hai Mein Bhi Ab Vaisa Hi Kartia Hun.

44. Burai Ki Misaal Aisi Hai Jaise Pahaad Pe Se Neeche Utarna, Ek Kadam Uthao Toh Baki Apne Aap Uth'tey Chale Jaate Hain.

45. "Namaz" Parhne Ki Taufeeq Bhi Usay Hi Milti Hai, Jis Se RAB Raazi Ho.

46. Bad Kismati Ye Hai Ke Jis Ummat Ke Chehre Na Bigadne Ki Nabi Paak (S.A.W) Ne Dua Ki Aur Woh SnapChat Aur Uske Jasi Bohot Sari Apps Pe Apne Janwaron Jaise Chehre Bana Rahe Hain.

47. Aasman Pe Urte Hue Parinde Se Kisi Ne Pucha Kya Tujhe Zameen Pe Gir Jane Ka Dar Nahi, Usne Muskura Kar Jawab Dia Main Insan Nahi Jo Zara Si Bulandi Par Pahonch Kar Akar Jaun Nazrein Hamesha Meri Zameen Par Hi Rehti Hain.

48. Aurat Ke Jism Se Nikal Kar Aurat Ke Pait Me Pal Kar, Aurat Ki Jawani Kha Kar Mard Kehta He  "Yeh Aurat Zaat Hi Kharab Hai"

49. Aurat Paida Karti Hai Bolna Sikhati Hai, Parwaish Karti Hai, Behen Ho To Ek Dost Beti Ho To Ek Rehmat, Biwi Ho To Ek Sacchi Dukh Sukh Ki Sathi Aur Maa Ho To Tumhari Jannnat Uske Qadmon Me Par Afsos Ki Baat Hai Hamari Galiyon Me Ushi Ka Zikr Hota Hai.

50. Islam Me Aurto Ko Parda Ka Hukum Karke Qaid Nahi Kiya Hai Balke Hawas Paristo'n Ki Nighao'n Se Mehfooz Kiya Hai.

51. Yeh Jo Tumhara Nafs Hai Na Ise Khair Ke Ke Kamo Me Masruf Karlo Warna Ye Tumhein Shar K Kamo Me Masruf Kardega.

52. Aye Insan Teri "Zindagi Ek Kitaab Hai Tu Apne Haath Se Us Kitab Ko Likh Jisko Padhte Huwe "Qayamat" Ke Din Tujhe "Sharmindagi" Na Ho.

53. Duniya Ki Tarikh Me Koi Kisi Ke Liye Itna Nahi Roya, Jitna Hamare Nabi Huzoor (S.A.W) Apni UMMAT Ke Liye Royen.

54. Hijab Aur Niqab Me Buhut Fark Hai Behno Hijab Me Chehra Saaf Bayan Karta Hai, Ye Kaisa Parda Hai.? Parda Aisa Karein Ki "Ek Bhi Baal Or Nakhoon Nazar Nahi Aayen Niqab Ka Ihtimaam Karo" Ya Allah Hame Mukammal Parda Karne Ki Taoufiq Ata Farma (AMEEN)

55. Tumhari Sabse Badi Jeet Kya He Pata Hai.? Tum Badla Na Lo Maaf Kardo Jisne Tumhe Sabse Zada Takeleef  Di Ho.

56. Jo Hua, Woh Achha Hua, Jo Ho Raha Hai Woh Accha Ho Raha Hai, Jo Hoga Wo Bhi Achha Hoga, Tera Kya Gaya, Jo Tu Rota Hai, Tu Kya Laya Jo Tune Kho Diya. Jo Liya Yahin Se Liya Jo Diya Yahin Per Diya. Jo Aaj Tera Hai Woh Pehle Kisi Or Ka Tha, Aur Kal Kisi Or Ka Hoga. Tabdeeli Hi Qayenat Ka Mamool Hai.

57. Kabhi Kabhi Insan Sach Me Haar Jata Hai, Khamosh Rehte Rehte. Sabar Karte Karte. Umeedein Rakhte Rakhte, Rishtey Nibhate Nibhate, Safaiyaan Dete Dete Apno Ko Manate Manate :(

