Maa-Baap

1. Jin Aulado Ke Liye Tum Gunnah Kar Rahe Ho, An-Qareeb Yehi Aulade Bhul Jaengi Koi Baap Tha Ya Koi Maa Thi... Aulade Jeete Ji Rishte Bhula Deti Hain.

2. Jab Ek Baap Kehte Hai Tum Par Bharosa Karta Hun Aur Mujhe Pata Hai Tum Kabhi Aisa Kuch Nahi Karogi Jis Se Mera Bharosa Toot Jaye Mujhe Pata Hai Tumhe Meri Izzat Ka Khayal Hai To Wo Beti Kuch Bhi Galat Kare Aisa Ho Hi Nahi Sakta.

3. Maa Ki Ek Aadat Khuda Se Buhut Milti Hai Dono Hi Maaf Kar Dete Hein

4. Mat Karna Kabhi Bhi Apne Maa Baap Ko Naraz Jab Ye Bichad Jate Hein To Resham Ke Takiye Par Bhi Neend Nahi Aati.

5. Jo  Kehte Hein "Breakup Hurts  The Most" Inse Pocho Ke Kabhi, Maa Ko Roote Dekha Hai ?

6. Izzat Bhi Milegi, Tumhe Daulat Bhi Milegi Khidmat Karo Maap-Baap Ki Jannat Bhi Milegi.

7. Qadar Maa Baap Ki Agar Koi Jaan lega Apni Duniya Ko Jannat Mein Hi Pa Lega.

8. Maa Baap Beshq Pade Likhe Na Hon Magar Duniya Ki Har Zaroori Baat Ham Apne Maa Baap Se Seekhte Hein.

9. Maa Baap Ka Dill Dukhane Wala Kabhi Allah Ko Kabhi Razi Nahi Kar Sakta.

10. Maa Baap Ke Paas Baithne Ke 2 Fayede Hein 1:Aap Kabhi Bade Nahi Ho Sakte 2: Maa Baap Kabhi Budhe Nahi Hote.

11. Ye Jo 'Baap' Hote Hein Na Sab Kuch Bardash Kar Lete Hain, Lekin Beti Ka Gham Aur Takleef Bardash Nahi Kar Pate.

12. Maa Baap Se Achhi Daulat Nahi Hai Koi Agar Maa Baap Salamat Ho Unse Achhi Jannat Nahi Wo Log Naseeb Wale Hote Hein Jinke Maa Baap Hote Hein.

13. Zindagi Jannat Se Kam Nahi Jab Tak Hamare Maa Baap Zinda Hein.

14. Apne Walidein Ki Kadar Karen Ye Hamesha Tumhare Paas Nahi Rahenge.

15. Apni Zuban Ki Tezi Un Maa Baap Par Mat Aazmao Jinhone Tumhe Bolna Sikhaya.

16. Kuch Logo Ka Peyar Kabhi Nahi Badalta Aur Unhe "Maap Baap" Kehte Hein.

17. Badnaseeb Hai Wo Shaqs Jo Walidein Ki Khidmat Kar Ke Dua Nahi Lete, Aur Logo Se Kehte Hein "Mere Liye Dua Karna"

18. Maa Baap Ke Samne Na Gire Warna, Allah Tum Ko Jannat Se Gira Dega Maa Baap Ek Muqaddas Muhafiz Hain Jo Poori Zindagi Aulaad Ki Hifzat Karte Hain.

19. Aulad Ke Nakhre Sirf Maa Baap Hi Utha Sakte Hein Duniya Wale To Sirf Ungliyan Hi Utha Sakte Hein.

20. Allah Pak Zindagi Mein Kuch Dein Na Dein Par Kabhi Maa Baap Ka Saya Sar Se Na Uthaye "AMEEN" 

21. Agar Tumhare Paas Ammi Abbu Hein To Tum Duniya Ke Sabse Khush Naseeb Shaqs Ho Apne Maa Baap Ka Ehtaram Karen, Unki Farmabardari Karen, Unke Sath Narmi Se Pesh Aaen, Unki Bato Ko Gour Se Sune, Kyun Ki Maa Baap Ke Sath Bhalai Karne Walon Ko Allah Bahut Pasand Karta Hai Har Wakht Unse Razi Rehta Hai Or Unki Mushkil Kaam Aasaan Karta Hai.

