Sawal Wa Jawab


1. Sawal - Namaz Padhte Wakht Dimag Me Tarah Tarah Ke Kheyal Aate Hain Inse Kaise Bachein..?

Jawab - Wazu Acche Se Karen Sunnat Ki Pabandi Ke Saath Aur Namaz Ke Bahar Apni Nigah Ki Hifazat Karen.

2. Sawal - Shaq Aur Wehem Ko Kaise Door Karen..?

Jawab
- Surah Naas Khoob Padhein.

3. Sawal - Dua Kis Tarha Mangni Chahiye..?

Jawab
- Jaise Aik Chota Baccha Apni Maa Se Khana Mangta Hai Jab Usko Shiddat Ki Bhookh Lagi  Hoti Hai.

4. Sawal - Agar Namaz Me Zada Susti Ho Jaye To Kya Kiya Jaye..?

Jawab - Jab Aisa Ho To 2 Rakat Nafil Namaz Extra Padh Lein Maqsad Nafs Ki Mukhlifat Hai, Jab Aap Kuch Martaba Aisa Karenge To Shaitan Namaz Ke Liye Susti Dilana Kardega Ye Soch Kar Mai Isko Namaz Me Susti Dila Raha Tha Aur Ye Banda Hai Ke Extra Namaz Padh Leta Hai, Isse To Accha Hai Ke Isay Namaz Me Susti Dilao Hi Mat.

5.Sawal - Gandi Soch Kaise Door Kare Aur Acchi Soch Kaise Paye..?

Jawab
 - Nazar, Kaan Zaban Ko Ganda Dekhne Sunne Aur Bolne Se Bachayen Zehen Ko Khali Na Rakhein.

6. Sawal - Apne Nafs Par Kabu Kaise Paye..?

Jawab - Seedha Hath Seene Par Rakh Kar "Ya Mumeeto" Padhte Padhte Sojayen.

7. Sawal - Dil Agar Sakht Ho Jaye To Kya Karen..?

Jawab - 'Zikar' Karein Zikar Se Dil Naram Hota Hai Aur Gunaho Se Bachein.

8. Sawal - Jiske Sath Nikah Hone Wala Hai Usse Baat Karna Jaiz Hai Nikah Se Pehle..?

Jawab - Nahi Jaiz Nahi Hai.

9. Sawal - Kisi Se Mohabbat Karte Hain Aur Badle Me Uski Mohabbat Chahte Hain Uske Liye Koi Dua..?

Jawab - Agar Aap Ke Sath Aisa Maamla Hai To Aap Isko Allah Pe Fit Kardein, Aap Thodi Bhi Mohabbat Karlein To Wahan Se Aapko Bahot Mohabbat Milegi.

10. Sawal - Mujhe Apni Aakhirat Banani Hai Par Duniya Ke Kamo Me Uljha Hua Hoon Namaz Bhi Nahi Padh Pata Kya Karun..?

Jawab - Uska Sabse Aasan Tariqa Hai Ke 'Namaz Ki Pabandi Karen Namaz Ki Pabandi Par Aakhirat Aur Duniya Dono Ke Banne Ka Wada Hai.

11. Sawal - Ghar Me Barkat Ke Liye Kya Karen Wazifa Batayen Paise Aate Hain Lekin Barkat Nahi Hoti Aisa Kyun..?

Jawab - Apni Zaroorat Ko Mukhtasar Karen Allah Ke Diye Hue Par Sabar Shukar Karen Aur "Ya Razzaq"  "Ya Fattahu" Ka Wazifa Karen Astagfaar Qasrat Se Padhein.

12. Sawal - Buri Nazar Se Bachne Ke Liye Kya Karna Chahiye..?

Jawab - Apni Ni'amat Ki Numaish Kam Se Kam Karen Aur Surah Kalam Ki Aakhri Do Aayte Padh Kar Dam Karen Jis Shaqs Par Bhi Nazar Lagne Ka Dar Ho Ya Nazar Ho Apne Uppar Bhi Padh Kar Dam Kar Sakte Hai Khud.

13. Sawal - Duniya Ka Dar Dilse Nikalne Ka Koi Wazifa Batayen..?
 
Jawab - Allah Ka Dar Dil Me Bitha Lijiye Duniya Ka Dar Khud Ba Khud Nikalne Lagega.