58. Girgit Mahool Dekh Kar Rang Badal Ta Hai, Aur Insan Mauka Dekh Kar Rang Badal Ta Hai.

59. Jo Sukoon Sadgi Me Mila,Wo Magrib Ke Fashion Me Na Tha.

60. Insan Me Pai Jane Wali Sabse Buri Aadatein: Intehai Darje Ka "Lalach" Aur "Buzdili Hai.

61. Hamesha Sach Bolo, Sach Nijaat He Aur Jhouth Halakat He.

62. Nikkah Aaj Bhi Aasan Hai, Log Sunnat Bhool Gaye, Shaan Dikhane Me.

63. Qabaristan Aaj Bhi Aise Nojawano'n Se Bhara Pada Hai, Jo Souchte The Ki Budape Me Touba Kar Lenge.

64. Sachchai Aur Acchai Ki Talash Mein Poori Duniya Ghoome Lein, Agar Wo Aap Me Nahi To Kahin Nahi.

65. Azaan Ko Sunkar Unsuna Mat Karna, Kisi Ke Dil Ki Takleef Ki Wajah Mat Banna, Kisi Ka Sabar Ka Imtehan Mat Lena, Maa Baap Ko Kabhi Naraz Mat Karna, Mohabbat Ko Kabhi Haram Mat Banana, Dukh Dekar Khushi Ko Mat Dhundna, Bezuban Ko Takleef Mat Dena, Gareeb Ko Kabhi Chotta Mat Dekhna, Rishta Jodna Lekin Kabhi Mat Todna, Mout Ki Khuwaish Kabhi Mat Karna.

66. Jo Shaks Logo Ko To Acche Kamon Ki Naseehat Kare Magar Uska Apna Amal Us Par Na Ho Toh Uski Misaal Us Andhe Chiragh Waale Aadmi Jaisi Hai Jis Ke Chiragh Se Doosre To Roshni Hasil Karte Hain Magar Andha Khud Nahi Dekh Sakta.

67. Kya Ye Kafi Nahi Hai, Allah Paak Tumhe Sab Kuch De Kar Sajdo Ki Taufiq Na De.

68. Rooh Ko Paak Aur Gunnah Ko Chodne Me 4 Baat Ki Koshish, Jazbaat Ko Dafnana, Ehsaas Ko Chupana, Feelings Ko Andar Hi Basana, Khamoshi Ke Sath Guzar.

69. Beta: Ammi Kitni Dafa Kaha Hai Office Ke Time Me Call Na Kiya Karen, Maa: 2 Ghante Se Tere Office Ke Bahar Bethi Hun Beta Tu Khana Ghar Bhool Gaya Tha.

70. Yahan Sab Duniya Haseen Banane Ki Fiqr Me Lage Hue Hein, Lekin Bas, Israfeel A.S Ka Ek Shoor Aur Duniya Ka Qissa Khatam.

71. Ilm Na Sikhne Par ALLAH Hamse Poochega Ke "Sikha Kyo Nahi To Uss Wakht  Ham Allah Ko Kya Jawab Denge.?

72. Ye Duniya Bhi Ajeeb Hai Udaas Logon Pe Hansti Hai Khush Logo'n Se Jalti Hai.

73. Mana Ke Auron Ke Muqable Kuch Ziyada Paya Nahi Maine, Par Khush Hoon Ke Khud Ko Gira Ke Kuch Paya Nahi Hai Maine.

74. Jitna Gana Bajana Shayri Hasi Mazaq Peyar Ke Posts Ko Interst Batate Hain Wo Utna Deen Ke Bato Pe Interest Nahi Lagate Log Jitna Like Comment Gunnah Ke Posts Par Karte Hein Ye Deen Ke Posts Padte Tak Nahi Afsos, Lekin Yaad Rakhna Allah Ko Aapki Zaroorat Nahi Hai Shukar Karo Allah Ka, Ki Hame Kuch Sikhne Sikhane Ko Mil Raha Hai Aur Aamal Karne Ki Koshish Karo.

75. Insan Ka Gussa Bhi Bada Ajeeb Hai, Wo Apne Se Bade Aur Taqatwar Ke Samne Toh Gussa Control Kar Leta Hai, Lekin Apne Se Chote Aur Kamzor Par Gussa Karne Me Der Nahi Karta .

76. Jo Insan Sabki Khushi Chahta Hai Sabke Bare Me Achha Sochta Hai Sabka Khayal Rakhta Hai Wohi Insan Zindagi Me Akela Reh Jata Hai.

77. Hame Sari Zindagi Bas Isi Baat Ki Fikar Rehti Hai Ke "Log Kya Kahenge"? Or Aakhir Me Log Yehi Kehte Hein "Inna Lil Lahi Wa Inna Ilayhi Raji'Un"

78. Insan Mota Patla Kala Gora Apni Marzi Se Nahi Hota Kisi Ka Mazaq Uda Kar Allah Ko Naraz Na Karen. 79. Zaya Na Kar Apne Alfaz Har Kisi Ke Liye Bas Khamosh Reh Kar Dekh Tujhe Samjhta Kon Hai.

80. Tum Dar Jate Ho Darawni Filme Dekh Kar Kabhi Padho Quran Me Qayamat Ka Sama Khouf Se Khade Ho Jainge Romtein Tumhare.

81. Burai Ke Baad Shayad Koi Bhi Na Jane Lekin Burai Karne Se Pehle Har Shaqs Janta Hai Ke Burai Kya Hai Aur Neki Kya Hai.

82. Raat Ki Chadar Ko Kafan Samjh Kar Soya Karo, Na Jane Subha Ka Aagaaz Kis Duniya Me Ho Jaye.

83. Achhi Tarbiyat Milti Hai Achhe Gharano Se Unhe School Sirf Taleem Deta Hai.

84. Subha Fajir Ki Namaz Me Pehli Saf Mukammal Nahi Hoti,Aur Suraj Chadte Hi Instagram Deendar Logo Se Bhar Jata Hai.

85. Afsoos Aaj Kal Log Zyadatar Wakht Ajnabi Logo Ko Impress Karne Me Guzaar Dete Hein Namaz Padho Ki Isse pehle Aapki Namaz Padhi Jaye.

86. Jo Shaqs Tere Paas Kisi Ki Gheebat Karta Hai Wo Shaqs Zaroor Teri Bhi Kisi Se Gheebat Karega. Jisne Bhalai Kar Ke Ahsan Jatlaya Usne Uss Bhalai Ko Barbad Kar Diya.

87. Sharafat Ki Duniya Se Shikwe Mil Hi Jate Hain Kabhi Shareef Ban Kar Dekhen Be Wajah Naam Mil Hi Jate Hein Chod Di Hamne Shikwe Ki Wajah Dhundna, Chord Kar Bhi Kahi Zakham Mil Hi Jate Hain.

88. Log Bimari Ke Dar Se Khana Chord Dete Hain Lekin Aakhrat Ke Dar Se Gunah Nahi Chordte.

89. Jab Nikah Dj Pe Padhaye Jayega To Naslein TikTok Pe Hi Mujraa Karengi.

90. Whatsup Istemal Karne Wale Inn Baton Ka Khayal Rakhein "Khushkhabri Allah Deta Hai 10 Logon Ko Send Karne Se Nahi Milti. "Pyare Nabi S.A.W Ki Kasam De Kar Forward Karne Ko Kehna Haraam Hai."Koi Bhi Qurani Aayat, Ya Hadees Paak Ko Confirm Kare Bagair Share Na Karen.

91. Bad Kismati Yeh Hai Ki Jis Ummat Ke Chehre Na Bigadne Ki Nabi Paak S.A.W Ne Dua Ki Aur Wo Snapchat Aur Uske Jasi Bohut Sari Apps Pe Apne Janwaron Jaise Chehre Bana Lete Hain.

92. Ham To Bas Apne Dill Ki Sunte Hain Jo Dil Kahe Karte Hain Allah Naraz Ho To Ho Bass Bf/Gf Raazi Hone Chahiye Kitne Gir Chuke Hain Ham In Na'jaiz Haram Muhabbaton Me Gane Music Sunna Kitna Bada Gunnah Hai Aur Ham To Subha Shaam Sunte Hain Magar Aur'on Ko Bhi Sunate Hain Status Me Rakh Kar, Taki Hamare Sath Aur Log Bhi Gunnah Karen.

93. Aaj Kal Jiska Status Dekho Songs Lage Rehte Hain, Kisiko Muhabbat Me Dhoka Milta Hai To Sad Song Status Lagate Hain Aur Koi Apne Bf/Gf Ko Raazi Karne Ke Liye Songs Lagate Hain, Magar Kabhi Ye Socha Hai Ki Allah Kitna Naraz Hota Hai Gane Sunne Hai Aur Aur'on Ko Sunane Se, Kitna Bada Gunnah Hai.

94. Ajeeb Dastaan Hai Meri Zindagi Ki Bhi Yaaro, Idhar Gair Mera Haal Puch Raha Hai Aur Mere Apno Ko Meri Parwah Tak Nahi.

95. Aaj Kal Ki Genration Ko Subha Acchi Nahi Lagti Din Me Bore Ho Jate Hain Aur Shaam Me Thak Jate Hain Aur Raat Mai Depression Ho Jata Hai.

96. Us Gunnah Ki Maafi Nahi Jo Kar Ke Has-Has Ke Aur'on Ko Bataya Jaye Matlab Jaise Ham Songs Sunte Hain Aur Aur'on Ko Bhi Sunate Hain Ke Aap Bhi Suno Is Gunnah Ki Maafi Manglo Aur Bacho Is Gunnah Se Apni Nafs Par Kaabu Rakho Logo'n Ko Raazi Karne Ke Liye Allah Ko Naraz Na Karo Log To Aur Bhi Mil Jayenge Magar Allah Jaisa Aur Koi Nahi Mil Sakta Allah Se Daro Allah Ki Narazgi Se Daro.

97. Jannat Jana Chahte Ho Masjid Kyun Nahi ? Duniya Ki Qitaab Padhte Ho Quran Kyun Nahi ? Dosto Ko Paise Dete Ho Gareebo Ko Khana Kyun Nahi ?