23. Baap Ki Zindagi Guzar Jati Hai Bete Ki Zindagi Banane Mein Aur Beta Likhta Hai "My Wife Is My Life" Yaad Rakhen Kisi Ek Rishte Ko Pura Nibhate Nibhate Apne Doosre Rishton Ko Na Bhulen Har Rishte Ki Ahmiyat Aapni Zindagi Mein Rakhen Kisi Ko Na Bhulen.

24. Kon Kehta Hai Peyar Har Kisi Ko Naseeb Nahi Hota, Kabhi Apne Maa Baap Ki Taraf Peyar Se Dekho Unke Jaisa Peyar Kahin Nahi Hota.

25. Jab Aulad Duniya Ki Daulat Se Ameer Ban Jati Hai To Maa Baap Dar Dar Ke Baat Karte Hein Ke Kahin Aulad Naraz Na Ho Jaye, Lekin Jab Aulad Iman ki Daulat Se Ameer Banjati Hai To Aulad Dar Dar Ke Baat Karti Hai Ki Kahin "Maa Baap Naraz Na Ho Jayen.

26. Jinke Kadmo Me Jannat Hai Jinke Kadmo Me Girne Se  Izzat Ghat Ti Nahi Balke Badh Ti Hai Wo Kadam Kisi Aur Ke Nahi Maa Ke Hi Hain.

27. Kuch Salo Baad 2 Dost Aapas Me Mile To Ek Ne Bato Bato Me Doosre Se Uski Maa Ke Bare Me Pucha 'In Dino Maa Ka Kya Haal Hai ?' Wo Bola , 'Aaj Maa Kaa Janam Din Hai Mai Subha Subha Unse Milne Gaya Tha Abhi Old Home Se Hi Aara Hun Sab Thik Hai Dost Phir Achanak Usko Khayal Aaya Ki Usse Bhi Uski Maa Ke Bare Me Puchna Chahiye Usne Kaha 'Tumhari Maa To Tumhare Saath Hi Rehti Hogi' Ye Sunte Hi Doosre Ne Muskurate Hue Kaha ' Nahi Dost, Mai Itna Bada Nahi Hua Ke Maa Ko Rakh Sakun, Mai Aaj Bhi Maa Ke Paas Hi Rehta Hun'

28. Maa Baap Zinda Hain To Unki Khidmat Karke Jannat Banalo Jab Inka Saya Uth Jata Hai To Sirf Aur Sirf Hasrate'n Hi Reh Jati Hain.

29. Apni Freedom Wali Zindagi Se Apne Maa Baap Ko Kabhi Takleef Mat Dena Wo Yaqeen Tor Par Chord Dete Hain Tum Is Baat Ko Man Marzi Me Istemal Karke Unhi Ka Bharosa Mat Tordna.

30. Agar Duniya Me Jannat DekhnA Chate Ho To Bss Ek Baar Maa Ke Muskurate Chehre Ko Dekho.

31. Maa Ki Aik Dua Zindagi Bana Degi Khud Royegi Magar Tumko Hansa Degi Kabhi Bhool Kar Bhi Maa Ko Na Rolana Aik Chotti Si Galti Pura Arsh Hila Degi.

32. Kabhi Maa Baap Yaad Aajaye To Behan Bhai Mil Kar Betha Karo, Kisi Ke Chehre Par Maa Muskurati Nazar Aayegi To Kisi Ke Lehje Me Baap.

33. Maa Khane Me Kuch Banaye To Uski Tareef Kiya Karo Aur Usse Allah Ka Shukar Kar Ke Khaya Karo Kyun Ki Kuch Logo Ke Paas Na Khana Hota Hai Na Maa.