14. Sawal - Niyat Karne Ke Liye Zabaan Se Bolna Zaroori Hai Ya Dil Se Hi Niyat Karna Kafi Hai..?

Jawab -  Niyat Kehte Hain Dil Ke Irade Ko Isliye Dil Se Irada Karna Kafi Hai.

15. Sawal - Islam Ke Faraiz Kitne Hain..?

Jawab - 1st 'Kalma'  2nd 'Namaz'  3rd 'Roza' 4th 'Zaqat' 5th 'Hajj'

16. Sawal - Tanhai Me Namaz Padhne Se Dar Lage To Kya Karen..?

Jawab - Aagr Namaz Padhte Wakht Dar Lagega To Namaz Poori Nahi Hogi, To Behtar Hai Namaz Tanhai Me Na Padhein Aur Agar Andhera Ho To Roshni Karlein.

17. Sawal - Iman Mazboot Kaise Karen Aur Gunnaho Se Kaise Bachein..?

Jawab - Is Baat Ka Tassawur Paida Karne Ki Koshish Karen Ki Allah Aapko Har Wakht Dekh Raha Hai Aur Apne Iman Ko Gusl Dene Ke Liye Surah Bakar Ki Aakhri Do Aayete Subha Shaam Kasrat Se Padha Karen, Iska Tarjuma Bhi Padhkar Acche Se Samjh Lein.

18. Sawal - Na Mehram Ko Dua Me Manga Ja Sakta Hai, Apna Mehram Banane Ke Liye..?

Jawab - Ji Haan, Lekin Uss Se Behtar Hai Ke Dua Is Traha Mangi Jaye 'Ya Allah Agar Ye Ladka\Ladki Mere Deen Aur Duniya Ke Liye Behtar Ho To Isay Mere Liye Muqddar Farma De Warna Jo Behtar Ho Usse Muqddar Farma De (Ameen) Ye Sahi Tariqa Hai.

19. Sawal - Mohabbat Agar Sacchi Ho To Gunnah Ho Sakta Hai Kya Agar Nikaah Ki Niyat Ho To..

Jawab - Gunnah Ki Defination Mohabbat Ke Sach Hone Se Nahi Hai Balke Talluq Paida Karne Se  Lihaza Gunnah Hoga, Nikah Karlein Wo Zada Behtar Hoga, Kyun Ki Jab Tak Nikah Nahi Hota Tab Tak Talluq Rakhna Jaiz Nahi.

20. Sawal - Ramzan Me Tv Dekhna Jaiz Hai Kya..?

Jawab - 'Its Not About Ramzan !' Baki Dino Me Bhi Aap Sirf Wo Deeni Channels Dekh Sakte Hain Jo Quran Aur Sunnat Ke Tariqe Par Chalte Hain Uske Alawa Baki Sab Channels Dekhna Mana Hai.

21. Sawal - Women's Pe Tarabi Farz Hai..?

Jawab - Tarabi Sunnat-e-Moqda Hai, Farz Nahi..!, Na Hi Mard Par, Na Hi Aurat Par.

22. Sawal - Kya Thook Nikalne Se Roza Toot Jata Hai..?

Jawab - Nahi, Thook Nikalne Se Roza Nahi Toot'ta.

23. Sawal - Kya Ramzan Me Taravih Padhna Zaroori Hai..?

Jawab - Padhenge To Sawab Hai, Na Padhein To Koi Gunnah Bhi Nahi Hai.

24. Sawal - Kya Ham Ramzano Me Swimming Pool Me Naha Sakte Hain..? Ramzan Me Injection Lagwa Sakte Hain..?

Jawab - Swimming Pool Me Naha Sakte Hain Bas Koshish Karen Muh Me Pani Na Jaye Warna Roza Toot Jayega. Injection Le Sakte Hain Par Wo Injection Dawa Hona Chahiye Taqat Aur Kisi Vitamine Ka Nahi.

25. Kin Halato'n Me Roza Rakhna Durust Nahi ?

Jawab- Haiz Wa Nifaas Wali Aurton Ke Liye Roza Rakhna Jaiz Nahi, Lekin Baadme Me Qaza Laazim Hai.

Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Mere bhut se questions the Jo ki is page ki wjh se sulaj gy
    JazakAllahukhaira....

    ReplyDelete
  3. Bahbood certificat of national savngs are giving not fix profit to senior citizens,its rates are flatuate,some time raise & low ,is the profit halal consider

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Heart Touching Quotes

ALLAH

Mard Aur Aurat