98. Ummat Gunnah Me Doob Gai Koi Fikar Nahi Aazan Ho Rahi Hai Namaz Ki Paband Nahi Afsoos Nind Me Mobile Me Wakht Guzar Gaya Namaz Ada Nahi Ki Phir Bhi Gunnah Ki Ghabrahat Nahi Hamari Ummat Net Par Fida Hai Koi Afsoos Hi Nahi.

99. Tumhe Camera Ki Aankh Dekh Rahi Hoti Hai To Kaise Seedhe Ho Jate Ho, To Rab Ki Aankh Se Kyun Nahi Sharmate.

100. Kyun Daman Ko Daagdar Karte Ho, Kyo Bewafa Se Mohabbat Karte Ho, Pakeeza Mohabbat Ko Yaro Tum Kyun Badnaam Karte Ho.

101. Zaroorat Se Zada Aazad Khayal Hona Bhi Insan Ko Jahil Bana Deta Hai.

102. Aur Jab Koi Be-Hayai Ka Kaam Karte Hein To Kehte Hein 'Hamne Apne Buzurgon Ko Isi Tarha Karte Dekha Hai' Aur Khuda Ne Bhi Hamko Yahi Hukum Diya Hai Keh Do Khuda Be-Hayai Ka Kaam Karne Ka Hargiz Hukum Nahi Deta Bhala Tum Khuda Ki Nisbat Aise Baat Kyun Kehte Ho Jiska Tumhe Ilm Nahi.


103. Beta Maa Se Keh Raha Tha Mere Liye Khubsurat Aur Padhi Likhi Ladki Dhundo, Jabki Peeche Khadi Anpadh Sanwli Rangat Uski Behen Ya Batein Sun Rahi Thi.

104. Mar Gaye Peyar Me Marne Wale Ab Jo Zinda Hain Sab Drame Hain.


105. Suno Peyari Behno Apni Masumiyat Ko Bacha Kar Rakho Peyari Behno Velentine Day Par Ladko Ka To Kuch Nahi Jata Hai Balke Wo Har Velentine Alag Alag Ladki Ke Sath Manayenge To Tab Bhi Wo Izzatdaar Kehlayenge, Gawah To Tum Dogi Apni Masumiyat Ki Apni Izzat Apni Chadar Apna Libas Ki Apne Khalis Jazbaat Ki.

106. Sachchaai Aur Naiki Ka Rasta Dushwaar Zaroor Hai Lekin Manzil Bahut Khoobsurat Hai Burai Ka Rasta Bahut Aasan Sahi Lekin Manzil Tabha Hi Hai.

107. 100 Achhe Kaam Karlo Aur 1 Galti Kardo Log Sab Bhool Jate Hain Bss Wo 1 Galti Nahi Bhoolte.

108. Jab Apne Se Zada Kisi Aur Ki Fikar Hone Lage Samjh Lo Ki Aapko Zaleel Hone Ke Din Shuru Ho Gaye.


109.Insan Itna Buzdil Hai Ke Khawab Me Bhi Dar Jata Hai  Aur Itna Bahadur Hai Ki Allah Se Bhi Nahi Darta.

110. Kachre Me Phenki Rotiyan Bayan Kartin Hain Ke Pait Bharte Hi Insan Apni Auqaat Bhool Jata Hai.

111. Rab Se Dar Kar Ibadat To Karlete Hain Bahot Se Log Lekin Rab Ki Muhabbat Me Koi Ibadat Nahi Karta.

112. Koshish Karen Apne Dukh Apne Chehre Se Zaahir Mat Hone Dein Kyun Ki Na To Aaj Kal Kisi Ke Paas Wo Aankhein Hain, Na Ehsaas, Na Dil.

113. Mayoos Hogaye Hain Zindagi Ke Safar Se, Maqsad Ki Muhabbatein, Matlb Ki Dostiyaan, Aur Naam Ke Rishte.

114. Agar Ham Ye Kehne Ke Bajaye "Deewaro Ke Bhi Kaan Hote Hain" Ye Kehna Shuru Kardein "Farishto Ke Haath Me Bhi Qalam Hota Hain To Hame Logo Se Ziyada Allah Ki Fikar Ho Jayegi.

115. Chaye Me Biscuit Kab Gir Jaye Aur Insan Dhoka Kab Kha Jaye, Pata Nahi Chalta.

116. Har Kisi Ko Har Baat Ka Jawab Dena Zaroori Nahi, Bahot Si Jagha Par Dil Ko Bada Karna Padta Hai, Nazar Andaz Karna Padta Hai, Har Koi Nahi Samjhta Aapko Aur Har Kisi Ko Aap Samjha Nahi Sakte.

117. Afsoo, Gao Me Neem Ke Ped Kam Ho Rahe Hain Gharo Me Kadhvahat Badhti Ja Rahi Hai, Zuban Se Mithaas Kam Ho Rahi Hai Aur Jism Me Sugar Badhti Ja Rahi Hai.

118. Mera Aakhri Libas To Kafan Hi Tha Aur Qabar Ke Gadhe Me To Sona Hi Tha Phir Bhi Mai Duniya Ki Ranginiyo'n Ke Piche Bhagta Raha Aur Jinke Liye Zindagi Khatam Kardi Wohi Ab Bhul Gaye.

119. Ek Wakht Tha Jab Ghode (Horse) Muslman Aur Jang Dono Ki Shaan Hote The Afsoos Aaj Dono Shadiyon Me Nach Rahe Hain.

120. Kyo, Aksar Wahi Log Akele Reh Jate Hain Jo Kisi Ko Dard Dene Ke Bare Me Sochte Tak Nahi Karte.

121. Apni Andheri Qabar Ko Khud Hi Roshan Karne Ki Tayyari Kar "Aye Insan" Aaj Zinda Se Koi Wafa Nahi Karta Kal Murdon Ke Liye Kon Dua Karega.

122. Insani Fitrat Hai Jab Koi Cheez Bin Mange Bina Kasrat Se Mil Jaye To Wo Uski Qadar Kar Hi Nahi Sakta.

123. Jis Allah Se Bhaag Nahi Sakte Usi Se Bhaag Rahe Hain Aur Jo Duniya Aaj Tak Kisi Ki Na Ban Saki Usko Apnane Ke Chakkar Me Pade Hue Hain.

124. Duniya Wo Kitab Hai Jo Kabhi Nahi Padhi Ja Sakti Lekin Zamana Wo Ustad Hai Jo Sab Kuch Sikha Deta Hai.

125. Hamare Daur Ka Almiah Ye Hai Ki Ke Cheezon Se Peyar Kiya Jata Hai Aur Insano Ko Istemal Kiya Jata Hai.

126. Wakht Badalta Hai, Halat Badalte Hain, Rishte Badalte Hain, Neeatein Badalti Hain, Rang Badalte Hain, Mausam Badalte Hain, Par Insan Nahi Badalta.

127. Bagair Maal Aur Taqat Ke Ham Par Hajj Farz Nahi Phir Bhi Ham Karna Chahte Hain, Aur Namaz Ham Par Har Haal Me Farz Hai Phir Bhi Ham Padhna Nahi Chahte Afoos.

128. Hansi Aati Hai Harat-E-Insan Par Gunnah Karta Hai Khud La'ant Bhejta Hai Shaitan Par.

129. Agar Aulad Ko Kuch Tohfa Na Diya Jaye To Wo Kuch Royega Lekin Agar "Deen Ka Ilm" Na Diya Jaye To Sari Zindagi Royega.

130.  Apne Kirdaar Par Daal Kar Parda Aaj Har Shaqs Keh Raha Hai "Zamana Kharab Hai"

131. Sabki Qadar Karna Seekho Kya Pata Jo Aaj Aapke Sath Hain Kal Wo Ho Na Ho.

132. Zindagi Guzar Jati Hai Tanhai Me Phir Ek Wakht Aata Hai Jab Log Janaze Par Aakar Tamasha Karte Hain.

133. Doosron Ko Neecha Dikhane Ka Shouq Logo'n Me Isliye Bhi Hota Hai Kyun Ki Khud Oncha Hone Ki Auqaat Nahi Hoti Unki.

134. Chehre Par Parda Rakhte Hain Shoq Se Zeher Pilate Hain Insano Ki Basti Hai Ye Isko Shehar Bulate Hain, Pehchano Aise Logo Ko Kaise Tum Pehchanoge Zahir To Hote Hain Lekin Chup Kar Aag Lagate Hain, Kal Kisne Pheki Thi Roti Bhahar Nale Me Bhook Se Kal Aik Jaan Gai Hai Aisa Log Batate Hain, Kuch To Aankho Me Pani Ne Aana Jana Chod Diya Kuch Logo Ka Shouq Raha Hai Chingari Sulgate Hain.

135. Aurat Ki Maiyat Ko Na Mehram Nahi Dekh Sakta To Zinda Aurat Kis Jawaz Ke Tehet Apni Numaish Karti Phirti Hai Baat Kadwi Zaroor Hai Magar Qabil-E-Gour Hai.

136. Azeezo Attitude Nahi Insaniyat Batao Aaj Kal Insan to Nazar Aa Rahe Hain Lekin Sab Me Insaniyat Nazar Nahi Aarahi Hai.

137. Galat Ho Kar Bhi Khud Ko Sahi Sabit Karna Itna Mushkil Nahi Jitna Sahi Hokar Khud Ko Sahi Sabit Karna.

138. Kuch Logo'n  Ko Aap Jitna Marzi Izzat De Kar Dekh Lein Wo Yeh Sabit Kar Hi Dete Hain Ke 'Wo Iss Izzat Ke Qabil Nahi.