34. Mohabbat Maa Ka Bosa Hai, Mohabbat Baap Ki Shafaqqat Hai.

35. Aik Aurat Jab Maa Ban Jati Hai To Wo Bahott Bahadur Aur Mazboot Ho Jati Hai Magar Sath Hi Sath Darpok Bhi Aur Sabse Bar Kar Wo Maut Se Darne Lagti Hai Kyun Ki Wo Hamesha Jeena Chahti Hai Apni Aulad Ke Liye Allah Sab Maaon Ko Hamesha Salamat Rakhe Ameen.

36. Zindagi Me Kuch Bano Ya Na Bano Lekin Budhape Me "Apne Maa Baap Ka Sahara Zaroor Banna.

37. Maa Baap Ki Rok-Tok Nemat Hoti Hai Varna Aulaad Jagha-Jagha Zaleel Aur Rusva Hoti Nazar Aaye.

38. Jali Hui Roti Par Bahot Shor Machaya Tumne Maa Ki Jali Hui Ungliyan Dekh Lete To Bhook Hi Mit Jati Tumhari.

39. Maa= Muhabbat, Baap= Ibadat, Muhabbat+Ibadat="Jannat"

40. Baap Wo Azeem Hasti Hai Jiske Paseene Ki Ek Boond Ki Qeemat Bhi Aulaad Ada Nahi Kar Sakti.

41. Tum Jitne Bhi Bade Ho Jao Apne Maa Baap Ke Liye Kabhi Masroof Mat Hona.

42. Jaise Jaise Umar Guzarti Hai Tab Ehsaas Hota Hai Walidain Jo Kehte The Sahi Kehte The.

43. Dahej Kya Hai Ye Uss Baap Se Pucho Jiski Zameen Bhi Chali Gai Aur Beti Bhi.

44. Dawa Asar Na Kare To Nazar Utarti Hai Maa Hai Janab Wo Kaha Haar Manti Hai.

45. Walidein Par Bhi Yaqeen Rakhein Jitna Dawao'n Par Rakhte Hain Thode Kadwe Zaroor Honge Magar Tumhare Fayede Ke Liye Hi Honge.

46. Maa Na Hogi To Wafa Kon Karega Mamta Ka Haq Ada Kon Karega 'Aye Allah Har Aik Ke Maa Baap Ko Hamesha Salamat Rakhna Warna Hamari Zindagi Ki Dua Kon Karega.

47. Bazaar Se Har Cheez Mil Jati Hai, Maa Jaisi Jannat Aur Baap Jaisa Saya Nahi Milta.

48. Mat Karna Nazar Andaaz Maa Baap Ki Takleefo Ko, Jab Ye Bichar Jate Hain To Resham Ke Takiye Par Bhi Neend Nahi Aati.

49. Apne Career Par DhiEyan Dena Shuru Kardo Kyun Ki Muhabbat Se Zeyada Maa Baap Ki Khushi Hai.

50. Baap Ka Hath Pakad Kar Chalo Kisi Ke Pair Pakadne Ki Zaroorat Nahi Padegi.

51. Fana Kardo Apni Sari Zindagi Apni Maa Ke Kadmo Me Dosto Duniya Me Aik Yehi Muhabbat Hai Jisme Be Wafai  Nahi Milti.

52. Mushkil Tareen Chizon Me Se Aik Cheez Yeh Bhi Hai Ke Apne Maa Baap Ko Itna Raazi Karna Ke Khud Ka Apne Nafs Hi Tumse Khafa Ho Jaye.

53. Maa Se Bada Koi Hamdarad Nahi Hota Aur Baap Se Bada Koi Hamsafar Nahi Hota.

54. Haat Uthau Aur Walidein Ke Liye Kuch Na Mangu, Ye Kaise Mumkin Hai Walidein Wo Hasti Hain Jo Har Dua Me Jude Hote Hain "Ameen" Ki Tarah.

55. Bina Aansu Aur Aawaz Ke Jo Rota Hai Wo "Baap" Hota Hai.

56. Aik Baat Yaad Rakhna Jab Sab Dhoka Dete Hain, To Maa Sath Deti Hai Umeed Jahan Jeene Ki Khatam Ho Jati Hai Wahan "Maa" Umeed Jagati Hai, Isliye Kisi Ke Liye Apni Maa Ko Kabhi Dukh Na Dena

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat