ALLAH



1. Rab Ko Ibadat Se Aur Makhlooq Ko Ikhlaq Se Razi Rakho Duniya Aur Aakhrat Dono Me Khush Rahoge. Rab Ko Razi Tab Tak Nahi Kar Sakte Jab Tak Rab Ke Bande Tumse Razi Na Hon Aur Rab Ke Bandon Ka Dil Dukha Ke Jannat Milna Na Mumkin Hai.

2. Ham Insan Bhi Bade Ajeeb Hain Kabhi-Kabaar Dekhte Hue Bhi  Kuch Nahi Kar Pate Aur Kabhi-Kabaar Na Chahte Hue Bhi Sab Kuch Kar Jate Hein Aur Jo Cheez Paas Nahi Hoti Uski Talash Mein Wo Bhi Kho Baith Te Hain Jo Paas Hai. Kisi Bhi Cheez Ko Pane Ke Liye Galat Kaam Na Karein, Yaad Rakhein Allah Gaib Ka Ilm Rakhne Wala Hai.

3. Bistar Se Uth Kar Masjid Tak Na Ja Sake Aur Khawaish Rakhte Hein Qabar Se Uth Kar Jannat Mein Jane Ki Allah Sab Dekh Raha Hai Ussat Hamesha Darte Raho.

4. Ya Allah Jo Tune Dia Aur Jo Tune Nahi Dia Aur Jo Tune Dekar Le Lia Un Sab Par Tera Shukar. Kyun KeJo Tune Dia Wo Teri 'Niamat' Jo Tune Na Dia Wo Teri 'Hiqmat' Aur Jo Tune Dekar Le Lia Wo Hamara 'Imtehaan' Ya Allah Hame Har Haal Me Shukar Ada Karne Ki Taufeeq Ata Farma... (Ameen) 


5. Allah Maaf Karta Hai, Tum Bhi Maaf Kiya Karo Kyun Ki Maaf Kar Dena Maaf Karne Wale Ki Hi Izzat Ko Badhata Hai.


6. Allah Ka Ham Jitna Bhi Shukar Ada Karein Kam Hai Jo Hame Subha Uthne Se Raat Ko Sone Tak Hamari Har Jaaiz Haazat Poori Karta Hai Aaj Ham Duniya Walo Se Koi Chiz Mangte To 1 baar Ya 2 Baar Denge Phir Mana Kar Denge Par Hamara Allah Ham Uski Lakh Na Farmani Karte Hain Phir Bhi Wo Hamara Khayal Rakhta Hai.


7. Sab Se Achhi Talab Allah Ki Talab Hai Aur Sabse Achhi Yaad Allah Ki Yaad Hai.


8. Har Wakht Allah Ki Yaad Mein Guzaarte Raho Wo Rehmat Aur Khushi Ki Zindagi Ka Tum Andaza Bhi Nahi Kar Skate.


9. Allah Tala Farmata Hai "Tumhare Gunnah Zameen Ki Teh Se Lekar Aasman Ki Choti Tak Honge Tum Sachhe Dil Se Touba Karoge To Mai Wo Sare Gunnah Maaf Kardunga" (SubhanAllah) 


10. Allah Ki Raza Ko Hamare Liye Behatar Samjhna Allah Ki Niyamto'n Par Shukar Ada Karna Allah Ki Aazmaish Me Sabar Karna Or Apni Khatao'n  Par Touba Karna Ye Hai Kamyab Zindagi Ka Raaz.

11. Qabar Ki Tanhai Se Pehle Bhi Qudrat Hame Kai Baar Tanha Karti Hai Taki Ham Allah Se Talluq Ki Mazbooti Ko Samjh Saken.

12. Zindagi Sukoon Se Guzaarne Ke 2 Tarike Hain, Jo Pasand Hai Usay Hasil Kar Lo Ya Phir Jo Hasil Hai Usay Pasand Kar Lo, Yani Allah Ke Diye Hue Par Sabar Or Shukar Karlo Kyun Ki Tumhara Behtar, Tumhara Rab Behtreen Janta Hai.

13. Allah Maaf Karne Ko Pasand Karta Hai Aur Uss Shaks Ko Bhi Maaf Farmata Hai Jo Allah Ke Bando Ko Maaf Karta Hai.

14. Saza Dena Sab Ko Aata Hai Par Isse Pehle Allah Ke Khof Ko Dil Me Le Aaya Karo, Badla Lene Walo Se Mat Daro, Unse Daro Jo Badla Nahi Liya Karten Kyun Ki Inka Badla ALLAH Leta Hai.

15. Jab Dua Aur Koshish Se Baat Na Bane To Faisla Allah Par Chord Do Beshq Allah Apne Bando'n Ke Bare Me Behtar Faisla Karne Wala Hai.

16. Sabar Karna Seekh Len Allah Sab Janta Hai, Aap Kab Kin Wakhto'n Se Guzarte Hain Yaqeen  Karein Wakht Badal Jayga Kyun Ki Tabdeeli Qayenata Ka Asool Hai.

17. Jab Hum Maafi Maangte Hain Toh Woh Bakhsh Deta Hain Ye Nahi Puchta Kyu Tha Kya Tha Yahi To Fark Hai ALLAH Ke Maaf Karne Mein Aur Hamare Maaf Karne Mein.

18. Agar Allah Pak Tumhari Duaiye Poori Kar Raha Hai To Tumhara Yakeen Badha Raha Hai Agar Duaen Puri Karne Me Der Kar Raha Hai To Tumhara Sabar Badha Raha Hai Agar Tumhari Duaon Ka Jawab Nahi De Raha To Wo Tumhe Aazma Raha Isliye Hamesha Duayen Maangte Raho.

19. "Duniya" Ka Samaan Kuch Din Hi Rehne Wala Hai Aur Us "Shakhs" Ke Liye Aakhirat' Har Tarah Se Behtar Hai Jo Allah Ta'ala Se Darta "Ho Or" Qayamat "Me Tum Par Zarah Barabar Bhi" Zulm, Nhi Kiya Jayega..!

20. Fir Sajde Mein chale Jao Aur Kaho " SUBHANA RABBIAL AALA" Aye Mere Rab Tuihse Paak Koi Bhi Nahi Tujhse Bada Koi Nahi Log kehte Hein Yeh 'Bandagi Hai Sufiyaa Kehte Hain Ue 'Talash-e-Zondagi' Hai. "DUA" Aisa Khoobsurat Amal  Hai Is Mein Mange wala Apni Preshaniya Aur Mushkilat ALLAAH Ke Hawale Kar Deta Hai Aur ALLAH Uske Jawab Mein Apni Rehmatein Aur fazal Maangne Wale KI Jholi Mein Daal Deta Hai Jab Nazar Na Paak Hone Lage Toh Aanso'n Se Paak kardo Aur Jab Sar Bagaawat Karne Lage Toh Usay Sajde Ka Nasha Pila Do. Jab Haath Bigadne Lage Toh "ALLAHU AKBAR" Keh Kar Naaf Pe Baandh Lo. Jab ZAbaan Idher Udher Ki Baatein Karne lage Toh "ALHAMDULILLAH", Sana Ka Sil-Sila Shuru Kar Do.

21. Be Fiqar Rahen, Jis Rabb Ne Itne Dheyan Se Itne Peyar Se Aap Ka Dil Banaya Hai Wo Kabhi Isko Nahi Todega Aap Ko Bas Sabar Karna Seekhna Hai.

22. Rab Agar De Toh Koi Cheen Nahi Sakta Agar Wo Cheen Le To Koi De Nahi Sakta.

23. Rab Kehta Hai Kisi Ko Takleef De Kar Mujhse Apni Khushi Ki Duaen Mat Karna  Lekin Agar Kisi Ko Ek Lamhe Ki Khushi Dete Ho To Apni Takleef Ki Fikar Mat Karna.

24. Mil Jaye To Shukar Karo, Na Mile To Sabar Karo, Mera Rab Mera Sab.

25. Rab Se Maangna Akalmandi Hai, Agar Woh Dede To Rehmat Aur Na De To Hiqmat, Dunia Walo Se Maangna Jahliyat Ki Nishani Hai Agar Dede To Ehsaan Aur Na De Toh Sharmindigi.

26. Ek Hamari Chahat Aur Ek ALLAH Ka Irada, Hamari Chahat Se Kuch Hota Nahi, Jab Tak Allah
Ka Irada Na Ho.

27. Dil Allah Ne Banaya Hai Is Liye Isme Sukoon Sirf Allah Rabbul Izzat Ko yaad Kar Ke Aur Allah Ki Mohabbat Se Aata Hai.

28. Insan Ka Sab Se Behtreen Dost  ALLAH Hao Jo Buhut Jaldi Maan Jata Hai Aur Purani Baaton Ko Yaad Bhi Nahi Rakhta.

29. Allah Usi Insan Ka Imtehan Leta Hai Jise Woh Chahta Hai.

30. Tum Jitna Zikar Karte Jaoge Allah Ko Utna Hi Paas Paoge Aisa Sukoon Jo Allah Ki Yaad Se Gafil Karde Wo Sukun Nahi Barbadi Hai.

31. Sabke Liye Nek Soch Rakho Allah Tumhe Nek Bana Dega Dusron Ki Kamyabi Pe Khush Ho Jao Allah Tumhe Kamyab Karega Niyat Hamesha Saaf Rakho Allah Tumhara Saath Dega.

32. Zindagi Bass Safar Hai Allah Se Allah Tak Duniya Ek Din Phani Ho Jani Hai.

33. Jo Kho Kar Bhi Na Mile Woh Insaan Ki Mohabbat Or Jise Tu Kho Kar Bhi Pata Rahe Wo Allah ki Mohabbat.

34. Shaitan Ne To Marwa Diya Tha Galat Kaam Karwa Ke, Shukar Hsi ALLAH Ne Nai Zindagi De Di Astagfirullah Sikha Ke.

35. Dil Chota Mat Karo Wo Rab Dekh Raha He Sun Raha He Uss Par Yaqeen Rakho Wo Kuch Aisa Karega Jo Tuhmhare Haq Me Behtar Hoga.

36. Mohhabbat Karo To Sirf Allah Se Peyar Karo To Sirf Rasollallah Se Ishq Karo To Sirf Maa Baap Se.

37. Ek Parinde Ne Allah Se Shikayat Ki, Mere Allah Bade Mushkil Se Ghar Banaya Tha Tune Tufaan Bhej Diya Or Mera Ghar Kharab Hogaya, Aawaz-E-Qudarat Aai Tujhe Aankh Lag Gai Thi Or Tere Ghar Me Saanp Aaya Tha Tujhe Khane Ke Liye Iss Wajah Se Tufaan Bheja Take Tum Jaag Jao Or Parwaz Karo Or Tumhari Jaan Mehfooz Rahe. Insaan Ki Zindagi Me Na Jane Kitni Musibate Aati Hain Jis Ki Wajah Se Insan Allah Se Shikwa Karta Hai, Insano Ko Nahi Pata Isme Allah Ki Konsi Hiqmat Chuppi Hui Hai.

38. Kabhi Kabhi Apne Gunaho Ko Yaad Kar Ke Udaas Hona Aur Or Fir Ye Man Karna Ki Rab Ki Bargaah Me Jaun Or Sajda Kar Ke Bahot Roun, Ye Bande Aur Rab Ke Bich Ki Muhabbat He.

39. Nemton Ki Hifazat Shukar Se Karo Aur Musibat Ka Muqabla Sabar Se Karo Beshq Allah Sabar Karne Walo Ke Saath Hai.

40. Sabar Aa Jaye Toh Kuch Bhi Kho Jaye Toh Takleef Nahi Hoti, Dil Bas Allah Ka Shukar Aada Karta Hai Aur Uski Mohabbat Mangta Hai.

41. Mangu To Kya Mangu Mangne Ke Liye Kuch Rakha Hi Nahi Itni Muhabbat Apne Bando Se Ki Ke Bina Mange Apna Mehbub De Diya Bas Ab Dua He Huzoor Ki Muhabbat Dil Me Busi Rahe.

42. Allah Pe Yaqeen Ek Aisa Yaqeen Hai Ki Kabhi Tabdeel Nahi Hoga, Kabhi Nahi Totega, Kabhi Dukh Nahi Dega, Na Kabhi Khatam Hoga Beshq Allah Hmare Yaeeen Ko Kayam Rakhne Wala Hai.

43. Allah Ki Razamandi Walidain Ki Razamandi Me Hai Or Allah Ki Narazgi Walidain Ki Narazgi Me Hai.

44. Agar Tumhare Aamal Se Aur Kirdaar Se Allah Ki Makhloq Khush Hai To Tumhara Rab Bhi Tumse Razi Hai.

45.  Kabhi Kabhi Insaan Be-Had Toot Jata Hai Usay Lagta Hai Ki Allah Ne Usay Wo Cheez Nahi Di Jo Usne Allah Se Maangi Thi Magar Wo Wakti Tootna Kabhi Usay Allah Ke Kareeb Kar Deta Hai Aur Kabhi Door Lekin Wo Allah Insaan Ko Ehsaas Dilata Hai Ke Aye Mere Bande Tere Haq Mein Mere Faisle Teri Chahato'n Se Behtar Hain.

46. Logo Ki Muhabbat Me Tabha Hone Walo Pehle Allah Se To Muhabbat Nibha Lo Jis Ne Zindagi Di Hai Tumhe.

47. Yeh Dil Kambakhat Hai Na Ye Muhabbat Kiye Bagair Rehta Nahi To Isko Bacha Ke Na Allah Ke Sath Jod Do Warna Kisi Or Pe Chala Gaya To Tumhe Bhi Zaleel Karega Or Khud Bhi Zaleel Hoga Yaad Rakhna Aagar Isme Allah Ke Siwa Kuch Or Aagya To Zillat Ke Siwa Kuch Nahi Hai.

48. Agar Aap Ko Koi Kaam Mushkil Lage To Bas Dil Me Ek Hi Niyat Rakho Ke Wo Mera Allah Hai Na Sab Aasaan Kardega Kyun Ki Wo Insan Kabhi Nahi Haar Sakta Jis Ki Umeed Allah Se Ho.

49. Allah Pak Ka Banaya Hua Har Shaks Mukammal Aur Khubsurat Hai Bas Khami Aur Kami Hai Toh Hamare Me.

50. Shukar Hai Allah Ka Jo Usne Mujhe Ansu Bahane Walo Me Rakha Hai Aansu Dene Walo Me Nahi.

51. (4) Aur Phir Yun Hota Hai Ki Main "Sahi Raste Par Aajati Hun Gunah Se Nafrat Hone Lagti Hai Allah Ke Kareeb Hone Lagti Hun Lehje Mein Narmi Aajati Hai, Farma Bardar Ho Jati Hun, Dil Me Aakhirat Ka Khouf Aa Jata Hai Duniya Jannat Lagne Lagti Hai Kyun Ki Allah Ko Bohat Kareeb Pati Hun Allah Ki Ibadat Zikr Fikr Mein Wakht Guzarne Lgata Hai. Pata Hai Kyo ? Kyoki Allah Jo Raazi Hojata Hai Mujhse.

52. (3) Phir Main Palat Jati Hun Phir Main Apni Marzi Ka Jeena Chord Kar Allah Ki Marzi Se Jeeti Hun Phir Main Apni Khuwaishat Hasraton Ko Kahtam Kar Ke Badti Hun Phir Mein Puri Namaze Pardna Shuru Karti Hun Roti Hun Namazon Mein Duaon Mein Ke Aye Allah Mere DillMe Apne Liye Muhabbat Kar Aye Allah Mere Dil Se Is Duniya Ki Muhabbat Khatam Kar Aye Allah Aye Allah Mujhe Eman Wali Mout Dena Aye Allah Mujhe Qabar Ke Aazab Se Bachana Aye Allah Mujhe Kabhi Khud Se Door Na Karna.

53. (2) Jab Allah Rooth Jata Hai To Ammi Baba Ki Nafarman Hojati Hun Unka Kaha Nahi Manti Hun Bas Apne Liye Souchti Hun Auron Ke Liye Nahi Har Wakht Gusse Meun Rehti Hun, Kyun Ki Shaitan Mere Nafs Par Kabza Kar Leta Hai, Tv, Songs, Music, Slefies, In Gunnaho Mein Aajati Hun Ibadat Se Door Hone Lagti Hun Jaldi Jaldi Namaz Pardhna, Namaz Ko Bojh Samjhna Quran Nahi Padna Zikar Nahi Karna Bilkul Gunnaho Me Doob Jati Hun.

54. (1) Jab ALLAH Rooth Jata Hai To Main Toot Jati Hun Bikhar Jati Hun Main Fajir Ki Namaz Par Uth Nahi Pati Mujhse Sajde Qaza Hone Lagte Hain. Gunnaho Ki Taraf Khichti Chali Jati Hun Zindagi Ka Maqsad Bhool Jati Hun, Dillon Dimag Mein Shaitan Bas Jata Hai Sawab Ka Shouq Aur Allah Ka Khouf Khatam Hone Lagta Hai, Duniya Ke Rango Mein Aajati Hun Zuban Se Allah Ke Zikr Ke Bajaye Songs, Geet, Gana Gane Lagti Hun Aur Na Shukri Karne Lagti Hun.

55. Ilm Na Sikhne Par Allah Hamse Puchega "Ke Sikha Kyo Nahi ?" Uss Wakht Allah Ko Ham Kya Jawab Denge.

56. Quran Mein Allah Ta'ala Farmata Hai "Tum Gawahi Ko Chupaya Na Karo"Aur Jo Shaqs Gawhi Ko Chupayega To Bila Shuba Uska Dil Gunahgaar Hoga Aur Allah Ta'ala Tumhare Kiye Hue Kaamon Ko Khoob Janta Hai.

57. Kitna Khubsurat Alfaz Hai "SubhanAllah Ham Farsh Se Pukarte Hein Wo Arsh Pe Sun Leta Hai.

58. Dil Chota Mat Karo Wo Rab Sab Dekh Raha Hai Sun Raha Hai Uss Par Yaqeen Rakho Wo Kuch Aisa Karega Jo Tumhare Haq Main Behtar Hoga.

59. Tum Uske Samne Jhuko Woh Tumhare Samne Puri Duniya Jhuka Dega.

60. Jo Kho Kar Bhi Na Mile Wo Insan Ki Muhabbat Aur Jise Tu Kho Kar Bhi Pata Rahe Wo Allah Ki Muhabbat.

61. Gunnah Yeh Soch Kar Mat Karo, Ke Duniya Bhi To Kar Rahi Hai, Yeh Socho Ki Allah Ne Ab Tak Kyun Gunah Se Bachaya Hai.

62. Sab Ke Liye Nek Soch Rakho Allah Tumhe Nek Bana Dega Dusron Ki Kamyabi Pe Khush Ho Jao Allah Tumhe Kamyab Karega  Niyat Hamesha Saaf Rakho Allah Tumhara Saath Dega.

63. Allah Usi Insaan Ka Imtehaan Leta Hai Jise Wo Chahta Hai.

64. Tum Chahte Kya Ho Aye Momino Tumhari Chahat Kuch Kaam Ki Nahi, Tum Chah Bhi Nahi Sakte Agar Allah Na Chahe To.

65. Mere Azizo Allah Ta'ala Ne Insano'n Ko Imtehaan Ke Liye Duniya Me Bheja Hai Wo Ye Dekhna Chahta Hai Ki Achhe Aamal Kon Karta Hai Aur Bure Aamal Kon Karta Hai.

67. Sirf Allah Hai Jo 1 Sajde Me Apna Bana Leta Hai, Warna Ye Insan To Jaan Lekar Bhi Raazi Nahi Hote Isi Liye Uss Rab Se Mangte Hue Rona Bhi Achha Lagta Hai, Aur Ro Kar Bhi Sukoon Milta Hai.

68. Agar Izzat Chahiye To Allah Ke Ghar Mai Sar Jhukao Logo Ke Ghar Mai Nahi Kyun Ki Izzat Allah Deta Hai Log Nahi.

69. Zindagi Apni Marzi Se Guzaro Ya Logo Ki Marzi Se Hisab Allah Ko Dena Hai Yeh Zara Yaad Rahe.

70. Hamara Allah Uske Bande Ki 1 Neki Par 10 Neki Likhta Hai, Lekin 1 Burai Par 1 Hi Likhta Hai.

71. Jo Dil Allah Ko Dena Tha Wo Logon Ko Dekar Zaleel Aur Barbaad Ho gaye

72. Allah Ka Shukar Ada Karo Har Haal Me Apni Halat Dekh Kar Nahi.

73. Jab Dunia Se Mayoos Ho Jao To Apne Rab Se Sahara Mango Beshq Wo Dene Wala Hai.

74. Mushkilo Ki Ghadi Me Tu Sajde Kar Khushi Me Na Shukri Na Kar Beshaq Allah Tere Sath Hai.

75. Hamare Mangne Me Kami Ho Sakti Hai Lekin Allah Ke Nawazne Me Nahi.

76. Duniya Ek Galti Ko Maaf Nahi Karti Aur Allah Hazaro Galtiyo Ko Sirf Ek Touba Se Maaf Kar Deta Hai.

75. Jo Allah Ka Shukar Ada Karte Hain Allah Unhe Umeed Se Zeyada Ata Karta Hai Un Par Allah Ki Hamesha Madad Rehti Hai.

76. Insan Jab Bhi Accha Sochta Hai, Allah Khud Hi Raaste Bana Deta Hai Aur Mushkilen Aasan Kar Deta Hai.

77. Insan Ki Izzat Aur Usse Muhabbat Karo Kyun Ke Har Insan Ke Andar Allah Ki Koi Na Koi Sifat Moujood Hoti Hai.

76. Jannat Ka Wada Kar Raha Hai Allah Par Khud Quran-E-Paak Me Keh Raha Hai Bas 4 Din Ki Zindagi Mere Liye Guzar Le.

77. Lafzo'n Me Kya Likhun Mai Uss Rab Ki Tareef Mai Jo Na Mangu To Nawaz Deta Hai Aur Mang Lun To Be Hisab Deta Hai.

78. Agar Mohabbat Me Fana Hona Chahte Ho To Allah Ki Mohabbat Me Fana Ho Jao Ye Wo Wahid Mohabbat Hai Jahan Se Tumhe Wafa Hi Milegi.

79. Allah Tumhari Toba Se Itna Khush Hota Hai Jitna Tum Apni Gumshuda Cheez Ke Milne Se Khush Hote Ho.

80. Aye Bande Jisne Tujhe Banaya Hai Usse Behtar Aur Kon Tujhe Jaan Sakta Hai, Bas Uss Allah Par Bharosa Rakh.

81. Galtiyaan Hazaar Thi Lekin Maaf Karne Wala Sirf Mera Allah.

82. Allah To Kareeb Hi Hota Hai Ham Door Hojate Hain.

83. Insan Jo Chahta Hai Karne Se Qaasir Hai Allah Jo Chahta Hai Karne Pe Qadir Hai Qaasir Par Nahi Qadir Par Tawakull Karen.

84. Aik Masjid Ke Darwaze Par Kiya Khubsurat Jumla Likha Tha Allah Ke Paas Aap Ko Dene Ke Liye Sab Kuch Hai Kiya Aapke Paas Usse Mangne Ke Liye Kuch Wakht Hai.

85. Bahot Door Tha Main Mere Rab Se Sirf Ek Sajde Ne Uske Kareeb Kar Diya.

86. Duniya Me Muhbbat Qabar Tak Khatam Ho Jati Hai Aur Allah Ki Muhabbat Jannat Tak Amar Ho Jati Hai.

87. Mai Tanha Tha Aur Udaas Tha Wo Phir Bhi Akele Me Wo Mere Sath Tha Me Gunhegar Tha Aur Khatawar Tha Phir Bhi Mere Aibo Ko Chupata Tha Phir Maine Sabar Kiya Aur Usne Thaam Liya.

88. Takleef Aur  Pareshani Ka Matlb Ye Nahi "Allah" Aapse Naraz Hai, Balke Jab Allah Kisi Se Muhabbat Karta Hai To Usay Aazmaish Me Dalta Hai Taki Uski Ajaeezi Sun Sake.

89. Ek Khuda Hi Hai Hamara Aur Ham Hein Usi Ke Aur Na Koi Hai Hamara Na Ham Kisi Ke Hain.

90. Muskurao Kyun Ki Tum Muslman Ho, Muskurao Kyun Ki Tum Alag Ho, Muskurao Kyun Ki Tum Khubsurat Ho, Muskurao Kyun Ki Tumhare Paas Allah Hai.

91. Wo Kareem Itna Hai Ke Naraz Bhi Ho To Bhooka Nahi Rehne Deta.

92. Bahot Udaas Raaton Me Mujhe Mere Rabne Samhala Hai.

93. Kal Ki Fikar Mat Karo Jis Rab Ne Aaj Tak Sambhal Liya Hai Wo Aage Bhi Sambhal Lega.

94. Jo Raat Ke Baad Din Lata Hai, Garmi Ke Baad Thand Deta Hai, Beshaq Wohi Khuda Preshani Ke Baad Khushiyan Bhi Dega.

95. Na Kisi Ke Aane Ki Khushi Na Kisi Ke Jane Ka Gam Ek Hai Mera Rab Aur Ek Hai Ham, Esi Shukar Me Guzar Lenge Zindagi Ham.

96. Tum Masjid Jakar Apni Muhabbat Ka Saboot Do "Allah" Tumhein Makkah Bula Kar Apni Muhabbat Ka Saboot Dega.

97. Aapne Aansu Logo Ke Samne Baha Kar Khud Ko Kamzor Na Sabit Karo Balke Apne Aansu Allah Ke Samne Bahao Iss Se Dil Bhi Halka Hoga Aur Gam Bhi Kam Honge Aur Allah Ke Kareeb Bhi Ho Jao Ge.

98. Jab Kabhi Aapka Dil Udaas Ho Aur Aankhon Me Aansu Ho To Bas Ye Baat Yaad Rakhiye Koi Aapke Sath Ho Na Ho Allah Hamesha Aapke Saath Hai Aur Hamesha Rahega, Bass Niyat Aapki Nek Ho.

99. Allah Par Bharosa Rakho  Uss Bachhe Ki Tarha Jisko Agar Hawa Me Uchala Jaye To Wo Hansta Hai Darta Nahi Kyun Ki Wo Janta Hai Mujhe Peyar Karne Wala Mujhe Kabhi Girne Nahi Dega.

100. Agar Allah Taala Ke Khauf Se Makhhi Ke Sar Ke Barabar Bhi Aansu Nikle Aur Wo Ruksaar Tak Pahoche  Jaye Toh Allah Taala Uss Par Dozakh Haram Kar Deta Hai.

101. Kis Kadar Khuda Ne Mere Aybo'n Ko Chuppa Rakha Hai, Log Mujhse Bhi Aksar Keh Dete Hain "Dua Kijiye Hazrat"

102. Mehsoos Hone Lage Jab Sab Raste Band Hain To Allah Ke Raste Par Chal Pado Beshq Mere Allah Ka Rasta Band Nahi Hota.

103. Zindagi Jeene Ka Aasaan Tarika Ye Hai Ki Koshish Karo Allah Par Chord Do, Namaz Padho Allah Par Chord Do Kamyabi Khud -Ba-Khud Tumhare Kadam Chumegi.

104. Jo Mil Raha Hai Wo Hi Tumhare Liye Behtar Hai Tum Nahi Jante Lekin Dene Wala Allah Khub Janta Hai.

105. Zindagi Me Kuch Naik Kaam Aise Bhi Karne Chahiye'n Jinka Khuda Ke Siwa Koi Doosra Gawah Na Ho.

106. Hasad Karoge To Kuch Na Paoge Allah Ka Shukar Karoge To Gin Nahi Paoge.

107. Sabse Acchi Zindagi Wo Bsar Karte Hain Jo Apni "Zaroorat" Poori Karne Ke Liye "Allah" Ke Siwa Kisi Aur Par Bharosa Nahi Karte.

108. Dil Me Allah Ka Khouf Rakhti Hun Isliye Chup Rehti Hun Warna Jo Sun Sakta Hai Wo Sun Bhi Sakta Hai Isliye Sab Allah Par Chord Deti Hun Mera Badla Mera Allah Lega In Shaa Allah, Isliye Me Apni Safai Apne Allah Ke Samne Deti Hun Bando Ke Samne Nahi Bande To Bas Uperi Dikhawa Jante Hain Mere Dil Ka Haal To Bas Allah Janta Hai, Aur Isliye Maine Apne Sabse Qareebi Dost Allah Ko Mana Hai Jo Hazaar Aibo Ko Bhi Chupa Kar Kehta Hai "Koi Mujhse Mangne Wala Hai" "Hai Koi Mujhse Zada Sakhi" "Hai Koi Jo 70 Maa'o Se Ziyada Tumse Peyar Karta Ho.

109. Aur Aakhir Me Jawab Mila 'Nahi', Mere Allah Jitni Muhabbat Koi Nahi Kar Sakta Ye Duniya Dikhawa Hai Aur Jo Yahan Ke Log Hain Sirf Matlab Se Baat Karenge Zuban Hi Hai Jo Jannat Ka Rasta Khol Sakti Hai Aur Jahannum Ka Bhi, Pehle Zuban Sahi Kijiye Phir Sochiye Aap Kitne Allah Wale Hain Deeni Baat Deeni Taleem Dene Se Insan Allah Wala Nahi Ban Jata, Dil Bhi Saaf Hona Chahiye Niyat Bhi Saaf Honi Chahiye, Kisi Ki Bhi Baat Dil Me Rakhna Seekhiye Uske Maze Lekar Gossip Me Tabdeel Na Karen.

200. Insan Kitni Bhi Koshish Karle Kisi Ke Bare Janne Ki Par Wo Uss Had Tak Nahi Jaan Payega Uss Shaks Ke Bare Me Jitna Allah Uske Bare Me Janta Hai Isliye Kabhi Bhi Kisi Par Tohmat Mat Lagaye Jiski Wajah Se Aap Apni Baat Ko Sahi Sabit Me Lage Rahein Par Allah Ki Nazar Me Wo Shaks Tumse Ziyada Behtar Ho Isliye Kuch Bhi Kehne Se Pehle Soch Lein.

201. Aazmalo Mujhko Thoda Aur Aye Khuda Tera Banda Bas Bikhra Hai Ab Tak Toota Nahi.

202. Quran Paak Ki Tilawat Se Namaz Ki Pabandi Se Aur Maa Ki Khidmat Se Allah Bahot Khush Hota Hai.

203. Jodta Hai Isko Phir Todta Hai Tod-Tod Kar Phir Jodta Hai, Kis Hikmat Se Mera Allah Mere Dil Ko Apni Taraf Modta Hai.

204. Pani Agar Qatra Qatra Pathhar Par Tapke to Us Me Shukar Kar Deta Hai To Kaise Na Mumkin Hai Ke Allah Allah Ki Zarb Lage Aur Dil Mom Ka Na Ho.

205. Pata Nahi Kab Maut Ham Par Panja Maar De Isse Pehle Apne Allah Se Sulah Karlo.

206. log Kehte Hain Paisa Rakho Bure Wakh Me Kaam Aayega Me Kehta Hun Allah Pe Yaqeen Rakho Bura Wakht Hi Nahi Aayega.

207. Jab Bhi Khud Ko Akela Samjho To Apne Dil Me Jhanko, Agar Wahan Rab Mujood Hai To Tumhe Duniya Me Kisi Ki Zaroorat Nahi.

208. Jab Kehna Pao To Ro Diya Karo Kyun Ki Wo Khuda Aansuo Ke Alfaz Bhi Suna Karta Hai Aur Waise Bhi Mushkil Lafz Muh Se Nahi Aansuo Se Nikalte Hain.

209. Masjid Wo Aisi Jagha Hai Jahan Ameer Gareeb Ke Paas Gareeb Ameer Ke Paas, Ameer Bhi Hath Felata Hai Gareeb Bhi Hath Felata Hai Kyun Ki Allah Ke Ghar Me Na Ameer Na Gareeb Bas Uske Aamal Dekhe Jate Hain.

210. Apne Rab Ki Rehmat Se Mayoos Naa Ho, Ye Pareshaniya'n Arzi Hai Kamyabi Allah Ka Wada Hai.

211. Jis Ne Rab Ke Liye Jhukna Seekh Liya Wohi Ilm Wala Hai Kyun Ki Ilm Wale Ki Pehchan Aajizi Aur Jahil Ki Pehchan Takabur Hai.

212. Jab Aap Mushkilaat Me Hote Hai To Aap Aksar Sochte Hai 'Allah Kahan Hai..?' Yaad Rakhein Imtehaan Ke Dauran Ustad Hamesha Khamosh Hota Hai.

213. Jab Aapka Dil Dard Se Bhar Jaye Aur Aankho Se Aansu Aajaye To Allah Se Chupke-Chupke Baatein Kar Liya Karen Woh Sab Janta Hai Lekin Aapse Sunna Chahta Hai.

214. Har Wakht Kuch Bhi Mango Allah Se Mango Kyun Ki Wo Kabhi Kisi Ki Auqat Zaat Nahi Dekhta Wo Bas Ye Dekhta Hai Ki Ye Mera Banda Hai.

215. Aisa Bhi Hota Ke Allah Hame Phulon Se Bhara Tokra Dena Chahta Hai Aur Ham Aik Phool Ki Zid Laga Kar Baithe Hote Hain.

216. Ki Jiye Har Baat Ka Sabar Aur Shukar Bohat Haseen Hai Khuda Par Yaqeen Ka Safar.

217. Dukh Ki Wajah Bheed Thi Lekin Sukoon Ka Zariya Mera Allah Hai Dard Sehte Gaye Aur Allah Ko Yaad Karte Gaye Dard Mit Ta Gaya Aur Allah Kareeb Hota Gaya.

218. Woh Dene Wala Hai, Jab Chahe, Jise Chahe, Jo Chahe Dy De.

219. Uss Kareem Ka Karam To Dekho Mai Phir Toot Kar Gira Usne Phir Mujhe Tham Liya.

220. Jab Mera Allah Mere Imaan Ki Hifazat Karta Hai To Kisi Gair Ke Nazriye Se Mujhe Na Koi Matlab Jo Mazak Banane Ki Taak Me Ho Iman Ka Mera Yaad Rakhna Mera Allah Na Poori Hone Dega Ye Ghatiya Tumhari Chahat.

221. Woh Dene Wala Hai Jab Chahe, Jise Chahe, Jo De De.

222. Muhabbat Allah Se Karo Allah Ki Qasam Wo Tumhe Kabhi Haarne Nahi Dega.

223. Uss Muhabbat Ko Salam, Jiske Aakhri Alfaaz The 'Meri Ummat, Meri Ummat'

224. Phir Ek Wakht Aata Hai Jab Dil Ki Sari Khuwaishen Khatam Ho Jati Hain, Aur Dil Chahta Hai Bas Wahi Ho Jo Allah Chahta Hai.

225. Zindagi Khubsurat Chizo'n Se Nahi Banti Allah Ke Hukum Poore Karne Se Aur Allah Ke Habib (S.A.W) Ke Tariqe Apnane Se Banti Hai.

226. Agar Aaj Ibadat Se Bhag Rahe Ho To Kal Allah Se Kaise Bhagoge.

227. Rab Se Agar Apni Baat Manwani Ho To Uski Bhi Man'ni Padhti Hai Aur Jisko Uski Manne Ki Adat Pad Jaye Phir Usay Manwane Ki Aadat Nahi Rehti.

228. Fikar Na Karen Log Bhool Jayenge Allah Nahi Bhoolta, Aapki Naiki Na Logo'n Ki Ziyadti.

229. Agar Bharosa Kismat Pe Karoge To Jo Likha Hai Wohi Paoge Aur Agar Khud Pe Bharosa Karoge To Allah Aapki Kismat Mein Wohi Likhega Jo Aap Chahoge.

230. Allah Ko Aapke 2 Ghut Bahot Pasand Hai 'Aik Gusse Ka'  'Aik Sabar Ka'

231. Duniya Me Tumhare Liye Badtreen Saza Ye Hai Ki 'Allah Tumhari Zubano Se Apna Zikar Rok Le.

232. Insan Ko Hamesha Jhuk Kar Rehna Chahiye, Kyun Ki Jinko Tum Ghuroor Dikhate Ho Unko Bhi Allah Ne Hi Banaya Hai.

233. Khud Ko Allah Ki Raza Me Daal De Jaise Samandar Me Lakdi Ka Bejaan Tukda.

234. Masroof The Sab Apni Zindagi Ki Uljhano Me Zara Si Zameen Kya Hili Sabko Allah Yaad Aagya.

235. Zindagi Jab Tak Na Mukmmal Hai Jab Tak Allah Ko Na Razi Karliya Jaye.

236. Allah Se Rujo Karne Me Der Na Karo Beshaq Usne Arsh-E-Elahi Par Likh Diya Hai Meri  Rehmat Mere Gazab Par Hawi Hai.

237. Allah Jab Kisi Ki Madad Karne Par Aajata Hai To Na Hone Se Hone Ko Paida Kar Deta Hai.

238. Manglo Us Khuda Se Gir Gira Ke Uss Khuda Se Jis Se Hai Umeed-E-Wafa Abhi Maghfirat Sasti Hai Phir Na Kehna Azaab Me Sakhti Hai.

239. Jab Insan Ki Aankho'n Se Nadmat Ke Aansu Behte Hain To Uss Par Allah Ki Rehmat Barasti Hai.

240. RAB Ke Siwa Koi Nahi Jaanta Ke Hamari Aik Muskan Ke Peeche Hazaar Gham Chupe Hote Hain.

241. Kisi Ko Apne Darwaze Se Khali Hath Na Lautao Wo Tumhare Paas Aaya Hai Kyun Ke Allah Tumhe Is Qabil Samjhta Hai.

242. Mere Bhaiyo, Tum Apne (S.A.W) Ke Gulam Bankar To Dikhao, Fir Allah Tumhe Dikha Dega Ki Tumhare Peeche Allah Ka Haath Hai, Tum Apne Nabi (S.A.W) Ki Wardi Me To Aao.

243. Mera Allah Is Duniya Ko Toot Jane Wala Ghar Batata Hai Aur Aabadi Ka Ghar Jannat Ko Batata Hai To Jis Ghar Ko Baki Rehna Hai Uski Doud Lagao Duniya Ki Bhag Doud Agar Hamne Na Choddi To Aakhir Mout Par Sab Chodd Hi Jana Hai.

244. Jisay Allah Apni Muhabbat Deta Hai Usay Phir Kisi Aur Chiz Ki Khawaish Nahi Hoti Aur Jisay Wo Duniya Deta Hai, Uss Ki Khawaish Bhook Ban Jati Hai Jo Kabhi Khatam Nahi Hoti.

255. Duniya Me Har Preshani Ka Hal Sirf Aik Hi Hai Allah Se Baat Kare Allah Se Maange Aur Allah Par Chodde Allah Par Bharosa Kare Allah Se Kahe Aur Kehta Rahe.

256. Aadhi Raat Me Bahe Hue Aansuo Ki Ehmiyat Sirf Allah Janta Hai.

257. Sab Se Meethi Zuban Uski Hai Jiski Zuban Hamesha Allah Ko Yaad Karti Hai.

258. Chhota Hai Muhbbat Lafz Lekin Iski Tasir Kitni Peyari Hai, Agar Ye Allah Se Ho Jaye To Duniya Ki Sari Khushiyan Hamari Hain.

259. ChHoti Si Baat Par Log Hame Chod Dete Hain, Thodi Si Ibadat Se Allah Hame Thaam Leta Hai.

260. Mumkin Na-Mumkin Hamari Soch Hai Allah Ke Khazane Me Sab Mumkin Hai Irada Mazboot Ho To Allah Ki Madad Zaroor Sath Hogi.

261. Aik Din Hazrat Jibril (A.S) Huzoor (S.A.W) Ke Paas Aaye Aur Kaha "Allah Ne Mujhe Itni Taqat Di Hai Ki Mai Sari Duniya Ke Darakhto'n Ke Pat'te Gin Sakta Hun Aur Pani Ke Sare Qatre Aur Rait Ke Sare Zar're Gin Sakta Hun Lekin, Uss Aadmi Par Allah Ki Rehmat Ki Tadad Nahi Gin Sakta Jo Aap (S.A.W) Pe Aik Baar Darood Padhta Hai (SubhanAllah)

262. Allah Par Yaqeen Wo Taqat Hai Jo Pathar Ko Bhi Pani Bana Deti Hai.

263. Na Raees Hun Na Ameer Hun Na Mai Badshah Na Mai Wazeer Hun, Aye Mere Rab ! Tera Ishq Hai Meri Saltanat Mai Us Saltanat Ka Faqeer Hun.

264. Zubani Ibadat Hi Kafi Nahi Khuda Sun Raha Hai Khayalat Bhi.

265. Sarkaar Kisi Ki Bhi Aaye Badshahat Allah Ki Hi Rahegi, Isliye Be Fikar Hokar Aakhrat Ki Fikar Karo.

266. Mannat Kyun Mangte Ho Auro'n Se Aisa Konsa Kaam Hai Jo Hota Nahi Mere Parwardigar Se.

267. Jab Tak Allah Ki Za'at Ka Yaqeen Dil Me Nahi Aayega Tab Tak Banda Allah Ki Zaat Se Fayeda Hasil Nahi Kar Skata.

268. Qayenat Me Bohat Sare Rang Hain Magar Sabse Behtreen Allah Ki Muhabbat Ka Rang Hai Jo Wajood Par Chha Kar Rooh Ko Nikhaar Deta Hai.

269. Allah Duniya Ki Dolat Usay Bhi Deta Hai Jise Wo Pasand Nahi Karta, Lekin Deen Ki Doulat Sirf Usay Deta Hai Jis Se Allah Mohabbat Karta Hai.

270. Jitna Mil Jaye Qubool Kar Lena Chahiye Ho Sakta Hai Ye Bhi Hamari Auqaat Se Ziyada Ho Ham To Gunahgaar Bande Hain Uska Fazal To Har Waqt Hamare Aib Chupata Hai.

271. Allah Ne Duniya Hamare Liye Banai Taki Allah Hame Aazma Sake Ke Ham Shaitan Ki Taraf Jate Hain Ya Allah Ki Taraf To Ab Bhi Waqt Hai Allah Se Dosti Bana Lo Tauba Karlo Phir Duniya Bhi Aapki Hogi Aur Aakhrat Bhi In Shaa Allah, Allah Kehne Sunne Se Zada Amal Ki Taufeeq De Ameen.

272. Agar Kabhi Aisa Lage Ki Tum Thak Chuke Ho Aur Dua Mangna Bhi Mushkil Lage To Allah Ke Samne Sirf Hath Faila Liya Karo Tumhare Faile Hue Haath Is Baat Ka Saboot Hai Ke Tum Rabbe Qayenat Ke Mohtaj Ho Aur Mera Rab To Khuwaisho'n Ko Bhi Sun Leta Hai.

273. Meri Kismat Jagane Ko Mera Allah Kafi Hai Hazaro Gam Mitane Ko Mere Allah Ka Naam Kafi Hai.

274. Apne Raaz Ko Raaz na Samjho Iss Rooh Ko Apna Na Samjho Sab Allah Ke Kabze Me Hai Zindagi Ko Mazak Na Samjho.

275. Razi Raha Karo Har Pal Khuda Ki Raza Me Tumse Bhi Bohat Majboor Insan Hain Is Duniya Me.

276. Rab Bohat Meherban Hai, Wo Ata  Karne Par Aajaye To Mangne Ka Tarika Bhi Sikha Deta Hai.

277. Maa Ki Goad Se Qabar Ki Aagosh Tak Agar Koi Hasti Haqiqat Me Sath Nibhati Hai To Wo Sirf Aur Sirf Allah Paak Ki Zaat Hai.

278. Shukar Ada Karne Ki Wajah Nahi Ddhundni Chahiye Balki Aadat Daalni Chahiye Kyun Ki Shukar Guzaar Logo'n Se Allah Badi Muhabbat Karta Hai.

279. Kareem Hai Itna Mera Rab Ke Naraaz Bhi Hojaye To Bhuka Nahi Sone Deta.

280. Rab Asliyat Dikha Deta Hai Har Cheez Ki, Har Talluq Ki, Har Muhabbat Ki, Har Insan Ki. Sab Dikha Ke Insan Se Puchta Hai "Tera Mere Siwa Aur Kon Hai" ?

281. Apne Rab Ko Ye Mat Batao Mushkilen Kitni Badi Hain Mushkilon Ko Ye Batao Ke Tumhara Rab Kitna Bada Hai.

282. Rab Ke Ishq Me Aik Muqam Wo Bhi Aata Hai Ke Dua To Door Ki Baat Hai Insan Sirf Sochta Hai Aur Rab Nawaz Deta Hai.

283. Diwaro Ke Bhi Kaan Hote Hain, Ye Kehne Ke Bajaye Ye Kehna Shuru Kardein Ke "Farsihto Ke Hath Me Bhi Qalam Hai" To Hame Logo'n Se Zeyada Allah Ki Fikar Hojayegi.

284. Agar Koi Kaam Mushkil Lage To Bas Dil Me Aik Hi Niyat Rakho Ki Mera Allah Hai Na Sab Kaam Aasaan Kardega Kyun Ki Wo Insan Kabhi Nahi Haar Sakta Jiski Umeed Sirf Allah Se Ho.

285. Kabhi To Allah Ka Karam Hoga Dekhna Aik Din In Shaa Allah Hamari Aankho Ke Samne Bhi Haram Hoga.

286. Wo Dard Jo Tujhe "Allah" Pukarne Par Le Aaye Uss Takleef Par Bhi Tera Sajda-E-Shukar Lazim Hai.

287. Tanhai Me Rab Ko Yaad Karke Rona Dil Ko Kafi Sukoon Deta Hai.

288. Aye Mere Allah Ne Mene Tumko Dekha Na Kabhi Ham Mile, Phir Ye Kaisa Rishta Hai Ke Dard Kaisa Bhi Ho Yaad Teri Hi Aati Hai.

289. Wo Aihasas Bohat Hi Alag Hota Hai Jab Allah Ki Mohabbat Ko Mehsoos Karte Hue Aankho Se Aansu Aana Shuru Ho Jate Hain.

Comments

  1. Allah hamain mauf farma dein ,
    Ameen.



    ReplyDelete
  2. No-28 Allah Porani Bataon Ko Yaad Nahi Rakhta ???
    Allah Ta’ala Bhulne Se Aur Yaad Nahi Rakhne Se Paak Hain!
    Ye Kahena Bahetar Hain Ke Allah Ta’ala Pichale Khataon Ko Ya Gunnaon Ko Maaf Farma Deta Hain.

    ReplyDelete
  3. No-28 Allah Porani Bataon Ko Yaad Nahi Rakhta ???
    Allah Ta’ala Bhulne Se Aur Yaad Nahi Rakhne Se Paak Hain!
    Ye Kahena Bahetar Hain Ke Allah Ta’ala Pichale Khataon Ko Ya Gunnaon Ko Maaf Farma Deta Hain.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

Mard Aur Aurat