139. Insan Bura Tab Ban'ne Ke Liye Majboor Ho Jata Hai Jab Log Uski Sharaft Ka Faida Uthane Lagte Hain.

140. Jahez Ki Furniture Ki Polish Utar Gai, Magar Baap Ka Qarz Ab Tak Nahi Utra.

141. Maine Saste Satar Me Qeemti Log Aur Mehenge Kapdo Me Ghatiya Log Dekhe Hain.

142. Rishto'n Ke Bazar Me Rishto'n Ko Kuch Is Tarha Sajaya Jata Hai Uppar Se To Buhut Achha Dikhaya Jata Hai, Par Andar Se Na Jane Kya-Kya Milaya Jata Hai.

143. Mard Nazrein Neechi Nahi Karna Chahta Aurat Parde Ko Jahalat Samjhti Hai Lekin Talash Dono Ko Izzat Ki Hai.

144. Had Se Zeyada "Khushi' Aur Had Se Ziyada "Gam" Kabhi Kisi Ko Mat Batao, Log Had Se Zeyada Khushi Par "Nazar" Aur Had Se Ziyada Gam Par "Namak" Zaroor Lagate Hain.

145. Jawani Chadhti Ja Rahi Hai Allah Se Doori Badhti Ja Rahi Hai.

146. Hamari Auqat Bas Eik  Safed Chadar Hai, Jise Odhne Ki Hamari Taqat Bhi Nahi Hogi.

147. Baat Kadwi Hai Par Sach Hai, Agar Kisi Ki Beti Ya Behan Ko Tumhari Wajah Se Rasta Badlna Pade To Gali Ke Kutte Aur Tum Me Koi Farq Nahi Hai.

148. Zindagi Me Kuch Cheezein Hamara Peecha Kabhi Nahi Chodti, Kuch Galtiyan Jo Ham Bhool Nahi Pate, Kuch Takleefein Jo Ther Jati Hain, Aur Kuch Log Jo Yaad Reh Jate Hain.

149. Aksar Ham Mazaaq Me Jhoot Bolte Hain Kisi Ko Hasane Ke Liye Choti-Choti Baato'n Me Bhi Jhoot Ko Shamil Karte Hain, Jhooti Baton Par Allah Ki Kasam Bhi Khate Hain Apne Faide Ya Khud Ko Bachane Ke Liye Bhi Jhoot Bolte Hain, Allah Ka Koi Khouf Hi Nahi Raha Hamme Bas Jo Dil Kehta Hai Wahi Karte Hain.

150. Zindagi Me Kuch Gareeb Aise Bhi Hote Hain, Jinke Paas Paisa To Bahot Hota Hai Par Rishte Bilkul Nahi.

151. Matlbi Rishto Ki Bas Itni Si Kahani Hai Acche Wakht Me Meri Khubitya'n Aur Bure Wakht Me Meri Kamyan Ginani Hai.

152. Bade Hi Be'his Log Hain Khud Pe Guzre To Aah Ham Pe Guzre To Wah.

153. Koi Kisi Ka Nahi Hota Duniya Me Jab Dil Bhar Jata Hai To Log Yaad Karna Bhi Chord Dete Hain.

154. Koi Sakht Dil Se Paida Nahi Hota Bas Duniya Wale Narmi Cheen Lete Hain.

155. Jab Aankhein Nafs Ki Pasandeeda Cheezein Dekhne Lage To Dil Anjam Se Andha Ho Jata Hai.

156. Log Chahte Hain Ki Ham Unki Umeedo'n Par Pura Utren Magar Unse Koi Umeed Na Rakhein

157. Kabhi Kabhi Zindagi Us Mord Pe Le Aati Hai Ke Insan Ko Uss Galti Ki Bhi Mafi Maangni Padti Hai Jo Usne Kabhi Ki Hi Nahi Ho.

158. Jinka Dil Bada Ho Unhe Dard Bhi Bade Hi Milte Hain.

159. Ulfat Badal Gai Kabhi Niyat Badal Gai, Khud Garz Jab Hue To Seerat Badal Gai Apna Kasoor Dusro Ke Sar Par Daal Kar, Kuch Log Sochte Hain Haqiqat Badal Gai.

160. Mujhe Zindagi Ki Sacchai Ka Jab Pata Chala Jab Raste Me Pade Phoolon Ne Mujhse Kaha 'Dusro'n Ko Khusbu Dene Wale Aksar Yun Hi Kuchal Diye Jate Hain.

161. Bade Hue To Pata Chala Ke, Duniya Walo Ki Nahi Paise Walo Ki Hoti Hai.

162. Dil Ke Rishte Bade Ajeeb Se Banaye Hain Sabse Zada Wahi Roya Jisne Imandari Se Nibhaye Hain.

163. Gire Hue Patte Kehte Hain Jab Tum Bojh Ban Jaoge Tab Apne Hi Tumhe Niche Gira Denge.

164. Jinka Dil Jitna Saaf Hota Hai Log Galat Bhi Unhi Ko Samjhte Hain.

165. Cheekhna, Chillana, Rona, Jhagardna, Hamare Bachpan Ke Sath Hi Chala Jata Hai Bade Hone Ke Baad Bada Dil Bada Sabar Bada Hosla Rakhna Padhta Hai.

166. Acche Kapde Accha Khana, Mehngi Jooti Accha Ghar, Kaley Dil Ghatiya Soch, Saste Log Munafiq Log.

167. Masjido Ke Imamo Ki Izzat Karo Woh Hamare Sar Ka Taaj Hain, Aaj Aik Imam Sahab Ko Ye Bolkar Hataya Gaya Ke 'Tum Wakht Ke Paband Nahi, Imam Sahab Ki Aankho Me Aansu The Maine Jab Aansu Ki Wajah Janna Chaha To Wo Sirf Ita Bolkar Ruksat Hue 'Mujhe Un Logo Ne Hataya Jo Sirf Jumma Ki Namaz Me 1 Baar Nazar Aate The.

168. Jo Mujhse Kahani Sunkar Sote The, Ab Un Baccho Ko Mera Bolna Accha Nahi Lagta 'Maa'

169. Jinko Izzat De Kar Puchte Ho Wo Utna Hi Tare Dil Dukhayenge.

170. Agar Aapka Zameer Aur Niyat Saaf Hai To Iss Baat Se Koi Fark Nahi Padta Ki Koi Aapko Bura Kahe Ya Accha Aap Apni Niyat Jaan Jayenge Logo Ki Soch Se Nahi.

171. Qeyamat Ki Nishaniyo Mein Aik Nishani Jhoote Logo Ki Izzat Hogi Sacche Log Zaleel Ho Rahe Honge.

172. Na Shukri, Rizaq Ki Kami Aa Hi Jati Hai Uss Ghar Me Jiske Paas Na Shukri Ki Zubaan Hoti Hai.

173. O Mere Bhaiyo, Iss Mit Jane Wali Duniya Ke Peeche Allah Ko Naraz Na Karo Is Ki Izzat Bhi Dhoka Hai, Is Ki Zillat Bhi Dhoka Hai, Iska Urooj Bhi Dhoka Hai, Iska Zawaal Bhi Dhoka Hai, Is Ki Doulat Bhi Dhoka Hai, Iska Fakr Bhi Dhoka Hai, Iski Zaib-O-Zinat Bhi Dhoka Hai, Iski Jawani Bhi Dhoka Hai, Iska Budhapa Bhi Dhoka Hai.

174. Ek Ladki Mall Me Customer's Attend Kare Ya Hotels Par Job Kare, Isay Ham Logo Ne 'Aazadi' Samjha Aur Aik Ladki Apne Ghar Me Baccho'n Ki Tarbiyat Kare Aur Apne Khawind Ki Khidmat Kare Usay Hamne Gulami Samjha.

175. 2 Wakht Ki Roti Ke Liye Insan 5 Wakht Ki Namaz Chodd Deta Hai Wo Roti Jiska Zimma Allah Ne Apne Uppar Liya Hua Hai.

176. Qaymat Ki Nishanio Me Aik Nishani 'Jhoote Logo Ki Izzat Hogi Sacche Log Zaleel Ho Rahe Honge.

178. Aisa Bhi Hota Ke Insan Me Rone Ki Himmat Baki Nahi Rehti Aur Log Samjhte Hain Wo Sakht Dil Hain.

179. Purane Log Samjhdaar The Tal'loqat Sambhalte The Phir Log Practical Ho Gaye Tal'loq Se Faida Nikalne Lage Ab Log Profeshnal Hain Faida Ho To Tal'loq Rakhte Hain.

180. Qaribi Rishtedaaro'n Ki Dushmani Bichchu Ke Dank Se Zeyada Dard Naak Hai.

181. Mare Hue Insan Ko Kandha Dena Sawab To Samjhte Hain, Magar Kisi Zinda Insan Ko Sahara Dene Se Katrate Hain.

182. Insan Maut Se Darta Hai Kyun Ki Isse Bacha Nahi Ja Sakta, Aur Dozak Se Nahi Darta Jabki Is Say Bacha Ja Sakta Hai.

183. Log Na Jane Kyun Choti-Choti Chizon Se Dar Jate Hain Lekin Afsos Allah Se Nahi Darte Jab Ki Darna Sirf Allah Ki Zaat Se Hai.

184. Koi Ye Kaise Soch Sakta Hai Ki Hisab Nahi Hoga Wo Baksha Jayega, Yaad Rakhe Hisab Dena Hoga Aik-Aik Aansu Ka Tadap Aur Be-Rehmi Ka Huqooq Allah Ke Baad Makhlooq-E-Allah Ka Mamla Ka Mamla Bhi Sakht Hai. Afsos Kuch Log Ye Baat Bhulaye Bethe Hain.

185. Insan Insan Ko Dass Raha Hai, Aur Sanp Baitha Hans Raha Hai.

186. Wo Galti Sabse Badi Galti Hoti Hai Jisme Galat Hone Ka Aihsaas Na Ho.

187. Purane Waqto'n Me Chizen Istemal Ki Jati Thi, Insano Se Peyaar Kiya Jata Tha. Hamare Daur Ka Almiah Ye Hai Ki Cheezo'n Se Piyaar Kiya Jata Hai Aur Insano Ko Istemal Kiya Jata Hai.

188. Khud Par Bhrosa Karne Ka Hunar Seekh Lo Sahare Kitne Bhi Sacchhe Ho'n Aik Din Sath Chhod Jate Hain.

189. Na Aurat Me Rahi Haya Na Mard Me Rahi Gairat Peyas-E-Nafs Ne Insan Ko Haiwan Bana Diya.

190. Jo Mukhlis Hain Wo Bewakoof Tasawur Kiye Jate Hain, Yahan Matlsb Parsat Aqalmand Keh Laye Jate Hain.

191. Log Aapse Nahi, Aapki Hesiyat Se Hath Milate Hain.

192. Tumhara Aik Rab Hai Phir Bhi Tum Usay Yaad Nahi Karte, Lekin Uske Kitne Bande Hain Phir Bhi Wo Tumhe Nahi Bhoolte.

193. Sadgi Ke Fatwe Har Koi Deta Hai Magar Marte Sab Behayayi Par Hi Hain.

194. Chaar Biwiyo Pe Raazi Ye Log Chaar Betiyo Pe Na Khush Rehte Hain.

195. TikTok Par Sabse Zeyada Mujra Muslim Ladki Ladke Kar Rahe Hain, Tumhari Namaz Zaya, Tumhari Tilawat Zaya, Tumhara Character Kharab, Tumhari Nazar Kharab, Tumhari Khuwaish Gandi, Ab Kya Kahun Ma Tum Sab Se TikTok Par Aur Real Life Me Mujra Karne Walo Tumhari Nasal Hi Gandi Hai Sudhar Jao Abhi Bhi Waqt Hai  Tum Apna Qeemti Waqt Achhe Kamo Me Lagao Haram Kaam Karna Chhod Do.

196. Bohat Afsos Ki Baat Hai Janaze Ki Namaz Padhne Ke Liye  Log Dusre Mulko Se Aajate Hain Lekin Farz Namaz Padhne Ke Liye Musalman Muhalle Ki Masjid Tak Nahi Jate.

197. Aaj Kal WhatssApp Wagera Par Digital Maafi Nama Chal Raha Hai, To Yaad Rahe Jisko Hamne Sataya Ho Ya Jiska Hamare Upar Haq Ho To Usse Ba'Qayeda Mulaqaat Kar Ke Maafi Mangi Jaye, Hamare Rishtedaro Me Na Jane Jinse Hamari Aapas Me Ladai Jhagda Rehta Hai Ham Unse To Maafi Nahi Mangte, Aur Jin Logo'n Ko Ham Jante Bhi Nahi Usko Whatsaap Par Digital Maafi Nama Bhej Rahe Hain, Ye Aqal Me Aani Wali Baat Nahi Isliye Digital Maafi Nama Bhejne Se Behtar Hai Jin Logo'n Ko Hamare Zariye Nuqsan Hua Hai Unse Ba'Izzat Khud Mulaqat Kar Ke Maafi Mange'n.

198. Aksar Mene India Ki Aisi Ladkiyan Dekhi Hain Jo Muslman Hokar Bhi Mangal Sutar Pehenti Hain, Muslman Hokar Bhi Sadi Pehenti Hain Jisme Unka Jism Bhi Nazar Aata Hai Muslman Hokar Bhi Jeans Fit Kapde Chhote Kapde Pehenti Hain Muslman Hokar Bhi Be Parda Ghoomti Hain, Muslman Hokar Bhi Bf Banati Hain Muslman Hokar Bhi Holi Manati Hain Muslman Hokar Bhi Diwali Manati Hain, Hindu Wale Rasam Reet Riwaj Libaas Teyohaar Manati Hain To Hindu Aur Ham Me Kya Farq Reh Gaya, Sab Kuch Same Hi To Kar Rahe Hain Ham Bas Naam Ke Muslman Reh Gaye Hain. Ham Me Na Koi Sunnat Nazar Aati Hai Na Kahin Se Lagta Hai Ke Ham Muslaman Hain 'Astagfirulllah'

199. Ye Zamana "Seerat" Ka Nahi 'Surat" Ka Hai Yahan Khubsurat Hath Jaldi Pile Ho Jate Hain Aur Pakeezah Aankhe Pardo'n Ke Piche Roti Hain.

200. Zindagi Ki Jang Me Jhoothe Bhi Jeet Jate Hain, Jab Waqt Achha Na Ho To Apne Bhi Bik Jate Hain.

Comments

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat