Sabar



1. Sabr Ki Had Ye Hai Ke Taqdeer Par Koi Shikwa Na Ho. Jisme Jitna Sbar Hoga, Uski Dua Mein Utna Asar Hoga.

2Gussa Har Burai Ki Chabi Hai, Gussa Hamesha Tanha Aata Hai, Lekin Jate Hue Apne Sath Aqal, Akhlaq, Or Khoobsursti Le Jata Hai. Jab Gussa Aajaye To Wazu Or Sabar Se Madad Liya Karen.

3. Sabar Rakho, Har Cheez Aasaan Hone Se Pehle Mushkil Hoti Hai.

4. Har Mushkil Aasaan Ho Jati Hai, Agar Insan Sabar Karna Seekh Jaye To.

5. Sabar Se Rehmat Ka Intezar Kar Jo Cheez Tere Liye Hai Wo Teri Hi Hai 

6. Jahan Sabar Tak Karna Mushkil Tha Wahan Shukar Ada Kiya Maine 

7. Jitna Ham Me Sabar Hoga Utna Hamari Duaon Me Asar Hoga. 

8. Sabar Aur Qadar Karna Koi Koi Janta Hai.

9. Sabar Karo Ya To Jeet Jaoge Ya To Seekh Jaoge.

10. Ki Jiye Har Baat Par Sabar Aur Shukar Buhut Haseen Hai Khuda Par Yaqeen Ka Safar 

11. Woh Shaqs Zindagi Me Kabhi Nahi Haar Sakta Jo Sabar Karna Nahi Janta Ho.

12. Sab Kuch Ho Sakta Hai Bass Tum Sabar Dua Aur Yaqeen Rakho. 

13. Kisi Ke Sabar Ka Imtehaan Mat Lena Maine Aisa Karne Walo Ko Aksar Pachtate Dekha Hai.

14. Sabar Kar Bande  Musibat Ke Din Bhi Guzar Jayenge, Hansi Udane Walo Ke Chehre Bhi Utar Jayenge.

15. Kuch Chizen Rone Se Nahi Sabar Karne Se Milti Hai.

16. Hamesha Sabar Karna Aur Sach Ka Sath Dena ALLAH Aapke Saath Hai.

17. Poocha Gaya Sabar Kya Hota Hai.? Kaha "Jab Aazmaye Ja Rahe Ho Aur Tumhara Dil Keh Raha Ho "Alhamdulillah"

18. Kabhi Kisi Ki Khamoshi Ki Cheekh Suni Hai Aaj Tak.? Nahi Na.. To Tum Kya Jano Sabar Ki Haqiqat. 

19. Unn Logo'n Par Gam Ka Koi Asar Nahi Hota Jo Log Apni Zindagi Sabar Or Shukar Ke Saath Guzarte Hein.

20. Kismat Kharab Nahi Hoti Asal Me, Ham Me Sabar Kam Hota Hai.

21. Khuwaishe Badshah Ko Gulam Bana Deti Hain Lekin Sabar Gulamo Ko Badshah Bana Deta Hai.

22. Naseeb Ka Likha Milne Pe Shukar Aur Jo Nahi Mila Uss Par Sabar Karna Hi Asal Naseeb Badalne Ka Sabab Banta Hai.

23. Khamoshi Ego Nahi Sabar Hai.

24. Jo Bura Kahe Chup Ho Jao Jo Sataye Sabar Karo, Allah Ki Kasam Aisi Taqat Banoge Pahad Bhi Rasta Denge.

25. Sabar Karne Mein Aur Sabar Aane Mein Buhut Farq Hota Hai, Sabar Karte Karte Insan Mazboot Ho Jata Hai Aur Sabar Aate Aate Insan Khamosh Ho Jata Hai.

26. Sabar Wale Sukoon Se Rehte Hain Kyun Ki Wo Jante Hain, Allah Hai Na Wo Sab Behtar Hi Karega.

27. Sabar Bhi Rang Lata Hai Gussa Bhi, Magar Sabar Ke Rango Se Zindagi Haseen Ho Jati Hai Aur Gusse Ka Rang Muhabbat Ke Har Rang Ko Nigal Jata Hai.

28. Hosakta Hai Hamare Rab Ne Hamare Liye Samandar Likha Ho Aur Ham Ek Qatre Ke Liye Zidd Kar Rahen Ho Isliye Behtar Hai Ke Sabar Karo.

29. Likha Hua Naseeb Milta Hai Wakht Aane Par, Bass Insan Me Hi Sabar Ki Aadat Nahi Rahi.

30. Sabar Se Rehmat Ka Intezar Kar Jo Cheez Tere Liye Hai Tere Liye Hi Hai.

31. Be Qadar Logo Ke Liye Roya Na Kar Aye Nadan Insan Bas Sabar Rakh Aur Dekh Wakht Ek Din Zaroor In Shaa Allah Be Qadar Logo Ko Aapki Qadar Ka Ehsaas Dilayega.

32. Maine Samnadar Baha Diye Ansuon Ke Kisi Ko Fiqar Na Hue Phir Jab Sajdo'n Me Roye To Allah Ne Mujhe "Sabar" De Diya. 

33. Sabar Ka Ghoont Doosron Ko Pilana Aasan Hai, Khud Peete Hue Pata Chalta Hai Ke Eik-Eik Qatra Peena Kitna Mushkil Hai.

34. Taklif Me Sabar Se Kaam Lo Kyun Ki Sone Ko Aag Se Aazamaya Jata Hai Aur Momin Ko Takleef Se. 

35. Sabar Rakh Mehnat Kar Tere Naseeb Ka Tujhe Hi Milega Kisi Aur Ko Nahi.

36. Sabar Karna Seekh Lein Allah Sab Janta Hai Wo Janta Hai Aap Kab Kin Wakht'o Se Guzre Hain Yaqeen Karen Aapka Wakht Badal Jayega.

37. Aur Asal Sabar Ka Wakht Tab Aata Hai Jab Aapne Log Aapke Sath Bura Karte Rahein Aur Aap Khamosh Reh Kar Sab Kuch Apne Rab Par Chodd Dein.

38. Sabar Wo Aansu Hai Jo Palko'n Tak Aakar Bhi Aankho'n Se Nahi Gire.

39. Sabar Karo, Insan Ko Hamesha Utna Hi Dard Milta Hai Jitna Wo Seh Sake.

40. Sabar Rakhein Bure Wakht Ka Bhi Bura Wakht Aayega.

41. Na Shikwa Na Gila Na Ab Koi Malal Raha Sitam Tere Bhi Bemisal Rahe Aur Sabar Mera Bhi Kuch Kamal Raha.

42. Sabar Ka Rasta Kabhi Mat Chhodna Ye Wo Rasta Hai Jo Zindagi Ke Bojh Aur Zindagi Ke Gham Ko Khatam Karta Hai Sabar Hame Naiki Ki Taraf Le Jata Hai Sabar Hamare Nafs Par Kabu Karta Hai Taki Ham Koi Gunnah Na Karen Sabar Hamari Khuwaishat Ko Khatam Karta Hai Sabar Zindagi Ko Jannat Bana Deta Hai Aur Hamari Aakhrat Sudhar Deta Hai Kyun Ki Sabar Me Allah Jo Sath Deta Hai Hamara.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

Mard Aur Aurat

ALLAH